Saturday, January 16, 2010

do pal...

do pal jo saath uska mila
tabiyat apni machal gai...
honth the ya sharab ke pyale
chal apni badal gai...
dekha jo noor-e-chehara
rooh apni machal gai...
zulfein thi ya ghane badal
raatein apni badal gai...

#Romil

दो पल जो साथ उसका मिला 
तबीयत अपनी मचल गई... 
होंठ थे या शराब के प्याले 
चाल अपनी बदल गई... 
देखा जो नूर-ए-चेहरा 
रूह अपनी मचल गई... 
जुल्फ़े थी या घने बादल 
रातें अपनी बदल गई...

#रोमिल

Friday, January 15, 2010

Mohabbat ka yeh kaisa daur hain...

Kal jo tha mera
Woh ab gair ka hai
Mohabbat ka yeh kaisa daur hai...
***
Jiska daman tha mere haat mein
Ab woh kisi gair ke hathon mein hai
Mohabbat ka yeh kaisa daur hai...
***
Dil-e-barbaad ho chuka hai ab
Is toote ghar mein fir bhi rehta koi hai
Mohabbat ka yeh kaisa daur hai...
***
Bichad kar kehta hai woh
Agale janam mein milenge
Janam-janam ka us bewafa se nata kaisa hai
Mohabbat ka yeh kaisa daur hai...

#Romil

कल जो था मेरा 
वो अब गैर का है 
मोहब्बत का यह कैसा दौर है... 

जिसका दामन था मेरे हाथ में 
अब वो किसी गैर के हाथों में है 
मोहब्बत का यह कैसा दौर है... 

दिल-ए-बर्बाद हो चुका है अब 
इस टूटे घर में फिर भी रहता कोई है 
मोहब्बत का यह कैसा दौर है... 

बिछड कर कहता है वो 
अगले जन्म में मिलेंगे 
जनम-जनम का उस बेवफा से नाता कैसा है 
मोहब्बत का यह कैसा दौर है... 

#रोमिल

nazre...

do pal jo tujhko dekh le meri nazre
sare zamane ki uth jaati hai meri taraf nazre...
~*~
do pal ki kya dosti tumse kar li maine
sare zamane ki dushman ho gaye hai nazre...
~*~
do pal ka kya mila tera saath mujhko
band darwazo mein bhi mujhko jhakti hai zamane ki nazre...
~*~
mohabbat kar li tumse
ya gunah kar liya
qatil ki nigah se dekhti hai zamane ki nazre...
~*~
ab jaun to jaun kaha intezaar-e-safar se
maut tak bhi peecha nahi chodati zamane ki nazre...

#Romil

दो पल जो तुझको देख ले मेरी नज़रें 
सारे जमाने की उठ जाती है मेरी तरफ नजरे... 

दो पल की क्या दोस्ती तुमसे कर ली मैंने 
सारे जमाने की दुश्मन हो गई है नजरे... 

दो पल का क्या मिला तेरा साथ मुझको 
बंद दरवाजों में भी मुझको झाँकती है जमाने की नजरे... 

मोहब्बत कर ली तुमसे 
या गुनाह कर लिया 
कातिल की निगाह से देखती हैं जमाने की नजरे... 

अब जाऊं तो जाऊं कहां इंतजार-ए-सफ़र से 
मौत तक भी पीछा नहीं छोड़ती जमाने की नजरे...

#रोमिल

Thursday, January 14, 2010

sanam bewafai to na kiye kejeiye...

jaan chahte hain to meri jaan le lejeiye
sanam bewafai to na kiya kejeiye...
pehle se mere pass gum kam nahi hain
sanam aur na gum aata kiya kejeiye...
jaan chahte hain to meri jaan le lejeiye
sanam bewafai to na kiya kejeiye...
***
aapse hi hoti thi sehar apni
aapse hi zindagi roshan hai
meri zindagi ko andheron ka na ghulam kejeiye..
jaan chahte hain to meri  jaan le lejeiye
sanam bewafai to na kiya kejeiye...
***
yunh to mohabbat ke siwa aur bhi gum hain zamane main
baat to isme hain kis gum ko apna samajheiye
jaan chahte hain to meri jaan le lejeiye
sanam bewafai to na kiya kejeiye...
***
aap kahe to chod de hum tera shehar bhi
magar gair ke saath yunh na haans-haans kar mila kejeiye
jaan chahte hain to meri jaan le lejeiye
sanam bewafai to na kiye kejeiye...
[written by romil arora - copyright reserved]

dilwalon ki bhi suna kejeiye...


