Showing posts with label rAj. Show all posts
Showing posts with label rAj. Show all posts

Thursday, August 9, 2018

Cake...

Jhooti hai...
Haan... Jhooti hai...
Cake hamare liye bana rahi hai...

Bhai to sirf drama ka hissa hai iska...

RaJ naam ka bhai, bhai ka naam RaJ... Drama hai sab iska...

Cake hamare liye hi bana rahi hai...
Khud hi poora ka poora finish kar jayegi... Bhukkad...

Isne mere birthday par bhi cake banaya tha...
Arre yaar Room ki table pe rakha hua tha...

Kuch bhi batati nahi hai...
Na kuch bolti hai...
Par jab main Apne Dil ko kas ke jakad ke puchata hu to woh uske Dil ke raaz bhi khol deta hai...

Itni Mohabbat hai... Fir bhi kehti kyon nahi...
Shayad mujhpar yakeen nahi... Maybe...

Par RaJ always love u Sonu...

- RaJ

Beintehaa...

Tumhe Chaha tha...
Tumhe Chahunga...
Beintehaa...

Apni khamoshiyon se keh...
Apni tanhaiyon se keh...
Dil mein guftugu karta hai woh...
Beintehaa...

Kabhi Saaya banke zulfon se khel jaata hai...
Kabhi baahon mein bharkar bistar pe laita jaata hai...
Kabhi ban kar khawab, honton pe muskaan bikheer jaata hai...
Meri rooh ki parton se lipta hua hai woh..
Beintehaa....

- RaJ

Main... Woh...

Yeh subah isliye daudati hai kyonki isne bahut income kama li... 
Weight badh gaya...
Main isliye daudata hu kyunki main kuch kama-dhama nahi saka... 
Roz roti ke liye daudana padta hai...

Main isliye baniyaan nahi pehanta kyunki khareed nahi sakta...
Yeh isliye baniyaan nahi pehanti kyonki fashion hai...

Main Bhagwan ke darbar hamesha kuch na kuch mangane pahuch jaata hun...
Yeh SankatMochan ke liye jaati hai taki apni kamai Chor-Daku se bacha sake...

Main isliye jaagta hu raaton mein...
kyunki gurbat, garibi, pareshani sone nahi deti hai...
Yeh isliye jaagti hai kyunki Daulat, Qamyabi ne iski neendein uda rakhi hai...

Yeh building banana to seekh gai par 
ek Ghar nahi bana saki...
Main ek jhopadi to bana saka par usko ghar ki tarah sawaar na saka...

Apni-Apni kahani hai...

Khush raho... Mann se sundar raho...

- RaJ

Chalo aaj saath baithke aansoo baha lete hai...

chalo aaj saath baithke aansoo baha lete hai...
aaj andaaz-e-guftagu rehne do, khamosh rehte hai...

mere haathon pe haath rakhkar khamoshi ka dilasha hi sahi...
chalo andhere mein dube hue dil mein ek chiraag jala lete hai...

kabhi mere maathe ko chumo...
kabhi mere kandhe pe rakho apna sar...
chalo khamosh pade dariya mein ek chhota ka pathar maar halchal macha hi dete hai...

- raj

09th August - tujhe paane ki koi umeed nahi...

tujhe paane ki koi umeed nahi...
fir bhi duaoon ka silsila thamta hi nahi...

tujhe gair ki amanat ke taur pe main dekhu...
dil yeh baat maanta hi nahi...

tujhe kaise haq ke saath apni malkiyat bana lu...
manzil to samne khadi hai mere...
par koi rasta hi nahi...

- raj

09th August - Chand...

Chand bhi tumhari tarah hai...
Aasmaan mein akela, tanha fir bhi saare jahan ko roshan karta hua...

Utna hi paak...
Behintiyan mohabbat ki roshni barsaata hua...
Gaur se dekho ise, khule aasman mein kitna tanha, akela hai fir bhi kisi se koi shikwa, koi gila nahi...

- RaJ

09th August - Chiraiya...

Kaash tum bhi is Chiraiya ki tarah hoti...
Fhurr se udd kar mere pass aa jaati...

Na koi sarhadein...
Na koi deewarein...
Bas khula aasman sang tumhari udaan...
Haawaon ko cheerati hui...
Sabse bachti-bachaati... Sabko peeche pachadati...

Meri Chiraiya...
Mere Pass Hoti...

- RaJ

09th August - Mehandi...

Yeh mehandi pe sirf mera hi naam kyon likha hai...

Ab Itni na-insaafi kyon apne naam ke saath...

Chalo badao apna haath... 
RaJGuNn ko ek kar de...

