Saturday, August 8, 2009

09th August

09th August... bole to logon ke liye ek date hai... magar mere liye zindagi ka woh pal hai jise main khona nahi chahta... kuch yaadon ke liye... kuch khud par muskurane ke liye... kuch shararti baaton ko yaad karne ke liye... kuch khawabon ke tootne ke liye... kuch rab se narazgi karne ke liye... kuch aansoo bahane ke liye... kuch uske intezaar ke liye... kuch baatein lamho ke liye...
~~~~~~~~~~~~~~
"aaj kuch dair ko dil udaas hai
na jaane
na jaane
kis ka intezaar hai
aaj kuch ghadi ko dil udaas hai...
~*~
apni bheege hue aankhiyon ko
har pal
har ghadi
mausam ke badalne ka khawab hai
aaj kuch ghadi ko dil udaas hai...
~*~
thehar gaya hai kahi waqt mera
marr chuke saare khawab hai
us dard ko dastak deti
na jaane kis ki aawaz hai
aaj kuch ghadi ko dil udaas hai...
~*~
kho gaya woh andaaz bhi
kho gai woh muskaan bhi
raat bhi theri hui
na jaane lati kis ka paigam hai
aaj kuch ghadi ko dil udaas hai...
~*~
samaj na paya koi
na samaj koi payega
kho diya usko, jiski paane ki aarzoo hai
na jaane mohabbat ka kya anjaam hai
aaj kuch ghadi ko dil udaas hai..."
~~~~~~~~~~~~~~
#Romil

Friday, August 7, 2009

yeh umeed nahi rahi...

ab jugano pakadane ki chahat nahi rahi
roshani ki ab aadat nahi rahi...
~*~
dua ke liye haath uthate nahi mere
mazhid jaane ki chahat nahi rahi...
~*~
jaane kahan kho gayi hain tehzeeb meri
ab meri aankhon main sharafat nahi rahi...
~*~
umeed nahi thi usse dhoke ki
insaan bankar, khuda bane aaisi insaniyat nahi rahi...
~*~
behrhaal ab tere naam ka hi sahara hain
woh zindagi bhar saath rahe yeh umeed nahi rahi...

#Romil

अब जुगनू पकडने की चाहत नही रही
रोशनी की अब आदत नहीं रही...

दुआ के लिए हाथ उठते नहीं मेरे
मस्जिद जाने की चाहत नही रही...

जाने कहाँ खो गई हैं तहज़ीब मेरी
अब मेरी आँखों में शराफ़त नही रही...

उम्मीद नही थी उससे धोखे की
इंसान बनकर, खुदा बने ऐसी इंसानियत नही रही...

बहरहाल अब तेरे नाम का ही सहारा है
वो ज़िन्दगी भर साथ रहे यह उम्मीद नही रही...

#रोमिल

Thursday, August 6, 2009

mere dost mujhe bhi mohabbat na hoti...

agar yeh husn, yeh nazaron ki qayamat na hoti
mere dost mujhe bhi mohabbat na hoti!
~*~
raaton mein na tadapta
khwabon ki haseen jannat na hoti!
~*~
yeh ada, yeh jalawe, yeh ishare na hote
yeh baghawat ki aag dil main na jal rahi hoti!
~*~
na hoti yeh aarzoo, na hasrate hoti
na phoolon par mandrati, bhawron ki toli hoti!
~*~
na manzil ki talash main hum bhatakate Romil
na unko dillagi ki aadat hoti!
~*~
agar yeh husn, yeh nazaron ki qayamat na hoti
mere dost mujhe bhi mohabbat na hoti!

#Romil

अगर यह हुस्न, यह नजरों की कयामत ना होती 
मेरे दोस्त मुझे भी मोहब्बत ना होती! 

रातों में ना तड़पता 
ख़्वाबों की हसीन जन्नत ना होती! 

यह अदा, यह जलवे, यह इशारे ना होते 
यह बगावत की आग दिल में ना जल रही होती! 

