Saturday, May 5, 2018

Thali ke samne kabhi Sekhi nahi dikhani chahiye...

Ammi kehti thi...

Thali ke samne kabhi Sekhi nahi dikhani chahiye...
Rukhi-Sukhi jo mile... Rab ka sukrana kar kha leni chahiye...

Rab na jaane kab Mohre idhar se udhar kar de...
Kabhi bhi kisi garib ki garibi ka mazaak nahi udana chahiye...

Na jaane kab badal jaye Taqdeer ke piyade...
Raheesi sar chhadkar nahi bolni chahiye...

aur

Kothiyan kahi ban jaye na khandar...
Khandan ke naam se Inki Pehchaan honi chahiye...

aur

Toot to chuka hai Shehansha-e-Saltanat-Akbar ka bhi Abhimaan...
Pagadi chahe jitni ucchi ho, Sufi-Fakeeron ki Dargah pe jhuk jaani chahiye...

#Romil Raj

Dekhana Khuda Tumhein khud apne saath lene aayega...

Ammi kehti thi...

Imandari se badi koi Jageer nahi hoti...
Kitabon se sacchi koi Saheli nahi hoti...
Lakeeron se nahi jeeti jaati zindagi...
Qismat to unki bhi hoti hai jinki hatheli nahi hoti...

Un kothiyon se chali jaati hai raunake...
Jin mein bujurgon ki izzat nahi hoti...
Gulab ki tarah tamam haseen hai chehre...
Par har kisi ke liye dil-e-ibadat nahi hoti...

Dhan-Daulat... Shaan-o-Shauqat sab yahi dhara ka dhhara reh jaata hai...
Khuda ke ghar mein inki jarurat nahi hoti...
Aksar Bimari mein kaam aati hai Betiya...
Beton mein itni khidmat-pasandagi nahi hoti...

aur

Chhote se Diye ki roshani cheer deti hai milo andheron ko
Burai mein itni taaqat nahi hoti...

aur

Tooti-Fhooti Jhopadi mein bhi Suraj utar aayega...
Chand bhi in aankhon ke dariya mein huzu karne aayega...
Tum namazon ka silsila jaari rakhna...
Dekhna Khuda tumhein khud apne saath lene aayega...

- Romil Arora

RadhaSoamiJi - Sakhi - Marne Ke Baad Hum Kahan Jaate Hai?


RadhaSoamiJi - Satsang - Aatma Ka Safar... Ek Adbhut Sach..


Friday, May 4, 2018

Tum sirf davai nahi rooh-e-hakeem purani ho...

Kagazon pe likhi koi kahani ho...
Tum koi Emarat purani ho...
Rooh mein utarkar elaaz karne ka fann janti ho...
Tum sirf davai nahi, rooh-e-hakeem purani ho...

aur

Rishtee mein itni gehrai to rehne do...
Tumhein dard ho... Aansoo mere nikalne do...

Kahi bhi rho... Khush rho...
Kisi ke saath bhi rho... Khush raho...
Jism na sahi is rooh ko to rooh ka rehne do...

- RaJ

Tum Jawa thi Jawa hi Rahogi...

Tum jawa thi jawa hi rahogi...
Umar ke aangan mein Tulsi ki tarah sadabahar rahogi...

Gudde se khelane ka shauk tumhara abhi tak gaya nahi...
Kab tak is nacheez se dil behlaya karogi...

Deedar ki pyasi kahi in aankhon mein chasma na lag jaye...
Kabhi tasveeron se bahar bhi nikalogi ya tasveer hi bani rahogi...

aur

Humari to jeet tabhi hogi GuNn...
Tumhein humse ishq tha...
Ishq hain...
aur
Ta-umar ishq rahega...
Jab yeh baat zamane se chilla-chilla kar kahogi...

- RaJ