Friday, December 18, 2009

aise bichade woh ki...

aise bichade woh ki
khawabon ke mehmaan reh gaye...
***
jinse kabhi hoti thi
apni sehar
woh raaton ke saathi reh gaye...
aise bichade woh ki
khawabon ke mehmaan reh gaye...
***
tinka-tinka toote hai gulab ki pankhudi ki tarah
unke pehlu mein na sahi
unke kadmo mein marr kar reh gaye...
aise bichade woh ki
khawabon ke mehmaan reh gaye...
***
mujhse na pucho meri deewangi ki inteha
unse wafa na mili
to unki bewafai ke kayal reh gaye...
aise bichade woh ki
khawabon ke mehmaan reh gaye...
***
koi puche jab humse aansuon ki wajah
keh na paye unse kuch
bas muskurakar reh gaye...
aise bichade woh ki
khawabon ke mehmaan reh gaye...

#Romil

ऐसे बिछड़े वो की 
ख्वाबों की मेहमान रह गए... 

जिनसे कभी होती थी 
अपनी सेहर 
वो रातों के साथी रह गए... 
ऐसे बिछड़े वो की 
ख्वाबों की मेहमान रह गए... 

तिनका-तिनका टूटे हैं गुलाब की पंखुड़ी की तरह 
उनके पहलू में ना सही 
उनके कदमों में मर कर रह गए... 
ऐसे बिछड़े वो की 
ख्वाबों की मेहमान रह गए... 

मुझसे ना पूछो मेरी दीवानगी की इंतेह 
उनसे वफ़ा ना मिली 
तो उनकी बेवफाई के क़ायल रह गए... 
ऐसे बिछड़े वो की 
ख्वाबों की मेहमान रह गए... 

कोई पूछे जब हमसे आंसुओं की वजह 
कह ना पाए उनसे कुछ 
बस मुस्कुराकर रह गए...
ऐसे बिछड़े वो की 
ख्वाबों की मेहमान रह गए... 

#रोमिल

Thursday, December 17, 2009

Teri bewafai ko bhi tera pyar samjha hain


{chahe jitne bhi sitam kar le tu teri rehmat samjhunga
tu chahe mujhse bewafai kare main fhir bhi waafa karunga}
***
Maine dilbar tujhe ab tak apna maan rakha hain
Teri bewafai ko bhi tera pyar samjha hain...
***
Yeh aansoo nahi mere lafz hain
Jisse maine sitaraon ki tarah aankhon main baasa rakha hain.
Tu mujhe yaad kare ya na kare mere khuda
Maine to yaadon main sirf tujhko hi baasa rakha hain.
Maine dilbar tujhe ab tak apna maan rakha hain...
***
Aaina toota hain to kya
Haath ghayal hua hain to kya
dil main lahoo beh raha hain to kya
Maine fhir bhi hoonton par muskaan ko saaja rakha hain.
Maine dilbar tujhe ab tak apna maan rakha hain...
***
Tu chahe rahe dusaroon ki baahon main
Khoye rahe shaan-o-shauqat ki raahon main
Maine to tujhe dil ke darbaar main saaja rakha hain
Maine dilbar tujhe ab tak apna maan rakha hain...
***
Main rahu ya na rahu
Saansein rahe ya na rahe
Maine to tujhe rooh main baasa rakha hain
Maine dilbar tujhe ab tak apna maan rakha hain
Teri bewafai ko bhi tera pyar samjha hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Humko jo bhi mila bewafa hi mila...

Humko jo bhi mila bewafa hi mila
Humko jo bhi mila bewafa hi mila
Dil kisse lagate hum...
Humko jo bhi mila bewafa hi mila
Dil kisse lagate hum...
***
Hai apni mohabbat ki yahi kahani
Hai apni mohabbat ki yahi kahani
toot kar jisko chahe
woh diwana na mila...
Humko jo bhi mila bewafa hi mila
Dil kisse lagate hum...
***
Kehne ko to bahut sunne wale hai yahaan
Magar dil jisko sunaiye
Woh saathi na mila
Humko jo bhi mila bewafa hi mila
Dil kisse lagate hum...
***
Rehne ko to khula aasman hai yahaan
Jaha do pal chain-sukoon mile
Woh aasra na mila
Humko jo bhi mila bewafa hi mila
Dil kisse lagate hum...

#Romil

हमको जो भी मिला बेवफा ही मिला
हमको जो भी मिला बेवफा ही मिला
दिल किससे लगाते हम...
हमको जो भी मिला बेवफा ही मिला
दिल किससे लगाते हम...

हैं अपनी मोहब्बत की यही कहानी 
हैं अपनी मोहब्बत की यही कहानी
टूट कर जिसको चाहे 
वो दीवाना ना मिला
हमको जो भी मिला बेवफा ही मिला
दिल किससे लगाते हम...

कहने को तो बहुत सुनने वाले हैं यहां 
मगर दिल जिसको सुनाये 
वो साथी ना मिला 
हमको जो भी मिला बेवफा ही मिला
दिल किससे लगाते हम...

रहने को तो खुला आसमान है यहां 
जहां दो पल चैन-सुकून मिले 
वो आसरा ना मिला
हमको जो भी मिला बेवफा ही मिला
दिल किससे लगाते हम...

