Wednesday, July 9, 2008

uski bewafai par yakeen nahi aaya....

Muskura kar gaya, mujhe yakeen nahi aaya,
Mujhe bata kar gaya, mujhe yakeen nahi aaya,

Log kehte rahe ki woh laut aayega,
par mujhko unki baaton par yakeen nahi aaya,

Chirag jalate rahe, roshani hoti rahe, main intezaar karta raha,
Par woh laut kar aayega mujhe yakeen nahi aaya,

Barbad kar gaya zindagi hamari,
De gaya, maire aankhon main aansoo,
Toodh gaya, maire mohabbat ke tajmahal ko,
Magar mujhe uski bewafai par yakeen nahi aaya!
[written by romil arora - copyright reserved]

tumne shayari likh di...

Kaagaz par kalam se humne zindagi likh di,
Aansooo ke moti se tumhari har khushi likh di,
Jeevan ke har sapne tumhare naam ka diye,
Logon ne kahan tumne shayari likh de...

#Romil

कागज़ पर कलम से हमने ज़िन्दगी लिख दी
आँसू के मोती से तुम्हारी हर ख़ुशी लिख दी
जीवन के हर सपने तुम्हारे नाम कर दिए,
लोगों ने कहां तुमने शायरी लिख दी...

#रोमिल

milane ki fariyad kare hum...

Aao sapno main fhir mulaqat kare hum,
Pyar ki baatein raat bhar kare hum,
Jhilmil sitaroon ke saath aao ek-dusare ko yaad kare hum,
Sapno main kho kar milane ki fariyad kare hum!
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, July 8, 2008

aaj bhi main aisa hu...

Bachpan mein maa ki goad bheego deta tha,
Aaj maa ki aankhen bheego deta hu!

Bachpan mein bhai ko pareshan kiya karta tha,
Aaj bhai ko uljhan mein daal deta hu!

Bachpan mein doston se ladai kar liya karta tha,
Aaj doston ke dil tod deta hu!

Shayad main bachpan se aisa tha,
Kisi ko koi Khushi nahi de sakta tha,
Kal bhi main aisa tha, aaj bhi main aisa hu!

#Romil

बचपन में मां की गोद भीगो देता था 
आज माँ की आंखें भीगो देता हूँ... 

बचपन में भाई को परेशान किया करता था 
आज भाई को उलझन में डाल देता हूं... 

बचपन में दोस्तों से लड़ाई कर लिया करता था 
आज दोस्तों के दिल तोड़ दिया करता हूं... 

शायद मैं बचपन से ऐसा था 
किसी को कोई खुशी नहीं दे सकता था 
कल भी मैं ऐसा था आज भी मैं ऐसा हूँ...

#रोमिल

har manzil par jeet teri ho....

rab kare teri har fariyad poori ho.
sapno mein jo aata ho,
us rajkumar se mulaqat teri ho.

khushiyoo ke jhule par tu jawaan ho,
phoolon ki doli par tu sawaar ho,
tere pyar ka sapna haqiqat ho,
rab kare har manzil par jeet teri ho!
[written by romil arora - copyright reserved]

apne jaisa naik insaan bana dena...

tum hamesha muskurahat ki shaan ho,
apni kya gairon ki khushi par bhi qurban ho,
rab sa dil paya hai tumne,
hamare gusse par bhi pyar dekhaya hai tumne,
kabhi yeh ada humko bhi seekha dena,
sanaam humko bhi apne jaisa naik insaan bana dena!

#Romil

तुम हमेशा मुस्कुराहट की शान हो 
अपनी क्या गैरों की खुशी पर भी कुर्बान हो 
रब सा दिल पाया है तुमने 
हमारे गुस्से पर भी प्यार दिखाया है तुमने 
कभी यह अदा हमको भी सिखा देना 
सनम हमको भी अपने जैसा नेक इंसान बना देना...

#रोमिल

yeh pyar nahi mitega...


Chahe hamare hoonton par shayari na rahe,
Chahe hamare haanton main kalam na rahe,
Chahe koiye khushi kabhi hamare saath na ho,
Chahe rabb mujhpar koiye bhi sitam kar le,
Chahe gum hamesha pass rahe,
Chahe yeh duniya mujhse rishta toodh le,
Magar is mann se tumhara naam kabhi nahi mitega,
yeh ehsaas nahi mitega,
yeh pyar nahi mitega!
[written by romil arora - copyright reserved]