Showing posts with label mera rabb naaz.... Show all posts
Showing posts with label mera rabb naaz.... Show all posts

Saturday, December 5, 2009

Sathiya yeh tune kya kiya...

Sathiya yeh tune kya kiya...beliya yeh tune kya kiya...
Maine kiya tera intezar...itna karo na muje pyar... (2)

Sathiya yeh tune kya kahan...beliya yeh tune kya kahan...
U na kabhi karma intezaar...maine kiya hai tumse pyar...(2)

Itni mohabat seh na sakunga...
Sach mano zinda raha na sakunga...

Tujko sambhalu yeh mera zimma
Main hu to kya gum jaane tamanna...

Ab jeena-marana mera janam tere haath hai...
Maine kahan na sanam...ab tu mere saath hai...

To phir samhal...le me chala...
La.lla.la

Jana kahan...aa dil me aa..
 la.lla.la.la.lla.la.la.lla.la...


Dil ke chaman ka hasna to dekha...
Jagi nazar ka sapna to dekha...
Aise hue hum ek jaan ek dil tu hai ki main hu
Kehna hai mushkil..

Chota basanti hai tu..tan hai gulabi mera..

Do rang milen ke baad hote nahi hai juda..


To phir sambhal...le me chala...
La.lla.la

Jana kahan...aa dil me aa...
La..lla..la...

La..lla..la...La..lla..la...La..lla..la...La..lla..la...

Saathiya yeh tune kya kiya... beliya ye tune kya kaha...
[not written by me]

Tuesday, December 1, 2009

sab ek se hain...

sab ek se hain NAAZ...
kya GUNN
kya SHEE
ek sa dard...
ek sa dhoka...
ek sa mujhe tanha chod dena...
ek sa meri bebasi par muskurana...
***
NAAZ tere jaise hi waafadaar hai teri kabr...
choote-choote paudhey lagau to phool khila daite hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, November 30, 2009

Hum ussi din samaj gaye the....


Hum ussi din samaj gaye the "NAAZ"
Jis din "GUNN" ne humse ucchi aawaz main baat ki thi...
Meri saari umeed khaakh ki thi...
Jiske shabdon main rehti thi hamesha mithas
Uske shabdon main karwahat thi...
Meri mohabbat-e-basti barbaad thi..
~*~
Hum ussi din samaj gaye the "NAAZ"
Jis din "SHEE" ne kisi gair se mulaqat ki thi...
tez haawaon main meri jazbaat ki dhajiya ujaad di thi...
~*~
Ro diye hum dekh kar tera bhi mizaz "NAAZ"
tune bhi rabb ki suni
mere ehsaaso ki na tujhe koiye fikar thi...
na mere khawabon ki koiye aehimiyat thi...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, November 28, 2009

Zinda Rehti Hain Unki MOHABBATEIN

Duniya Mein Kitni Hain Nafratein
Phir Bhi Dilo Mein Hai Chahtein

Mar Bhi Jayen Pyar Wale
Mit Bhi Jayen Yaar Wale
Zinda Rehti Hain Unki MOHABBATEIN
***
Mar Bhi Jayen Pyar Wale
Mit Bhi Jayen Pyar Wale
Zinda Rehti Hain Unki MOHABBATEIN
[not written by me]

Tuesday, November 24, 2009

aa kahin ek naye duniya banaye hum...

aa kahin ek naye duniya banaye hum
apni khushiyoon se usko sajaye hum
tu mere pass rahe, mere khuda
main tere pass rahu, mere khuda...
aa kahin ek naye duniya banaye hum...
*****
chand, taaron se saaje aasman main
burf se bana hamara ek ghar ho
saath rangon se saje indradhanush main
hum tum saath-saath jhulate ho...
aa kahin ek naye duniya banaye hum
apni khushiyoon se usko sajaye hum
tu mere pass rahe, mere khuda
main tere pass rahu, mere khuda...
aa kahin ek naye duniya banaye hum...
*****
phoolon ki saje par laite rahe
teri zulfoon ki ghani saaye main soye hum
meri baahon ki panahon main teri zindagi beethe
teri aankhon main khoye rahe hum
tu mere pass rahe, mere khuda
main tere pass rahu, mere khuda...
aa kahin ek naye duniya banaye hum...
NAAZ...aa kahin ek naye duniya banaye hum...
*****
[inspired - written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, November 21, 2009

ehsaan tera hain mujhpar NAAZ....


Ehsaan tera hain mujhpar NAAZ
tune mujhse dosti ki...
is zindagi main gum hi gum the
tune khushiyoon ki baarish ki...
"mere maalik, mere humsafar...
naazaron ka qaram rakhana"
*
Yeh hi umeed hain ki tujhse rubaru hu
issi kashmakash main beethe hain kaiye raatein apni...
"yeh sitare tere aanchal se lagte hain
yunhi tanha main ispar laita rahu"
Koiye mujhse na puche haal-e-dil mera
main yunhi yaadon main khoya rahu
Na jaane kyon hain meri aankhein jhalki
main yunhi teri taraf main tarapta rahu...
"aaye sitamgar tere yaadon main tarafne main bhi kitna sukun hain..."
*
Bas ek aur ehsaan mujhpar kar tu
dekh le mujhko naazarein mohabbat se...
de apna haath tu mere haaton main
is zindagi se mujhko ab baari kar...
ehsaan tera hain mujhpar NAAZ

tune mujhse dosti ki...
is zindagi main gum hi gum the
tune khushiyoon ki baarish ki...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, November 18, 2009

in dino...


NAAZ se milane ki lagan lagi hain in dino
ajeeb si hasrat hue hain in dino...
*****
tu bhi naazar nahi aati aajkal NAAZ
baadalon ne chupa rakha hain tujhe in dino...
*****
intezaar ki neend main khoya rehta hu
raat jagate-jagate katati hain in dino...
*****
kaise ho apna milan SHEE

rabb bana hain dushman apna in dino...
*****
na jaane kaise hogi GUNN
khabar bhi nahi deta koiye uski in dino...
*****
ab kisi se ladane-jhagadane ka mann nahi karta
khud main hi uljha rehta hu in dino...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, November 17, 2009

dil ka kya hain...


dil ka kya hain woh to chahata hain har pal usse milana
dushman rabb kab chahega mera usse milana...
~*~
nigaahein karti rahenge uske deedar ki aas
na jaane kab mumkin ho usse milana...
~*~
mohabbat ke raastee kaanton bhare the 
fhir bhi har kadam chahe usse milana...
~*~
humne to qaid kar liya tha khud ko dar-o-deewar main
tere jaane ki khabar hue SHEE to har dar-o-deewar kahe tujhse milana...
~*~
yeh humko maalum tha, na NAAZ aayege kabhi laut kar
fhir bhi har intezaar ka pal mujhse kahe usse hain milana...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, November 16, 2009

taaza mohabbat ka gum...


taaza mohabbat ka gum jism-o-jaan main hain
phir jaale hue dil ka duaah baahar main hain...
***
ek khawab tujhse milane ka dekhate hain hum
yeh armaan roshan dil-e-jahaan main hain...
***
tujhko bhul kar kaise jee payenge SHEE
yeh sawaal mere jehan main hain...
***
mubarak ho tujhe jannat NAAZ
apni zindagi to beeti intezaar main hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

YAADON NE ITNA DARD DIYA...

MANZIL BHI KAREEB NAHI,
KANTON NE RASTON PAR CHALNA MALAL KAR DIYA
NAAZ KI YAADON NE ITNA DARD DIYA
KI JEENA DUSHWAAR KAR DIYA!
~*~
JUDA HOTE HUE BHI GALE NA MIL SAKA
BAAHON KO MERI ZANJEER-E-HAAR KAR GAYA
NAAZ KI YAADON NE ITNA DARD DIYA
KI JEENA DUSHWAAR KAR DIYA!
~*~
MAUT KI DASTAK SUNAI DE RAHI HAI
KAANO MEIN ABHI TAK
KOI MOHABBAT KA GHAR SUNSAN KAR GAYA
NAAZ KI YAADON NE ITNA DARD DIYA
KI JEENA DUSHWAAR KAR DIYA!
~*~
EK UMAR BEET GAI USKI YAADON MEIN JAAGTE HUE ROMIL
MERI AANKHON KO INTEZAAR-E-YAAR KAR GAYA
NAAZ KI YAADON NE ITNA DARD DIYA
KI JEENA DUSHWAAR KAR DIYA!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Saturday, November 14, 2009

tera sitam umar bhar yaad rahega...

kuch na yaad rahe mujhko
teri ruksati ka din jarur yaad rahega
woh makaan,
woh bebasi ka din jarur yaad rahega...
_________
hum aag ke gole se jal rahe the
woh haawaon ka din bhar zor-zor se chalana yaad rahega...
_________
kiske saath lipath kar rote
kisse apna dard kehte
na koiye apna tha
na koiye paraya
ho gaye zindagi tanha yaad rahega...
__________
na tu mili
na teri kabr mili
naaz mujhe yeh tera sitam umar bhar yaad rahega...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, November 13, 2009

Raat bhar so na saka main, tere aane ke intezaar mein raha main...

raat bhar so na saka main
tere aane ke intezaar mein raha main...
~*~
jab dikha nahi mujhe chand
ghane badalo ko dekh ro paada  main...
~*~
yunhi hi tarafta raha
bebas rota raha
rabb se shikayat karta raha
kyon usse juda hua main...
~*~
yunh to zinda hu
saansein le raha hu 
muskura bhi raha hu
teri judai se mann hi mann jaale ja raha hu main...
~*~
ek baar kareeb aakar to dekh
tere bagair NaaZ
main nahi hu main...
[written by romil arora - copyright reserved]

tujhse milana...


dil to chahata hain har pal tujhse milana
tere pass waqt na ho
hum to sochate hain har pal tujhse milana...
~*~
tujhe na yaad ho mere haanton ko pakad kar
raah main chalana
mera haath to chahta hain ab bhi tujhse milana...
~*~
kadam thak chuke hain chalte-chalte
ab tanha chala nahi ja raha hain mujhse
fhir bhi kadam chahte hain tujhse milana...
~*~
tumhain na sunaiye de yeh dil-e-aawaz mere
magar yeh saansein kehti hain
naaz mujhe tujhse milana...
naaz mujhe tujhse milana...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, November 12, 2009

kab ka marr chuka hu...


meri saanson ko chalta dekh yeh na samaj main zinda hu naaz
kareeb aakar dekh main kab ka marr chuka hu...
[written by romil arora - copyright reserved]

aarzoo thi meri tujhe apne haanton se dulhan banau...


aarzoo thi ki tujhe apne haanton se dulhan banau
supurd karke kisi farishtee ke
main teri yaadon main zindagi bitau...
~*~
bicha kar gulabo main dosti-e-wajood
main toote hue dil ke kaantein apne saath le jau...
~*~
roshani se saaji rahe teri mehfil
main andheron main kahi kho jau...
~*~
tujhse judai ka gum main apni aankhon main chupau
aansoo ko dil main rakhu, hoonton se muskurao...
~*~
naaz...aarzoo thi meri tujhe apne haanton se dulhan banau...
[written by romil arora - copyright reserved] 

Wednesday, November 11, 2009

rabb se keh do...


rabb se keh do mere gunahon ko maaf kar de
mujhe jannat main jagah de de...
meri naaz hain wahan
uska saath mujhe de de...
[written by romil arora - copyright reserved]

tere liye...


tujhse mulaqat fhir hogi naaz 
yeh umeed hi kaafi hain mere jeene ke liye...
~*~
teri tasveer na ho mere pass
tera naam ki kaafi hain naaz, teri bandagi ke liye...
~*~
tujhe na ho meri baaton se lagan-laagi naaz
main tujhse karta hu baatein apni khushi ke liye...
~*~
na ho jannat main jagah mere liye naaz
main saadiyon tak karta rahunga tera intezaar apne liye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, November 10, 2009

kabhi na bhool payega...


dil kehta hain yeh dosti ka silsila yuhi chalta jayega
mujhse aaye dost tu juda hokar kahan jayega...
*
main apni yaadon se chiraag jalata jayunga
dekhata hu rabb waqt ki aandhiya kab tak chalayega...
*
mujhe yakeen hain tu ek din laut kar jarur aayega
meri suni zindagi main fhir khushiyoon ka phool khelayega
*
har pal yeh saansein yuhi tujhko pukarati jayegi
kab tak meri aawaz ko tu ansuni karta jayega...
*
yeh aankhein chahe band ho jaye
yeh jubaan na fhir kabhi bol paye
yeh saansein chahe tham jaye
magar yeh mann kabhi tujhko na bhool payega
aaye meri naaz teri wafaon ko kabhi na bhool payega...
[written by romil arora - copyright reserved]

ab to aa jayo meri naaz mere pass...


meri baaton par yakeen karo 
mere dost suno to zaara...
ab hum kisi se ladai nahi karenge
na hi kisi ko kuch kharab bolenge
koiye kuch bolega bhi to chup-chap sun lenge
jo tum kahogi woh hi hum karenge
aa jao
ab to aa jayo meri naaz mere pass
ab to aa jayo meri naaz mere pass...
***
subah samay se hi jaagenge
khana bhi samay se hi khayenge
raat main bhi samay se hi so jaya karenge
jo tum kahogi woh hi hum karenge
aa jao
ab to aa jayo meri naaz mere pass
ab to aa jayo meri naaz mere pass...
***
shoes khud hi polish karenge
tie knot bhi bandhana seekh lenge
breakfast banana bhi seekh lenge
jo tum kahogi woh hi hum karenge
aa jao
ab to aa jayo meri naaz mere pass
ab to aa jayo meri naaz mere pass...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, November 9, 2009

ab tumhare bin jiya nahi jaata...


yeh judai ka dard ab saaha nahi jaata.
kab tak rahu main yaadon ke sahare
ab tanhaiyoon ke mehal main raha nahi jaata.
tum maano ya na maano naaz
ab tumhare bina jiya nahi jaata...
***
le chalo mujhe tum apne saath
tumhare bin yeh jeevan guzara nahi jaata
tum maano ya na maano naaz
ab tumhare bin jiya nahi jaata...
***
khud se karta rahu main kab tak teri baatein
yunh paagalon sa jeevan jiya nahi jaata
tum maano ya na maano naaz
ab tumhare bin jiya nahi jaata...
***
kya karna aaisa jeevan
jisme tu nahi...
tera saath nahi...
keval saanson ke sahare se jeevan jiya nahi jaata
tum maano ya na maano naaz
ab tumhare bin jiya nahi jaata...
[written by romil arora - copyright reserved]