maana ki nahi hain hum aapke dost
ajnaabi samaj kar hi salam qabool kar lejeiye.
dilwalon ki bhi suna kejeiye...
***
sadiyoon se khaye hain zakhm is dil ne
do pal isko qarar laine dejeiye
dilwalon ki bhi suna kejeiye...
***
do ghadi ke liye hi sahi batiye anjuman main aakar hamare
is banjar ko bhi mehka dejeiye
dilwalon ki bhi suna kejeiye...
***
chahane se to mil jaata hain khuda bhi
bas ek baar jo dil man thaan lejeiye
dilwalon ki bhi suna kejeiye...
***
raat ho gaye hain be-naqaab na fhera karo chaat par
chand ko bhi logon ko dekh laine dejeiye
dilwalon ki bhi suna kejeiye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, January 13, 2010

zindagi ke safar main chalte hain...

na jeete hain aur na marate hain
hum to bas zindagi ke safar main chalte hain...
***
tere baaton main khoya-khoya sa din betata hain
tere khaton ko kabhi padh kar haste hain
kabhi rote hain....
***
na fikar hain humko apni
na zamane ki fikar hum karte hain
khawabon main jeete hain
khawabon main marate hain...
***
kaun hain apna
kaun hain paraya
yeh sab beekar ki baatein hain
jo kehta hain salam usko salam keh daite hain
jo kehta hain khuda hafiz usko khuda hafiz keh daite hain...
na jeete hain aur na marate hain
hum to bas zindagi ke safar main chalte hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

USNE HUMKO DHOKHE PAR DHOKHE DIYE...

USNE HUMKO DHOKHE PAR DHOKHE DIYE
DIL ZAKHM KHATA GAYA UNKA SUKRIYA KEHTE HUE
USNE HUMKO DHOKHE PAR DHOKHE DIYE...
***
HUM JANTE NAHI THE ANJAAM-E-MOHABBAT YEH HOGA
AANKHON SE LAHOO GIRATE GAYE UNKA SUKRIYA KEHTE HUE
USNE HUMKO DHOKHE PAR DHOKHE DIYE...
***
UMAR BHAR SAATH DENE KI QASME KHANE WALE
DO KADAM SAATH BHI CHAL NA SAKE
HUM TANHA CHALTE GAYE UNKA SUKRIYA KEHTE HUE
USNE HUMKO DHOKHE PAR DHOKHE DIYE...
***
GHUM KI DUNIYA MEIN WOH HUMKO CHHODKAR
SAATH GAIR KE CHAL DIYE APNI KHUSHIYON KE LIYE
HUM ROZ JEETE-MARTE GAYE UNKA SUKRIYA KEHTE HUE
USNE HUMKO DHOKHE PAR DHOKHE DIYE...

#ROMIL

उसने हमको धोखे पर धोखे दिए 
दिल जख्म खाता गया उनका शुक्रिया कहते हुए... 

उसने हमको धोखे पर धोखे दिए 
हम जानते नहीं थे अंजाम-ए-मोहब्बत यह होगा 
आंखों से लहू गिरते गए उनका शुक्रिया कहते हुए... 
उसने हमको धोखे पर धोखे दिए... 

उम्र भर साथ देने की कसमें खाने वाले 
दो कदम साथ भी चल ना सके 
हम तन्हा चलते गए उनका शुक्रिया कहते हुए...
उसने हमको धोखे पर धोखे दिए... 

ग़म की दुनिया में वो हमको छोड़कर 
साथ गैर के चल दिए अपनी खुशियों के लिए 
हम रोज जीते-मरते गए उनका शुक्रिया कहते हुए... 
उसने हमको धोखे पर धोखे दिए...

#रोमिल