Yeh ab hai na perfect...
"GuNnRaj"

- RaJ

Wednesday, August 8, 2018

Tumne umar ka labada odh rakha hai, Maine odh rakhi hai tajurbon ki chadar...

Tumne umar ka labada odh rakha hai...
Maine odh rakhi hai tajurbon ki chadar...

Tumhein khudgarzi ne Shehanshah bana diya...
Mujhe Ishq ne bana rakha hai fakeer-e-azam...

Tumne muskurahaton se saja rakha hai chehara...
Maine gumon se roshan kar rakhi hai Dil-e-basti...

Tumhe pasand hai dariyaaon mein gota lagana...
Maine mohabbat-e-sagar se kar rakha hai kinara...

Tumne haq se liya nahi kabhi mera naam...
Maine fark hi nahi samjha Khuda aur Sanam mein...

- RaJ

Tuesday, August 7, 2018

Shareek-e-hayaat banne mein....

shareek-e-hayaat banne mein 
aur 
aitbaar-e-zindagi-e-humsafar banne mein bada fark hota hai...

har roz tere badan se ajnabi si itra ki khushboo aati hai...

- raj

Pinjare sirf Qaid ke liye nahi Hifazat ke liye bhi hote hai...

Pinjare sirf Qaid ke liye nahi
Hifazat ke liye bhi hote hai...

Tarjuma...

Woh UK, Punjab, Mumbai, Pune jahan bhi rahe, jis tarah chahe us tarah ude, 
khoob uchhale, kude, naache...
Pinjara khula hai...
apni azaadi ke saath jiye...

Fir bhi woh meri mohabbat ke pinjare mein Qaid hai Hifazat ke saath... 
Sirf "teri deewani hu" ke saath...

- RaJ

Monday, August 6, 2018

Baarish ki boondein...

Mere Mohabbat Ke Saagar ko in Baarish ki Boondon ki jarurat nahi hai...

Fir bhi aacha lagta hai...
Jab tum subah uthkar mera maatha chumati ho...
Pehli chai ke saath jab tum mere haath ki ungaliyon ko apne haath ki ungaliyon se jakarti ho... Kabhi hatheli sehlati ho...
Jab tum jhappi karke ghar se nikalti ho...
Din mein call karke puchati ho khana khaya ya nahi...
Jab thaki hui ghar aake mere kandhe pe apna sar rakh deti ho... To kabhi apna sar meri goad mein rakh deti to... To kabhi-kabhi apni tange fhelakar meri goad mein rakh deti ho...

Baarish ki boondein aachi lagti hai...

#Romil

मेरे मोहब्बत के सागर को इन बारिश की बूंदों की जरूरत नहीं है...

फिर भी अच्छा लगता है... 
जब तुम सुबह उठकर मेरा माथा चूमती हो 
पहले चाय के साथ जब तुम मेरे हाथ की उंगलियों को अपने हाथ की उंगलियों से जकड़ती हो... कभी हथेलियां सहलाती हो... 
जब तुम झप्पी करके घर से निकलती हो... 
दिन में कॉल करके पूछती हो खाना खाया या नहीं... 
जब थकी हुई घर आकर मेरे कंधे पे अपना सर रख देती हो... तो कभी अपना सर मेरी गोद में रख देती हो... तो कभी-कभी अपनी टांगें फैलाकर मेरी गोद में रख देती हो... 

बारिश की बूंदे अच्छी लगती हैं...

#रोमिल

Aitbaar...

Aitbaar karna hai to Mujhpar karo...

Yeh Zameen-Makaan... Daulat-Shohrat... Career-Service-Business 
ka kaisa Aitbaar... 
Aaj hai kya pata kal nahi bhi ho sakte...

Agar mein Dhoka de du tumko...
To kya umar bhar 
rasm-e-mehar-o-wafaa 
ki adayegi ke saath zindagi bitaogi...

Mohabbat mile ya na mile par 
zindagi mein insaan Aitbaar wala milna chahiye...

#Romil

ऐतबार करना है तो मुझपर करो...

यह ज़मीन-मकान...दौलत-शोहरत...
कैरियर-सर्विस-बिज़नेस
का कैसा ऐतबार...
आज हैं क्या पता कल नहीं भी हो सकते...

अगर मैं धोखा दे दूँ तुमको...
तो क्या उम्रभर
रस्म-ए-मेहर-ओ-वफ़ा
की अदायगी के साथ ज़िन्दगी बिताओगी...

मुहब्बत मिले या ना मिले पर
ज़िन्दगी में इंसान ऐतबार वाला मिलना चाहिए...

#रोमिल

Subah ki pehli chai ka pyala...

