Thursday, May 24, 2018

Pagala Kahi Ka.

Pagala Kahi Ka...

Ik to kadakti dhoop...
Suraj ki kirne bhi sar pe thirak rahi thi...
Upper se ishq ka rog...
Aacha khasa insaan bhi pagal ho jaye!

RaJ Sahab apni juban se ajeeb-o-garib shabd gungunaye ja rahe the....
"kultej kare KU Ku
hunar kare HU Hu
charu kare CU Cu...
Evidence di family Sahil da Kabir da Mayank all Tubelights of Virdi and Salaria..."

Aate-jaate rahagiron ne ruk kar haalchal puch liya...
Peepal ki Chaav mein bhetakar thanda pani pila diya aur thoda sa sar pe bhi daalkar nehla diya...

RaJ Sahab aur bhadak gaye...
Peepal ki darkhat pe chhad gaye...
aur anaap-sanaap, be-sir-pair ke ilzaam kisi GuNn pe lagane lage...
Majama ikatta ho gaya...
Logon ne samjha-bhujha kar neeche utara...
Kisi tarah gaadi bulakar pagalkhaane pahuchaya...

Aaj bhi pata nahi pagalkhaane mein baithe kya ajeeb-o-garib shabd badbadate rehte hai...
"kultej kare KU Ku
hunar kare HU Hu
charu kare CU Cu...
Tubelights di Sahil da Mayank da Kabir of total madness family of Virdi and Salaria"

Pagala Kahi Ka...

- RaJ

Wednesday, May 23, 2018

RadhaSoamiJi - Sare Tirath Dham Aapke Charno Mein Aye Gurudev Pranam Aapke Charno Mein...

Aankhein hi ab tumhari tasveeron ko qabool nahi karti...

Aankhein hi ab tumhari tasveeron ko qabool nahi karti...
Tumhi batao kis tarah dil ko behlaya jaye...

Kaan ab tumhare shabdon ka ras gholane ki tamanna nahi karte...
Tumhi batao kin shabdon ko fir se dohraya jaye...

aur

Tumhein aadat hai subah-subah mere blog pe aakar mujhe padne ki...
Humein aadat hai raat bhar tumko likhane ki...
Tumhi batao kis tarah yeh dooriyan khatam ki jaye...

Ya to tum sudhar jao ya hum sudhar jaye...

- RaJ

Meri Pyari GuNn...

Meri Pyari GuNn...

Begum rasoikhane mein kudhe hi ja rahi thi...
Mann hi Mann badhbadhaye ja rahi thi...
"Pehle Saas, seene pe mong dalti thi aur ab yeh buddha meri jaan nahi baksh raha"

Subah hi subah RaJ Babu jo aa dhamakte the ghar pe...
Ik kadak Coffee ke liye...
Sirf gharbhar ko Salaam kehna, Ik Cup Coffee peeni, Dua deni aur kisi baat se koi wasta nahi...
Barso se yeh Silsila chalta aa raha tha...
GuNn-Ammi ke jannat jaane ke baad bhi...

Kehne ko to GuNn-Ammi ke aashiq hua karte the...
Isliye main unhein RaJ Babu hi bulata tha...

GuNn-Ammi ke saath shuru hua jo subah ki Coffee ka silsila aaj tak thama nahi tha...
Chahe Gurudware mein mattha tekna reh jaye, akhbaar chuut jaye, mausam chahe kitni bhi kalakari dikhai...
Par RaJ Babu ka Coffee prem nahi chutata tha...
Wahi kursi... Wahi baramde ki kone wali jagah...
Unko aaj bhi lagta tha GuNn-Ammi unke saath Coffee pi rahi hai...

Pichale teen dino se RaJ Babu ghar Coffee peene nahi aaye the...
Begum unke bistar pe lagne ki khabar sunkar hairaan-pareshan thi...
"Hamdard Khatun boli... Aadmi se badkar koi tumhara davakhana thodi na hai... Chalo RaJ Babu ko dekh aate hai... Sang Coffee bhi Ketali mein le chalte hai.."

Bistar pe aankh band karke lete hue RaJ Babu, bagal mein unki betiya Sukrane ki Dua padti hui...
Halchal se jag uthe... Dekh kar mujhe Begum sang bahut khush hue...
Begum ne Coffee nikaal kar cup mein di, par unhone nahi pi...
Unki betiya boli... "Main to Roz Coffee banakar deti hun, par peete nahi... Kehte hai GuNn ke bina Coffee aachi nahi lagti"

Eka-Ek uthkar mere ghar aane ki zid karne lage...
Kisi tarah Car mein baithakar ghar laye gaye...
Wahi kursi... Wahi baramde ki kone wali jagah...
Wahi haath mein Coffee ka piyala liye... Pehle ghuut ke saath Zindagi ki aakhiri saans bharte hue...

Aaj bhi Meri Begum unke liye Coffee ka Cup banati hai...
Aaj bhi main Sahil unke liye wahi kursi... Wahi baramde ki kone wali jagah sajata hun...

Barson se yeh Silsila chalta aa raha hai...
Na jaane kab thamega...

- RaJ

Tuesday, May 22, 2018

aye meri jaan tu na ho pareshan

NaaZ kehti hai...

"aye meri jaan
tu na ho pareshan
koi bhi shaitan
tujhe choo na payega...

kar dungi qatleaam
macha dungi kohram
koi bhi shaitan
tujhe mushkil mein nahi daal payega..."

- Sultan

Meri Pyari GuNn...

Meri Pyari GuNn...

Uske padchaap sunte hi...
Main bistar chhodkar uth baithata tha...
Dono baahein fhelakar usko ishara kiya karta tha...

Uske chehare ki muskaan...
Uske mridul swabhav ke aage mein natmastak ho jaata tha...

Jab woh mere qareeb aati thi uske ghane kaale baal aur jheel si kaali aankhon mein, main kahi kho jaata tha...

Poore Aspataal ka mahool khushnuma ho jaata tha...
Har Roz yahi silsila chalta rehta tha...

Ik din maine himmat karke bol hi diya...
"Ek meharbani karogi...
Tum RaJ ki ban jaogi...
Iske do fayde honge...
Ik to RaJ ko yunh roj-roj bimari ka natak nahi karna padega...
Aur Dusara tumko bhi Kam Mehantana mein aacha naukar mil jayega"

Woh zor se hasne lagi...
"Boli... Main apne badan ki sugand pehle hi kisi pe loota chuki hun...
Ik bete ki maa bhi hun...
Jyada samay Operation Theatre mein rehti hun isliye suhaag ki nishani nahi pehan pati hun...  Gale mein mangal-sutra nahi latka pati hun...
Mera saath tumhe sirf coffee ki table tak hi milega..."

Pehle Aspataal mehakaya jaata tha, ab se coffee table pe gulab sajaya jaata tha...
Har Roz yahi silsila chalta rehta tha...

- RaJ

Monday, May 21, 2018

Santare se nikla Juice...

Santare se nikla juice...
Jeb se nikli ghus wapas nahi hoti hai...

Kahavat hai...

#Kahavat