Showing posts with label sach se RUBARU.... Show all posts
Showing posts with label sach se RUBARU.... Show all posts

Thursday, July 26, 2018

Galti yeh nahi hai meri ki Maine Pyar Kiya... Haan galti itni jarur hai Tum jaise Aurat se pyar kiya...

Galti yeh nahi hai meri ki
Maine Pyar Kiya...

Haan galti itni jarur hai
Tum jaise aurat se pyar kiya...

- RaJ

House without Roof...

Bina Paise ke
Tu Baap to ban sakta hai...
Par Baap ho nahi sakta...

Baap hone ke liye Pehe chahiye...
Pehe Kaake... Pehe...

House without Roof...

- RaJ

Successful... Unsuccessful...

Hey Rabba... Mere Maalik...

Meri hone wali Beti se ek baat jarur puchh lena...

"Tu successful baap ke yahan paida hona chahati hai ya fir kisi unsuccessful baap ke yahan..."

Ya fir yeh puch lena...

"Agar tera baap kabhi zindagi mein successful insaan bana hi na to... Tab bhi uske yahan paida hona chahegi..."

Suna hai... Tu is dunia ke janjaal mein bhejane se pehle duniyadaari ki baatein apne bandon se puchhata hi nahi hai... Kaisa qayenaat-e-khuda hai tu?

- RaJ

Sunday, July 22, 2018

Sach se Rubaru - Sampoorna Shishya...

Sach se Rubaru

Maine Baba Ji se kahan... Baba Ji Bhandare mein itni Sangat aati hai, Itne logon ne naamdaan liya hua hai, Itni Sangat sab sewa karti hai... Kya sabko mukti mil jayegi, sabki rooh ko ant samay mein Satguru Ji lene aayenge...

Baba Ji ne Kahan... Woh dekho Aam ka vishal ped... Kuch fhal aandhi-toofan mein gir jaate hai, kuch fhal ped pe lage-lage hi sadh-gal jaate hai, kuch fhal ko keedhe-patange kharaab kar dete hai.... Kisko pata ki kis ped ke fhal ke saath kya hona hai... Kuch hi hoti hai Ambiya jo Aam ban paati hai... Yaani sampoorna fhal...

Isi prakaar yeh Sangat bhi hai... Kuch hi Sangat hoti hai jo sampoorna shishya ban paati hai...

Parantu sabko apne-apne karmo ka fhal avasya milega... Isliye bina fhal ki chinta kiye hue shraddha, vishwas ke saath karm karte jao beta...

Saturday, July 21, 2018

Sach se Rubaru - Prem kabhi mangata nahi, kabhi hisaab-kitaab nahi karta...

Sach se Rubaru...

Baba ji kareeb aaye aur bole...
"Premi kabhi mangata nahi, kabhi hisaab-kitaab nahi karta..."

Teri jagah us Kul-Maalik ke charno mein pakki hai pagle... 

Beta, waqt hone pe teri Rooh ko lene bahut si mahaan roohani hastiya aayenge, tu taye kar kiske saath jaana hai tujhe...

NaaZ keh rahi thi ki Sultan ko ek jahaan de do... Maine use bhi samjhaya ki "Beti, Maharaj Ji kehte the ki apne mann mein Dera basao..." Apne mann mein Satguru ko, us Kul-Maalik ko basa lo, wahi sabse bada jahaan hoga... Jo Meerabai ne kiya... Jo Kabir Das, Surdas, Sai Bulleshah, Hazrat Sultan Bahu, sabhi Santon ne Kiya... Apne mann mein Dera basao...

RadhaSoami Ji

Thursday, July 19, 2018

Sach se Rubaru... Sambhal...

Sach se Rubaru...

Maine Baba Ji se kaha...

"jab Maa mari maine Bithur, Haridwar, Ujjain jakar sb karm kaand karne wale Panditon ko Pooja, Bhojan, Bistar, Kapde sab kuch ka rupiya-paisa de diya tha...

Par jab Baap mara to Bithur, Ujjain mein Pooja, karmkaand ka rupiya-paisa to de diya... Par Bistar, Kapde in sab ka rupiya-paisa nahi diya tha...

Baba Ji ne Kahan...

Tu kis Brahm mein pada hua hai... Kis veham mein uljha hua hai... Usko Kul-Maalik ne Sambhal liya hai... To kya Kul-Maalik use Bistar, Kapde nahi dega?

In brahm, vehamo, reeti-rivajon ke chakkaron se bahar nikal khud ko is qabil bana ki jeete-jee aur marne ke baad bhi Kul-Maalik tujhe Sambhal sake...

Sach se Rubaru...

Sach se Rubaru...

Jab insaan kisi Rooh ke saath khelta hai...
Ya
Jab koi Rooh Insaan ke saath khele...

To uski maut ke pal ka koi pata-thikana nahi hota hai...

- Sultan

Sunday, July 8, 2018

Walid...

Chahe jitna Nalayak hi Sahi...
Par itna to tha...
Mere Sar pe Baap ka Saaya to tha...

aur

Main chahta hu...
Jab bhi meri Beti, mere Walid ko yaad kare...
Fakr se apna Sar uccha kare...

- Sun

Saturday, July 7, 2018

Ya to tumhari duaaon mein asar nahi hai, ya fir Rab ke fariston ko mera aata-pata nahi hai...

Sach se Rubaru...

Umar ke 34ve ya 35ve padaav mein hunga...

Rab Ji... Bhagwan Ji...
Waqt ke saath sab kuch to le liya...
Bigger... Bigger ka lollipop dekar Chhota sa Mitti ka Khilauna tak le liya...
hahaha...

maa, naaz, baap, ghar-dwar, khusiyaan, sukh-shanti sab kuch... GuNn bhi to...

mere pass sirf is jism mein chhupi hui rooh ke siwa kuch bhi nahi hai...

hehehe...