Subah ki pehli chai ka pyala...
Baarish...
Halki si haawein jo jism ko chuukar guzar jaati hai...
Aur uski yaad...

Chumchum si hai... bengali mithai si meethi...
Bas mooh mein ghulte hi ajeeb si mithas de jaati hai...
aur fir ungaliyon par lage hue ras ko chatana... ajeeb rahatein mil jaati hai...

Haq nahi hai...
Fir bhi rasm-e-mehar ada kar raha hun...
Usne likhwaya tha sirf mere rehna...

Kisi tasveer mein bhi uski Naak cheedi hui nahi dekhi...
Lagta hai usne mere naam ka nahi pehna hai Challa...

mehandi pe mera naam bhi nahi...
Qabool hai ... Qabool hai... Qabool hai ...
Haq se kaho RaJ hai mera...

- RaJ

Usko love u bola hi nahi jaata...

Usko love u bola hi nahi jaata....
Darta hun... Haq jo nahi hai...
Kya baatein karu usse... guftugu ke liye lab thehar se jaate hai...
Dil ke andar shabdon ka Toofan macha hota hai par lab khamosh ho jaate hai...
Raat bhar aankhein khuli rehti hai... bistar par na jaane kaisi bechani rehti hai... neend ki jagah karvatein hi karvatein hisse mein aati hai...

Dil ki baatein usse kar hi nahi pata hun...

- RaJ

Insaan ko bhudape mein kya chahiye hota hai...

Bas aise hi soch raha tha...

Insaan ko budhape mein kya chahiye hota hai...
Ek sar dhakne ke liye chhat...
Baatein sunane ke liye ek Humsafar...
Walk ke liye saathi... Care ke liye saathi...
Do waqt ka saada sa khana... 
Subah-Shaam ki chai...
Thodi bahut Pooja... Kuch adyamik kitabein...
TV pe khabrein... ya padne ke liye akhbaar...
Thodi bahut si raunakein...

Bas kat gaya budhapa...

Tanhai...
Deewaron se baatein karna...
Baithe-Baithe maut ka intezaar karna...
Bhala kise pasand hoga...

- RaJ

Sunday, August 5, 2018

Tu rait pe likha naam ho jaise...

Tu rait pe likha naam ho jaise...
Halka sa hawa ka ek jhoka aata hai...
Tu mujhse door ho jaata hai...
***
Sabke bol ki parvah hai tujhe...
Kisi ke kadvahat se, kisi ke meetha bol pasand hai tujhe...
Bas mere hi vaaste khamoshi raas aati hai tujhe...
***
Mohabbat ki kitab si ban gai hai tu...
Jise har koi padna chahta hai...
Koi dilchaspi ke liye...
Koi ibadat ke liye...
Koi seekhane ke liye...
to koi maskarepan ke liye...
Sabhi alag-alag jaruratein ban gai hai tu...
***
Jaana hai to abhi jaa... Chali ja...
Par khel na is Dil se...
Saath Chhodne ka bhi ek saleeka hona chahiye...

#Romil

तू रेत पर लिखा नाम हो जैसे...
हल्का सा हवा का एक झोंका आता है...
तू मुझसे दूर हो जाता है... 

सबके बोल की परवाह है तुझे 
किसी के कड़वाहट से, किसी के मीठे बोल पसंद है तुझे... 
बस मेरे ही वास्ते खामोशी रास आती है तुझे... 

मोहब्बत की किताब सी बन गई है तू 
जिसे हर कोई पढ़ना चाहता है 
कोई दिलचस्पी के लिए 
कोई इबादत के लिए 
कोई सीखने के लिए 
तो कोई मस्करीपन के लिए... 
सबकी अलग-अलग ज़रूरतें बन गई है तू... 

जाना है तो अभी जा... चली जा... 
पर खेल ना इस दिल से... 
साथ छोड़ने का भी एक सलीक़ा होना चाहिए...

#रोमिल

Saturday, August 4, 2018

Radio... Kishore Da Day hai Bangadu...

*Inteha ho gai intezaar ki...
Aai na kuch khabar mere yaar ki...
Yeh humein hai yakeen bewafa woh nahi...
Fir wajah kya hui intezaar ki..."

Main ga raha tha... Woh aaj Kishore Da ka din jo tha Bangadu...

Tumne peeche se kahan tha...
"Chale Hero... Yeh kaam kab se start kar diya gakar mangane ka..."

Maine jawab diya tha...
"Abhi-Abhi socha tumhare office se start karu... Lo pehla grahak mil bhi gaya, boni-batta bhi ho gaya...

Petrol bharwa do..."

Tumne kaha tha...
"Tumse lift lena gunah hai samjho... Chalo full karwa lo tank..."

Petrol bharwane ke baad...

Tumne pucha tha...
"Waise kya kar rahe the itne dair se office ke bahar... Andar aa jaate AC ki hawa hi kha lete..."

Maine jawab diya tha...
"AC na re... Eye_tonic le raha tha..." hahaha....

Tumne kaha tha...
"Dhakka de dungi gaddi par se... Qasam se... Waise office mein bhi batheri hai, wahan baithkar bhi le sakte the..."

Maine kahan tha...
"tumhe koi aur dekhe to jalta hai Dil...
badi mushkilon se fir sabhalta hai Dil...
kya-kya jatan karte hai tumhe kya bataye...
yeh Dil beqarar kitna yeh hum nahi jante...
Magar jee nahi sakte tumhare bina...

Humein tumse pyar kitna yeh hum nahi jante...
Magar jee nahi sakte tumhare bina..."

Tumne peeth pe haath maarte hue kahan tha...
"Yeh roadchhap Romeo banna band karo... Log dekh rahe hai Mr..."

Tabhi traffic police rok leti hai...
"Kahan hai Helmet..."

Maine kaha...
"Dikki mein... aur kahan..."

Traffic police...
"Chalo gaadi ke kaagaz lekar Saab ke pass jeep mein pahucho..."

Maine tumko Ishara karte hue kahan...
"No problem... Main phone karta hu..."

(Phone pe...)
Woh helmet nahi lagaya tha... Rok liya hai isne...

(Udhar se...)
Tu naam dekhkar bas bata de... Main khud call karti hu usko...

Traffic police thodi dair baad...
"Is number ki gaadi tumhari hai..."

Maine kahan...
"Yes Sir... Ji meri hai..."

Traffic police
"Order mila hai humko ki... Iska double challan kaato... Peeche ek Ladki bhi bina helmet ke baithi hogi uska bhi challan katana hai... Aur saath-saath written mein warning likhna next time helmet nahi to direct licence cancel... 

Full panelty thokana dono par..."

Tum haste hue gaana ga rahi thi...
"Golmaal hai sab Golmaal hai...
Seedhe raste ki yeh ulti hi chaal hai...
Golmaal hai bhai sab Golmaal hai...
Golmaal..."

"Chalo garma-garm Bhutta khilati hun... Aur karo phone... Phone karta hun..." hahaha..

Saath-Saath Traffic Police wale bhi hans rahe the...

- RaJ

tauba karo ranjishon se...

ama miya... tauba karo ranjishon se...
chai pilake mana lo...
kareeb bithake mohabbat ke kabutar lada lo...
bhej do usko uske naam sang subah-subah gulab...

अमा मियां... तौबा करो रंजिशों से...
चाय पिलाके मना लो...
क़रीब बिठाकर मुहब्बत के कबूतर लड़ा लो...
भेज दो उसको उसके नाम संग सुबह-सुबह गुलाब...

"GuNn... Suno...
Nahi kuch nahi...
Bas naam pukarna aacha lagta hai..."

गुन...सुनो...
नही कुछ नहीं...
बस नाम पुकारना अच्छा लगता है...

"Dekha... Mera sabr jeet gaya na...
Tum meri malkiyat bani baithi ho...
Fakeer ke bhi din fhir gaye..."

देखा... मेरा सब्र जीत गया ना...
तुम मेरी मलकियत बनी बैठी हो...
फ़कीर के भी दिन फिर गये...

"Ammi ka khayal rakho...
Kabhi kareeb baithke pair daba do...
Baalon mein tel laga do...
Purani tasveeron ki album ke saath yaadein taza kar lo..."

अम्मी का ख़्याल रखो...
कभी क़रीब बैठके पैर दबा दो...
बालों में तेल लगा दो...
पुरानी तस्वीर की एल्बम के साथ यादें ताज़ा कर लो...

#Romil
#रोमिल

Friday, August 3, 2018

Dekh... Gussa tera jayaz nahi hai...

Dekh... Gussa tera jayaz nahi hai...
Ek call hi to nahi uthai...
Koi apni ladai nahi hai...

Aise kaise marr sakti ho??
Abhi to apne Milan ki ghadiyan tak aai nahi hai...

Kya kahan... Kabhi baat nahi karungi...
Jhooti ho... Mujhe daante bina tum reh nahi sakti ho...

aur suno...

Maa ka khayal rakho...
Koi help chahiye... Sewa... Attendent... Care... Any... Mujhse bejhijhak bol sakti ho...

(Bas shart itni hai unko pata na chale ki main kaun hu... keh dena servant hire kiya hai...)

- RaJ