Thursday, February 18, 2010

Rabb janta hain...

Kyon mila mujhe bewafa ka saath Rabb janta hain
Kyon toota mera dil baar-baar Rabb janta hain...
***
Thi to uski baaton main mohabbat
Dil main kyon jehar bhara hua tha, Rabb janta hain...
***
Aankhon main kyon aate hain khawab
Fhir kyon aansoo ke saath beh jaate hain, Rabb janta hain...
***
Intezaar ka pal kyon nahi khatam hota,
Kyon aati hain intezaar-e-shaam, Rabb janta hain...
***
Parwane ko kyon hoti hain shaama se mohabbat,
Kyon parwana shaama main jal jaana chahta hain, Rabb janta hain..
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, February 17, 2010

kash-ma-kash

Badi ajeeb kash-ma-kash mein zindagi bitati hai Romil
Bewafai karo to woh rota hai
Wafa karo to hum rote hai...

#Romil

बड़ी अजीब कशमकश में ज़िन्दगी बीतती है रोमिल 
बेवफाई करो तो वो रोता है 
वफ़ा करो तो हम रोते हैं...

#रोमिल

intezaar~~

Tere intezaar ka chirag kabse dil main jala rakha hain NAAZ
Keh do haawan se aakar mujhe bhujha de...
[written by romil arora - copyright reserved]

Sochata hoga..

Dard daine bhi nahi aata ab woh
Sochata hoga dard se mera rishta judh gaya...
Puchata bhi nahi hain ab mera haalchal kisi se
Sochata hoga judai-e-gum se shayad marr woh gaya...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, February 16, 2010

KUCH...

Ab manzil ki raah mein chalne ko dil nahi karta Romil
Ab aarzoo hai ki khud manzil chal kar hamare kadamo mein aaye!
***
Itni Shiddat-e-aadat aachi nahi hoti Romil
Tu to Nafrat bhi karta hai Shiddat ke saath!
***
Badi zor se udega kisi din duniya ke sab bandhan todkar yeh kabutar Romil
Chahe jitna bhi daulat-e-husn se bandh lo uske paro ko!

#Romil

अब मंजिल की राह में चलने को दिल नहीं करता रोमिल 
अब आरजू है की ख़ुद मंजिल चलकर हमारे क़दमो में आए... 

इतनी शिद्दत-ए-आदत अच्छी नहीं होती रोमिल 
तो तो नफरत भी करता है शिद्दत के साथ... 

बड़ी ज़ोर से उठेगा किसी दिन दुनिया के सब बंधन तोड़कर यह कबूतर रोमिल 
चाहे जितना भी दौलत-ए-हुस्न से बांध लो उसके परो को...

#रोमिल

Ab agar woh mujhe mil bhi jaye to kya...

Ab agar woh mujhe mil bhi jaye to kya
Dil mein jo mohabbat ke liye nafrat bhar gai hai uska kya...
***
Ab agar woh mujh par zindagi bhi loota de to kya
Yeh zindagi jo pehle hi loot gai hai uska kya...
***
Ab agar woh keh de tere bina hum jee nahi sakte
Yeh zindagi jo pehle hi marr chuki hai uska kya...
***
Ab agar woh zamana chhod kar mere saath chal pade to kya
Yeh zindagi jo pehle hi zamane ko chhod chuki hai uska kya...

#Romil

अब अगर वह मुझे मिल भी जाए तो क्या 
दिल में जो मोहब्बत के लिए नफरत भर गई है उसका क्या

अब अगर वो मुझ पर जिंदगी भी लुटा दे तो क्या 
यह जिंदगी जो पहले ही लुट गई है उसका क्या 

अब अगर वो कह दे तेरे बिना हम जी नहीं सकते 
यह जिंदगी जो पहले ही मर चुकी है उसका क्या 

अब अगर वो जमाना छोड़कर मेरे साथ चल पड़े तो क्या
यह जिंदगी जो पहले ही जमाने को छोड़ चुकी है उसका क्या

#रोमिल

हर कोई वफ़ादार नहीं होता..

हर कोई वफ़ादार नहीं होता
हर सीप में मोती नहीं होता...
हर किसी को मत सुनाया करो अपना हाल-ए-दिल रोमिल
हर कोई दर्द-ए-साथी नहीं होता...

#रोमिल