Monday, August 2, 2010

tuhi... mere dil ka chain hai...

tuhi... mere dil ka chain hai...
tuhi... mere yaadon ki mehak hai...
tuhi... mere khawabon ki dhundali tasveer hai  
tuhi to hai woh
jiska mujhe intezaar hai....

tu hai kahan
itna bata...
tujhe dhoondhata main fhir raha...
***
yuhi... aaj dil udas hai...
yuhi... tere aane ki koi aas hai...
yuhi... chand chupa-chupa badalo main...  
yuhi... main kara hoon tera intezaar

tu hai kahaan
itna bata
tujhe dhoondhata main fir raha...
***
choo jaye... woh teri baatein ab kahan
choo jaye... woh khamosh ehsaas... woh raatein ab kahan
choo jaye... woh gumsum gumsum fizayeein ab kahan
ab kahan
ab kahan

tu hai kahan
itna bata
tujhe dhoondhata main fir raha...

#Romil

Saturday, July 31, 2010

ध्यानाकर्षण

ध्यानाकर्षण

आप सभी साथियों का ध्यानाकर्षण करना चाहता हूँ अपने पुराने दिस्क्लैमेर पर.

आपको यह फिर से बताना चाहता हूँ की इस ब्लॉग मैं लिखे सभी पात्र/ सभी नाम/ सभी बातें/ सभी कहानी  पूरी तरह से काल्पनिक हैं. यह लेखक के दिमाग की उपज हैं/ रचना हैं.

ब्लॉग पर लिखी सभी बातों का किसी जीवित और मृत्य इंसान से जोड़ना पूरी तरह से गलत होगा. अगर यह महसूस होता हैं या ऐसा लगता हैं की यह बातें किसी से जुडी हैं तो यह इत्तेफाक हो सकता हैं या संयोगवश हो सकता हैं.

आपका

#रोमिल

Monday, July 26, 2010

~MANAGEMENT MASTI MAIN~

~MANAGEMENT MASTI MAIN~
---------------------
Internet ki sabse khaas baat hai ki isme FREE OF COST FACILITY milati hai... 
Chahe KNOWLEDGE ho... FRIENDSHIP ho... ENTERTAINMENT ho... ya fhir ADVICE, IDEA, SOLUTION, RESOURCES etc.
---------------
FREE OF COST FACILITY...

Management main ek baat seekhaye jati hai ki "FREE OF COST FACILITY ka upyog kaise kiya jaata hai???" aur yeh samajhana aaj ke samay main bahut jaruri bhi hai...

Aaj ke samay jab har cheezh ki keemat hai...
har choti-choti cheezh ki keemat hai...
har cheezh ke rates high hote ja rahe hai...
tab aapko INTERNET ek aaisa sadhan mila hain jispar aapko FREE OF COST FACILITY milati hai... Jiske liye aapko EK PAISA bhi nahi expenditure karna padata hai...

Agar aap chahe to internet ki madad se bahut si ADVICE le sakte hai... NEW IDEA le sakte hai... apni PROBLEM ka SOLUTION logon se maang sakte hai... bahut se RESOURCE aapko mil sakte hai... E-BOOKS read kar sakte hai...

 Agar aap zindagi main INTERNET KA SAAHI UPYOG nahi kar paye to mera yakeen maano aapko agar CRORE RUPIYA bhi mil jaye, tab bhi aap uska saahi upyog nahi kar payenge...
-----------------------
FREE OF COST FACILITY KA 100% SAHI UPYOG KARE...  

Saturday, July 24, 2010

jaise aankhon par ujala rakha hai!

raat bhar neend nahi aati hai
jaise aankhon par ujala rakha hai!
*
woh mujhe dekhkar bhi do qadam nahi chala yaaron
jaise pairon mein zanjeer band rakha hai!
*
kisse kahu unki shikayat mere doston
har kisi ko to unhone apna humdum bana rakha hai!
*
khuda se bas itni si dua mangate hai hum
woh mera dil riha kar de
jo unhone apne pehlu mein chhupa rakha hai!

#Romil

रात भर नींद नहीं आती है 
जैसे आंखों पर उजाला रखा है... 

वो मुझे देखकर भी दो कदम नहीं चला यारों 
जैसे पैरों में जंजीर बांध रखा है... 