Woh kehti thi tera-mera duaaon ka rishta hai...
Dusari wali jo Kamini hai, kehti hai tumhare liye hamesha Bhagwan Ji se prayer karti hun...

Sach to sirf itna hai...
"Ya to tumhari duaaon mein asar nahi hai,
Ya fir Rab ke fariston ko mera aata-pata nahi hai..."

Ya Yeh bhi ho sakta hai...
"Shayad Kul-Maalik yeh chahta ho ki iska bandhan sirf mere, sirf mere...saath rahe"

Jaisi uski Razaa...
Banda usi mein khush hai...

- raj

Friday, June 22, 2018

Main jisse rishta todta hun to tod deta hun...

Main jisse rishta todta hun to tod deta hun..
Main jiska saath chhodta hun to chhod deta hun...

Hai meri nafraton mein bhi itni imandari...
Main jisse nafrat bhi karta hun to Dil Se karta hun...

Jisse rishta todta hun to tod deta hun...

-  ⛅

Tuesday, May 1, 2018

Uljhane hi Uljhane...

Uljhane hi Uljhane...

Sirf In+dU hi nahi... Aur bhi bahuton se pareshan hun...

Ik rupiya ke chote wale sikke ne pareshan kr rkha hai...
Bikhari ko do... to woh bhi lauta deta hai...

Dus rupiya ka sikka... Samajh hi nhi aata kon sa chal rha hai kon sa nhi chalta...
Roz koi na koi jhik-jhik kr hi leta hai...

Duniya lagi hai Tarah-Tarah ke shadyantra rachane mein... Naye-Naye kaand rachane mein...
Koi gap marta us ladki ko SMS kiya... Koi gappe krta usko prem-patra likha... Koi meri shaadi-bacchon ki gappe hakata...
Na koi ladki Rubaru hokr humse baat krti... Na face-to-face Ilzaam lagati hai...
Pata nahi kya drama chal rha hai...
Poore shehar, poori dunia mein mere naam ka dhindhora-nagada peeta hua hai...

Ik baar pata chal jaye to saale ko patak ke marna hai...

Monday, April 23, 2018

Dilchasp Masla...

Bada hi dilchasp masla hai...

Jo shaks mujhpe laga raha hai tohmate tamam...
Muddaton hue us shaks se main mila hi nahi...

aur

Jis shaks ko karta rehta hun main pareshan...
Woh shaks mere baare mein ek bhi shabd kehta hi nahi...

- Romil RaJ

Thursday, April 19, 2018

Bharm...

Ik Bharm tha...

Main jise apna samajhta raha...
Woh kabhi mera tha hi nahi...
Ik dhund mein lipte gumnaam se insaan ko maine naam de rakkha tha...
Jiska koi astitva tha hi nahi...
Mujhe ek Bharm sa ho gaya tha...

Saalon mein jisse karta raha baatein...
Jiski baatein sunta raha...
Jisko dekha nahi kabhi tasveer ko sach maanta raha...
Kalpanao mein jise zinda karta raha...
Main ik Bharm mein jee raha tha...

Mujhe Ik Bharm tha...

#Romil Arora

Monday, April 9, 2018

Sach se Rubaru...

Maine apni duniya ko bahut chhota kar rakkha hai...
Bas teen pag (Maa, NaaZ, GuNn) mein hi nap jaati hai...

aur

Maine apne shabdon ko chaar dishao mein bandh rakkha hai (Maa, NaaZ, GuNn, Khud)

#Romil Arora

Thursday, March 29, 2018

Kitna asan hai RaJ ke saath ek chhat ke neeche rehna...

Kitna asan hai RaJ ke saath ek chhat ke neeche rehna...

Uski baaton ko sunna...bas muskurate rehna...
Goad mein uski sar rakh ke kitab ka padna...
Kandhe pe uske sar rakh kar chai ki chuski lena...
Gussa ho jaye to kheer banakar khila dena...
Baahon mein bharkar sona...
Befaltu ke chutkale,  hasi-mazak karna...
Bacchon ki harqatein karna...  Kabhi gehri udasi mein sang kho jana...

Kitna asan hai RaJ ke saath rehna...

- RaJ 

Monday, March 26, 2018

Yeh Jalandhar ki dharti hai...

Yeh Jalandhar ki dharti hai...
Jo puchoge to kahegi...

GuNnRaJ...
GuNnRaJ...
GuNnRaJ...

- RaJ

Saturday, March 24, 2018

Yeh meri Vaishnav wali hai...Sach se Rubaru...

Yeh meri Vaishnav wali hai...

"Maa, NaaZ, GuNn..."

har pal apna inki kripa-chaav mein bitata hun...

#Romil Arora

Thursday, November 10, 2011

बिखर कर दूसरे की ज़िन्दगी में खुशबू लाते है...

"रोमिल, कांटे हमेशा डाली के साथ लिपटे रहते है...
मगर फूल हमेशा बिखर जाते है और बिखर कर दूसरे की ज़िन्दगी में खुशबू लाते है..."

#रोमिल

Monday, November 7, 2011

आदत

उसे जो झूठ बोलने की आदत पड़ गई हैं रोमिल,
कसूर मेरा था जो उसकी हर बात पर ऐतबार कर लेता था.

#रोमिल

Sunday, November 6, 2011

सच्चाई का मैं आइना था...

पत्थर का छोटा सा टुकड़ा भी मुझे तोड़ जाता था रोमिल
सच्चाई का मैं आइना था...