#रोमिल

Wednesday, December 16, 2009

kabhi kaash aisa hota...

kabhi kaash aisa hota teri baatein hoti
aur tu samne hota.
kabhi kaash aisa hota...
***
kab tak deewaron ko hum sunate rehte kisse tere
kab tak dil ko behlate rehte
kabhi kaash aisa hota
teri baatein hoti
aur tu samne hota.
kabhi kaash aisa hota...
***
kabhi tum pouchate
mere aankhon ke aansoo
kabhi main tumhare aansoo pouchata
kabhi tum mujhe hasate
kabhi main tumko hasata
kabhi kaash aisa hota

teri baatein hoti
aur tu samne hota.
kabhi kaash aisa hota...
***
hoti na andhera yeh zindagi
roshani ka shaama suhana rehta
yun na takte hum chand ko tanha raaton mein 
woh mere pehlu mein sota
kabhi kaash aisa hota
teri baatein hoti
aur tu samne hota.
kabhi kaash aisa hota...

#Romil

कभी काश ऐसा होता 
तेरी बातें होती 
और तू सामने होता 
कभी काश ऐसा होता... 

कब तक दीवारों को हम सुनाते रहते किस्से तेरे 
कब तक दिल को बहलाते रहते 
कभी काश ऐसा होता 
तेरी बातें होती 
और तू सामने होता...
कभी काश ऐसा होता... 

कभी तुम पोछते मेरे आंखों के आंसू 
कभी मैं तुम्हारे आंसू पोछता 
कभी तुम मुझे हंसाते 
कभी मैं तुमको हंसाता 
कभी काश ऐसा होता 
तेरी बातें होती 
और तू सामने होता... 
कभी काश ऐसा होता... 

होती ना अंधेरा यह जिंदगी 
रोशनी का शमा सुहाना रहता 
यूं ना तकते हम चांद को तन्हा रातों में 
वो मेरे पहलू में सोता
कभी काश ऐसा होता 
तेरी बातें होती 
और तू सामने होता... 
कभी काश ऐसा होता... 

#रोमिल

tum puchate ho ki zindagi ki keemat kya hai...

Chand sikkon mein bik jata hai insaan yahan
aur tum puchate ho ki mohabbat ki keemat kya hai...
***
Jab bhi chaha maali ne tod liya dali se phool
aur tum puchate ho ki phoolon ki keemat kya hai...
***
Dard ho jab seene mein jhalak aate hi hai aankhon se aansoo
aur tum puchate ho ki aansoo ki keemat kya hai...
***
Unke intezar mein kati hai humne ro-ro kar raatein
aur tum puchate ho ki intezar ki keemat kya hai...
***
Zindagi kab keh de alvida yeh humko maaloom nahi
aur tum puchate ho ki zindagi ki keemat kya hai...

#Romil

चंद सिक्कों में बिक जाता है इंसान यहाँ
और तुम पूछते हो कि मुहब्बत की कीमत क्या है...

जब भी चाहा माली ने तोड़ लिया डाली से फूल
और तुम पूछते हो कि फूलों की कीमत क्या है...

दर्द हो जब सीने में झलक आते ही है आँखों से आँसू
और तुम पूछते हो कि आँसू की कीमत क्या है...

उनके इंतेज़ार में काटी है हमने रो-रोकर रातें
और तुम पूछते हो कि इंतेज़ार की कीमत क्या है...

ज़िन्दगी कब कह दे अलविदा यह हमको मालूम नही
और तुम पूछते हो कि ज़िन्दगी की कीमत क्या है...

#रोमिल

Tuesday, December 15, 2009

kitne aashiq ki hain yeh kahani

kitne aashiq ki hain yeh kahani
hasinaao ki bewafai maar gaye...
***
doobate dekha kitne saahil
saagar ki lehre maar gaye...
toota phool, shaakhao se
haawan mastani maar gaye...
***
kitne aashiq ki hain yeh kahani
hasinaao ki bewafai maar gaye...
***
naye rishte bante dekha
purane bandhan tootate dekha
sukhe patton ki jawani maar gaye...
aansoo bahate
pal-pal tarapte dekha
bin baarish barsaat maar gaye...
***
kitne aashiq ki hain yeh kahani
hasinaao ki bewafai maar gaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, December 14, 2009

Zindagi shaam se hi barbaad ho jaati hai...

Zindagi shaam se hi barbaad ho jaati hai
Teri yaad dabe pao chali aati hai...
***
Kitna bhi chahu door jana inse
Saaya bankar yeh mere saath chali aati hai...
Zindagi shaam se hi barbaad ho jaati hai
Teri yaad dabe pao chali aati hai...
***
Lekar rakha hai maine saath andheron ka
Fir bhi aankhon mein aansoo bankar chali aati hai...
Zindagi shaam se hi barbaad ho jaati hai
Teri yaad dabe pao chali aati hai...
***
Koi puche to bataiye kya haal hua hai hamara 
Gum ke bahane na mile to Khushi ke bahane hi chali aati hai...
Zindagi shaam se hi barbaad ho jaati hai
Teri yaad dabe pao chali aati hai...

#Romil

ज़िन्दगी शाम से ही बर्बाद हो जाती हैं
तेरी याद दबे पाओ चली आती है
***
कितना भी चाहूँ दूर जाना इनसे
साया बनकर यह मेरे साथ चली आती है
ज़िन्दगी शाम से ही बर्बाद हो जाती है
तेरी याद दबे पाओ चली आती है
***
लेकर रखा हैं मैंने साथ अंधेरों का
फिर भी आँखों में आंसू बनकर चली आती है
ज़िन्दगी शाम से ही बर्बाद हो जाती हैं
तेरी याद दबे पाओ चली आती है
***
कोइए पूछे तो बताये क्या हाल हुआ हैं हमारा
गम के बहाने न मिले तो ख़ुशी के बहाने ही चली आती है
 रोमिल ज़िन्दगी शाम से ही बर्बाद हो जाती हैं
तेरी याद दबे पाओ चली आती है।

#रोमिल