किससे कहूं उनकी शिकायत मेरे दोस्तों 
हर किसी को तो उन्होंने अपना हमदम बना रखा है... 

खुदा से बस इतनी सी दुआ मांगते हैं हम 
वो मेरा दिल रिहा कर दे 
जो उन्होंने अपने पहलू में छुपा रखा है... 

#रोमिल

Friday, July 23, 2010

INCOME minus EXPENDITURE = PROFIT

~MANAGEMENT MASTI MAIN~

INCOME minus EXPENDITURE = PROFIT

Is FORMULA ko samajhane ke liye kisi DEGREE ki jarurat nahi hoti hai...

keep learning... keep walking... keep growing...
---------------
bahut simple si baat hai... koiye jaruri nahi hai ki business karne ke liye kisi degree ki jarurat hai... magar shiksha jarur hai... hamesha seekhate rehna jaruri hai... 

agar aap kisi bhi wajah se school/ college main padh nahi paye to yeh mat sochiye ki aap business nahi kar sakte...

Mere hisaab se har woh insaan business kar sakta hai, jisse....
Yeh pata hai ki PROFIT kya hota hai???
PROFIT nikala aata hai???
Yeh pata hai kaise customer ki pocket main se apne saaman ka RIGHT PRIZE nikal sakte hai???

Business ke liye bahut jaruri hai ki aap business ko samjhe... aap business ki gehraiye tak jaye... jitna jyada prize analysis kar sake utna aacha hota hai... hamesha seekhate rahe... innovation karte rahe... aur MANN SE SUNDAR RAHE...

Ohh... Guptayeen Jee...

NaaZ... GuNn... tumko kuch unique sunata hu... aise hi mann se kahan to likha...

*
Ohh... Guptayeen Jee...
Ohh Pyari Guptayeen Jee...
chaal to dekho iski
smile to dekho iski
sabke dil par chaaye
yeh hai pyari guptayeen...
ohh.. Guptayeen Jee
ohh... Pyari Guptayeen Jee...
*
bhashan sabko daite
dusaron ki problem main fhasi rehti
pehalwan se bheedh jati
government employee ko jimmedari samjhati
sabke dil par chaaye
yeh ahi pyari guptayeen...
ohh.. Guptayeen Jee
ohh... Pyari Guptayeen Jee...
chaal to dekho iski
smile to dekho iski
sabke dil par chaaye
yeh hai pyari guptayeen...
ohh.. Guptayeen Jee
ohh... Pyari Guptayeen Jee...
*
panga na lena isse
danga kar degi yaaron
parsad churaya to mandir main pujari ko nanga kar daiti yaaron
traffic hua to yeh mantri ko phone kar daiti yaaron
vardi ka roob dekhaya to thanedaar ko jail main band kar daiti yaaron
chaal to dekho iski
smile to dekho iski
sabke dil par chaaye
yeh hai pyari guptayeen...
ohh.. Guptayeen Jee
ohh... Pyari Guptayeen Jee...
*
motorcycle yeh chalaye
internet par chatting bhi isse aaye
angregi jab yeh bole, angrej bhag jaye
[i can leave angrej behind]
sab kehte hai yaaron
Guptayeen Jee... apna desh bhi chalaye...
chaal to dekho iski
smile to dekho iski
sabke dil par chaaye
yeh hai pyari guptayeen...
ohh.. Guptayeen Jee
ohh... Pyari Guptayeen Jee...
[written by romil - copyright reserved]

Friday, July 16, 2010

bhooli-besari baatein yaad aa jati hai

bhooli-besari baatein yaad aa jati hai
aksar tanha raatein yaad aa jati hai...
*
kabhi khud par sarmindagi hone lagati hai
kabhi khud ki sanjeedagi yaad aa jati hain...
*
mujhpar shaq karne ki aadat purani thi tumhari
kabhi tumhari jurm ki kahani yaad aa jati hain...
*
zindagi kam hai itna to pata tha mujhe
safar main akele chod jaane ki ada yaad aa jati hain...
*
bhooli-besari baatein yaad aa jati hai
aksar tanha raatein yaad aa jati hai..
[written by romil arora - copyright reserved]