ना होती यह आरज़ू, ना हसरतें होती 
ना फूलों पर मंडराती, भवरो की टोली होती! 

ना मंजिल की तलाश में हम भटकते रोमिल 
ना उनको दिल्लगी की आदत होती! 

अगर यह हुस्न, यह नजरों की कयामत ना होती 
मेरे दोस्त मुझे भी मोहब्बत ना होती! 

#रोमिल

Tuesday, August 4, 2009

rishta hamara-tumhara...

rakhi ka tyohar aaya

khushiyaan haazaron laya

sang-sang naache re bhai-bhehana

rakhi ka tyohar aaya...

rakhi ka tyohar aaya...

~*~

komal dhaaghe main saaja hua

vishwas ke bandhan main piroya hua

pyar ke bandhan main bandha hua

rakhi ka tyohar aaya...

rakhi ka tyohar aaya...

[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, August 3, 2009

aaj mera birthday hain...

mujhe aaj bachpan ka ek song yaad aa raha hain...jab main mann hi mann isse gaya karta tha...

"aaj mera birthday hain

aaj mera birthday hain

halwa banega

poori banegi

milenge naye-naye kapade.....

ho...ho...

aaj mera birthday hain

haan...haan...

aaj mera birthday hain...

~*~

pooja karunga

gurudware jayunga

maa ka aashirwad bhi lunga

school main sabko toffee bhi batunga.....

ho...ho...

aur...aur...aur

shaam ko fhir cake bhi kaatunga...

hey...hey...

aaj mera birthday hain

haan...haan...

aaj mera birthday hain...

~*~

picture bhi jayenge

shopping bhi jayenge

khayenge bahut saari ice-cream.....

ho...ho...

aaj mera birthday hain

haan...haan...

aaj mera birthday hain...

[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, August 1, 2009

Woh Insaan hi kya jiski koi Aarzoo kabhi na ho...

dil chahe jitna bhi pathar kyon na ho, ki mom kabhi na ho...
aisa kaha hota hai ki mohabbat kabhi na ho...
~*~
raat chahe jitni bhi lambi kyon na ho, ki subah kabhi na ho...
phoolon ke daaman mein kaatein kabhi na ho...
~*~
insaan chahe jitna bhi sharif kyon na ho, ki hijab mein noor kabhi na ho...
nazre to ishara kar deti hai, chahe ijazat kabhi na ho...
~*~
dil ki aarzoo hai ki uske noor ka deedar karu, chahe woh zinda kabhi na ho...
woh insaan hi kya jiski koi aarzoo kabhi na ho...

#Romil

दिल चाहे जितना भी पत्थर क्यों ना हो, की मोम कभी ना हो, 
ऐसा कहां होता है कि मोहब्बत कभी ना हो! 

रात चाहे जितनी भी लंबी क्यों ना हो, की सुबह कभी ना हो, 
फूलों के दामन में कांटे कभी ना हो! 

इंसान चाहे जितना भी शरीफ क्यों ना हो, की हिजाब में नूर कभी ना हो 
नजरे तो इशारा कर देती है चाहे इजाजत कभी ना हो! 

दिल की आरजू है कि उसके नूर का दीदार करूं चाहे वो जिंदा कभी ना हो, 
वो इंसान ही क्या जिसकी कोई आरजू ना हो! 

#रोमिल

raat bhar tak-taki laga kar Chand ki taraf dekhata rehta hu main...

raat bhar tak-taki laga kar chand ki taraf dekhata rehta hu main
shayad chandani ban kar woh mere aangan mein utar aaye...
~*~
aankhen intezaar karti hue dekhati hain aasman ki taraf
shayad aansoo ban kar woh meri aankhon mein utar aaye...
~*~
ibadat karta rehta hu us khuda ki is dua ke saath
woh jaha bhi rahe khushiyon ke kamal khil jaye...
~*~
aakhiri aarzoo hai khuda se bas itni
mere janaze ki mitti, uske pairon ko chu jaye...
[written by romil arora - copyright reserved]