Saturday, February 28, 2009

khilauno ke liye tarsa hai bachpan mera...

khilauno ke liye tarsa hai bachpan mera
main apne khawabo se khela karta tha
roz banata tha naye khawab
fir use tod diya karta tha...
~
chand ko dekhkar
burf ka gol, gola bana liya karta tha,
din mein titliyon se
raat mein jugnu se dosti kiya karta tha,
ek hi fun aata tha mujhe
main dusaron ke dukh mein ro liya karta tha...
~
khilauno ke liye tarsa hai bachpan mera
main apne khawabo se khela karta tha...

#Romil

खिलौनों के लिए तरसा हैं बचपन मेरा
मैं अपने ख़्वाबों से खेला करता था
रोज़ बनाता था नए ख़्वाब 
फिर उसे तोड़ दिया करता था...
~
चाँद को देखकर
बर्फ का गोल, गोला बना लिया करता था,
दिन में तितलियों से
रात में जुगनू से दोस्ती किया करता था,
एक ही फन आता था मुझे
मैं दूसरों के दुःख में रो लिया करता था...
~
खिलौनों के लिए तरसा हैं बचपन मेरा
मैं अपने ख़्वाबों से खेला करता था...

#रोमिल

suna hain...

suna hain tum mohabbat kar rahe ho
mere yaar yeh kya qayamat kar rahe ho...
~
zakhame dil ke saath fhir khel rahe ho
mitti ka ghar hain
barsaat ke saath kyon dushmani kar rahe ho...
~
sakuun se soya karte the tum raaton main
kyon meri jaan apni raatein kharab kar rahe ho...
~
tukade-tukade pehle hi ho chuka hain dil tumhara,
kyon isse khaakh main mila rahe hoo...
~
suna hain tum mohabbat kar rahe ho
mere yaar yeh kya qayamat kar rahe ho...
[written by romil arora-copyright reserved]

Friday, February 27, 2009

sach se rubaru

"jab ghar ki dahleez maine laanghi thi
dil mein bas ek yahi aarzoo thi
koi ghar na chodane ki duhai de
koi aakar mera rasta rok le
koi peeche se mujhe aawaz de"

#Romil

जब घर की दहलीज मैंने लांघी थी
दिल में बस एक यही आरज़ू थी
कोई घर ना छोड़ने की दुहाई दे
कोई आकर मेरा रास्ता रोक ले
कोई पीछे से मुझे आवाज़ दो...

#रोमिल

kuch is tarah

kuch is tarah badal gaye hain mere haalat
zindagi ek sawalat ho gaye hain...
~
puch raha hu khud se ek saawal
tu kyon bewafa ho gaye hain...
~
dil main yaadon ki aag bharakane lagi
aankhon main aansoo ki barsaat ho gaye hain...
~
kisse kare teri bewafai ka charcha is jahan main
teri ishq main saari duniya apni dushman ho gaye hain...
[written by romil arora-copyright reserved]

sab hi...

sab hi apno se milte hai Romil
maza to tab aata hai jab log ajnabi se milte hai Romil!

#Romil

सब ही अपनो से मिलते है रोमिल
मज़ा तो तब आता है जब लोग अजनबी से मिलते है रोमिल!

#रोमिल

nahi soye

raat bhar tere intezaar mein nahi soye
hum zindagi ke saawal mein nahi soye
dil yeh puchata raha ki tu pareshan kyon hai
hum muskuraye aur tere khawabo ke khayal mein nahi soye...

#Romil

रात भर तेरे इंतजार में नहीं सोए 
हम जिंदगी के सवाल में नहीं सोए 
दिल यह पूछता रहा कि तू परेशान क्यों है 
हम मुस्कुराये और तेरे ख्वाबों के ख्याल में नहीं सोए... 

#रोमिल

lafz...

"hum mohabbat-e-izhaar ke liye lafz hi dhundhate rahe Romil
aur woh dusare ka haath thamkar chale gaye..."

#Romil

हम मुहब्बत-ए-इजहार के लिए लफ्ज़ ही ढूंढते रहे रोमिल 
और वो दूसरे का हाथ थामकर चले गये...

#रोमिल