Tuesday, May 27, 2008

Gum Kya Hota Hai

"Gum Kya Hota Hai"

Mohabbat ka gum to bahut chota hota hai,
kai mohabbat karne wale mil bhi jate hai...

Us baap se gum pucho, jiska jawan beta sarhad par mar jata hai,
jiski arthi ko koi kandha nahi mil pata...

Us vidwa se gum pucho,
jo apne pati ki laash ko dekh nahi pati...

Us maa se gum pucho,
jo apne jawan bacche ki mrityu ki kharab sun nahi pati...

Us chote bacche se pucho gum kya hai,
Jo abhi muskura naha pata...

Us behan se pucho gum kya hota hai,
jiske raksha karne wala ab koi nahi hota...

Mohabbat ka gum to bahut chota hota hai,
kai mohabbat karne wale mil bhi jate hai"

"Dil ek toota tumhara to tum sabko bewafa samaj baithe,
zara nazar utha ke dekho, har kisi ka dil toota hua hai"

#BestAnswers
#Romil

No comments: