Showing posts with label mohabbat. Show all posts
Showing posts with label mohabbat. Show all posts

Saturday, August 4, 2018

mohabbat aur khudgarzi...

Tum jaison ke liye...
mohabbat aur khudgarzi 
mein jyada fark nahi hota hai...

sirf apna faida... apni khushi... apna future....
apna... apna... apna... sirf apna sochate ho...

# Romil

तुम जैसों के लिए...
मुहब्बत और खुदगर्जी
में ज्यादा फ़र्क नहीं होता है...

सिर्फ़ अपना फ़ायदा... अपनी ख़ुशी... अपना फ्यूचर...
अपना... अपना... अपना... सिर्फ़ अपना सोचते हो...

#रोमिल

Tuesday, July 31, 2018

Ek mohabbat woh hoti hai...

ek mohabbat woh hoti hai jo kisi ka dil todh deti hai...
ek mohabbat woh hoti hai jo kisi ke toote hue dil ko jod deti hai...

raahein to khud-ba-khud banti jaati hai...
bas insaan ko qadam badane ki dair hoti hai...
dehleezein langhane ki dair hoti hai...
chaar deewarein todne ki dair hoti hai...

- RaJ

ek toote dil wala saccha insaan
kabhi dusare ka dil tod nahi sakta, 
kyonki use dard ka ehsaas, tootane ka gum pata hota hai...

- raj

Saturday, July 28, 2018

Yeh mohabbat hai.... Yahan haath do aur do, chaar nahi hote...

Mohtarma Sahiba...

"Yeh Mohabbat hai...

Yahan haath do aur do, chaar nahi hote...
Balki roohein ek aur ek, ek ho jaati hai...
Agar ek rooh, jism se aazad ho jaye na, to dusari rooh fir ek hone ke liye sadiyon tak tadapti rehti hai..."

#Romil

मोहतरमा साहिबा...

"यह मुहब्बत है...
यहाँ हाथ दो और दो, चार नहीं होते...
बल्कि रूहें एक और एक, एक हो जाती है...
अगर एक रूह, ज़िस्म से आज़ाद हो जाये ना, तो दूसरी रूह फिर एक होने के लिए सदियों तक तड़पती रहती है..."

#रोमिल

Tuesday, July 24, 2018

Mohabbat mein Aurat se koi jeeta nahi hai... aur Nafrat mein Aurat ko koi hara nahi saka hai...

NaaZ keh rahi thi..

Mohabbat mein Aurat se 
koi jeeta nahi hai...
aur
Nafrat mein Aurat ko 
koi hara nahi saka hai...

- Sultan

Friday, April 27, 2018

Some Words... Some Feelings...

Zindagi lutakar tera naam paya hai...
Romil, maine bhi wafa mein kya enaam paya hai...
#####

Dunia ke sawalon mein aisa uljha ki fir sulajh na paya Romil...
Tere-mere ristee ka koi bhi jawab nikal na paya...
#####

Tamasha khud zindagi to tumne bana bana rakha hai...
Ishq ka Ajeeb khel, khel rakha hai...
Ajab hai tumhari chahatein,
Jisko dost...
Usi ko apna dushman bana rakha hai...
#####

Badi ajeeb hai apne Safar ki kahani...
Jis raste par bhi chalo...
Tum usi raste par hi aakar mil jaate ho...
#####

Mitti se rishta bhulaye nahi jaate...
Kuch rivaz aise hai jo tode nahi jaate...
Insaan chahe jitna bhi aage chala jaye...
Kuch pairon ke nisaan reh jaate hai, jo mitaye nahi jaate...

- Romil RaJ

Thursday, April 26, 2018

Some Words...

Main to uski ada pe aaj bhi fida hun Romil...
Na jaane usne taana marna seekha hai kahan se...
**********

Tune use muahkilon mein daal diya RaJ...
Woh to kehta tha ki tere bina neend hi nahi aati mujhe....
**********

Ajab kahani hai mere sone ki Sultan...
Kabron pe sota hun...
Dil ki tasalli ki khatir...
**********

Use mere hisse ka waqt nikalna padta hai...
Aur ek hum hai Romil, jo har waqt uske naam se guzarte hai...

- ⛅

Kuch bhooli-bisari baatein...

Mere Dil tu uska Hausala to dekh...
Saathi woh usko kahe, jisne kabhi saath diya hi nahi...
++++++++++

Uff yeh ada...
Yeh aankhein...
Yeh muskurahat...
Yeh zulfein...
Yeh kangan...
Yeh jhumka...
Romil, aaj to woh Sheetal Chand bhi jalan se jal raha hoga...
++++++++++

Hum dono ko apni-apni aadat mein Maharat Haasil hai Romil...
Tumko gum dene mein...
Mujhko Khushi dene mein...
++++++++++

Na do kisi ko apni zindagi ke saath khelne ka haq Romil...
Ki kuch nahi rehta izzat, swabhimaan chale jaane ke baad...

- Romil RaJ

Bas kuch aise hi...

Kuch to baat hogi tumhari qismat mein Romil...
Jo hazaron ko na mil saka woh tera hai...
----------

Hum yeh to nahi kehte Romil, ki teri raah pe khade hai...
Magar yeh bhi sach hai teri nazaron ke samne khade hai...
----------

Khuda mujhe ta-umr uska khayal hi bane rehne de...
Suna hai Romil, woh khayalon mein mujhe apna kehta hai...
----------

Woh suni Manzil...
Woh suni Raahein...
Woh sune Manzar...
Woh suni Haawein...
Beet gaya yeh saal bhi tere aane ke intezaar mein Romil...

- Romil RaJ

Friday, April 13, 2018

Silsila pyar tak nahi pahucha...

Aaina tang aakar toot jayega...
Jo mujhe aajmaoge to bikhar jaoge...

Abhi dikha lo tum apni narazgi...
Hum bhi nahi bolenge jab hamari kabr pe aaoge...

Maana ki hum Kitab purani hai...
Par iske nuskhe aajmaoge to sawar jaoge...

Rangeen nazarein kai milenge tumko...
Par Hamari jaisi saadgi dhoondhe nahi paoge...

aur

Tasveerein bhi khoob nihari...
Baatein bhi ki...
Qasme bhi khai...
Kai Raatein jaag kar kaati bhi...
Aansoo bhi bahaye...
Galiyan bhi di... Kosa bhi use... Jalil bhi kiya...
Roothe bhi... Usko manaya bhi...
Saare daav-pech chal ke dekh liye...
Par Silsila pyar tak nahi pahucha...

#RaJ

Thursday, April 12, 2018

Humse kehta...

Kaash kabhi qareeb mere bimaar-e-yaar hota...
aur humse kehta...
Mere sarhane se uthkar mat jao...

Kabhi dildar-e-yaar se jo hum rooth jaate...
to humse kehta...
Udaas chhod ke in rangeen mausamo ko mat jao...

aur

Kabhi padte hum saath qasam-e-mohabbat...
kabhi humse kehta...
Aakhiri dum tak saath nibhayunga... Aakhiri saans tootane tak mera saath chhodhkar mat jao...

- RaJ

Friday, April 6, 2018

Mohabbat aisi dekhi ki dil bhar aayaa...

Mohabbat aisi dekhi ki dil bhar aayaa...
Woh bhi tasveer se nikal aaya...

Fhaake ke din rahe ho ya fir Gurbat ne use gehra ho...
Uski jhopdi mein khud ko maine Rani ki tarah paaya...

aur

Pehle apne grehba mein jhako jo humein bewafa keh rahe hai...
Humne inko kai baar apne dushmano ke saath hai paaya...

- Romil RaJ

Monday, April 2, 2018

Teri mohabbat wajah hai meri bekari ke peeche..

Bujurgon ki rivayat hai meri khuddari ke peeche...
Teri mohabbat wajah hai meri bekari ke peeche...

aur

Ammi kehti thi...

Karm us Kul Malik ka hi to hai...
Jo aaye the Beparda is jahan mein...
Saj Sawar ke band-baajee ke saath pahuche kabristan mein...

4th April...

#Romil Raj 

Saturday, March 31, 2018

Sar chaddkar mohabbat ka asar bolta hai

Sar chaddkar mohabbat ka asar bolta hai...
Jab apne seene mein mehboob ka dil bolta hai.. 

Tum lakh kar lo parda...
Sach to tumhari nazaron se bolta hai...

Aksar milte ho baat nahi karte ho...
Lub khamosh rehte hai par jism bolta hai...

aur

Main sirf qatil hun, gunehgar nahi...
Uska yeh zameer roz usse bolta hai...

31st March

- RaJ 

Friday, March 30, 2018

Parinda awaal darje ka maine paya...

Yeh baithe-baithe kahan kho gaye ho tum... 
Kaun sa gunah yaad aaya...
Jo tumko Khuda yaad aaya...

Bade arse se yeh kahi chupa pada tha... 
Aaj yeh aansoo dhulak aaya... 

Aag apne hi lagate hai zindagi mein... 
Hawan dene ka kaam gairon ke hisse aaya...

aur

Muddaton baad koi shaks mila hai apne sa...
Jise maine khud se Shikayat karte hue hai paya... 

Giraft mein uski chuthkar woh fhurr se uda gaya... 
Parinda awaal darje ka maine paya...

aur

Hazaron aaine tootkar bikhar gaye... 
Magar woh sach na bola...
Ik shaks maine bhi bada fankar paya...

- Romil RaJ

Pani ke katre nahi sirf...

Pani ke katre nahi sirf...
Ismein lahu ka rang bhi shamil ho...
Mohabbat ho ya fir Jung ho sab kuch jaeez ho...

Jalo to is tarah Jalo...
Mohabbat mein jalo to is tarah jalo...
Ki dhua bhi na ho...

Siyasat aisi karo...
Mohabbat mein Siyasat aisi karo...
Jiska main chahane wala hun, uska koi aur qadrdaan na ho...

Junoon usko haasil karne ka rakho...
Jiske chaaron tarah deewar hi deewar ho...

aur

Zamane se keh do...
Qais abhi tak zinda hai...
Tum haaton mein pathar taiyaar rakho...

Laila...Qais ki hokar hi maregi...
Aye Khuda... Apne fariston se keh do thoda sa abhi shabr karo...

- Romil RaJ 

Wednesday, March 28, 2018

Mere hunar ka fann to dekho...

Mere hunar ka fann to dekho...
Ek hi Shaks se baar-baar mohabbat karna...

#Romil Raj

Saturday, August 24, 2013

mujhe maloom hai woh kya soch raha hoga

mujhe maloom hai woh kya soch raha hoga
woh pita ke aashirwad bina kaise doli mein vida hoga

aur

itne saal beet gaye, woh milane tak na aa saki
kya kabhi usne mere khaton ko nahi pada hoga.

aur

kya karogi uski khabar rakhkar
kya karogi tum uski khabar rakhkar
tasveer to hai nahi, bas tere naam ke saath kisi andheri kothari mein pada hoga.

aur

sar se paav tak woh chand sa khila hoga
na jaane woh raat kaisi hogi jab woh mera hoga.

#Romil

मुझे मालूम है वो क्या सोच रहा होगा 
वो पिता के आशीर्वाद बिना कैसे डोली में विदा होगा 

और 

इतने साल बीत गए, वो मिलने तक न आ सकी 
क्या कभी उसने मेरे खतों को नहीं पढ़ा होगा 

और 

क्या करोगी उसकी खबर रखकर 
क्या करोगी तुम उसकी खबर रखकर 
तस्वीर तो हैं नहीं, बस तेरे नाम के साथ किसी अंधेरी कोठरी में पड़ा होगा 

और 

सर से पांव तक वो चांद सा खिला होगा 
ना जाने वो रात कैसी होगी जब वो मेरा होगा 

#रोमिल

Wednesday, August 21, 2013

Ishq ka ab woh zamana nahi raha

Ishq ka ab woh zamana nahi raha 
Woh hai mera magar diwana nahi raha
*
Uske khokhalepan ko zaara gaur se dekho
Nazaron mein ab woh ishq-e-dariya nahi raha
*
Yeh kisne cheen li muskaan-e-baarish usse
Khushiyon mein bhi sukun-e-chain nahi raha
*
Romil, Meri zubaan pe shikwa-e-sanam-e-sitam tha, hai aur hamesha rahega
Nazdikiyan chahe jitni bhi badh jaye magar woh junoon-e-ishq nahi raha.

#Romil

इश्क का अब वो जमाना नहीं रहा 
वो है मेरा मगर दीवाना नहीं रहा 

उसके खोखलेपन को जरा गौर से देखो 
नजरों में अब वो इश्क-ए-दरिया नहीं रहा 

यह किसने छीन ली मुस्कान-ए-बारिश उससे 
खुशियों में भी सुकून-ए-चैन नहीं रहा 

रोमिल, मेरी जुबान पे शिकवा-ए-सनम-ए-सितम था, है और हमेशा रहेगा 
नजदीकियां चाहे जितनी भी बढ़ जाए मगर वो जुनून-ए-इश्क नहीं रहा.

#रोमिल

Tuesday, July 30, 2013

apne yaar ke liye.

payal ki halki si jhankar ke liye
woh vilayat chhod aaya goan, apne yaar ke liye.

uski daulat saari dhari ki dhari reh gai
fakeer ne thukra di uski mohabbat, apne sanam-apne pyar ke liye.

khali waqton mein woh baith kar kahi sochati hogi
kaash main bhi apno se lad gai hoti, apne bachpan ke yaar ke liye. 

aur

dushman se woh takra jata hai sher ki tarah Romil
bas zamane ke samne juban band ho jaati hai uski, apne bewafa yaar ke liye.

aur

fhook dunga kisi roz main khuda tujhe
sach keh raha hoon
fhook dunga kisi roz main khuda tujhe
itna mat sata garibon ko, majburon ko, bebason ko apni hukumat ke liye.

Sunday, July 21, 2013

Ishq ki mujhse baat na karo

Ishq ki mujhse baat na karo
ki mera beta jawan ho gaya hai.

Yeh diye to mere hi hai
bas roshani par haq kisi gair ka ho gaya hai.

Yeh majboori, yeh bebasi tumhein main samjha nahi sakti
bas itna samjho koi khud hi ke usulon mein qaid ho gaya hai.

aur

Kal tere pass hi aana hai mujhe... yeh vaada kaise karu?
Romil, jiska aaj hi kahi gum ho gaya hai.