Saturday, May 26, 2018

Paglu...

Paglu...

dheere-dheere log RaJ ko Paglu samajhane lage the...
RaJ ko to na rupiya-rojgaar ki padi, na zindagi ki koi parvah...
kaun sunta uski besir-pair ki baatein...
kise fursat hai jo bina-dekhi-anjaani ladki ke kisse sune...
na naam pata-na thikana GuNn ka...

majbooran use apne kutte-Tuffy ko hi apna humdost banana pada...
Tuffy bhi "ku-ku" karte hue GuNnRaJ ke kisse suna karta...
Beech-Beech mein RaJ ki khushi ke liye apni padi hui dum hila diya karta...

kabhi RaJ koi dilchasp baat kare GuNn ki to Tuffy kareeb aakar RaJ ki hatheli Ko chatane lagta...
to kabhi apne dono pairon ko aage ki tarah fhelakar uspar apna sar rakhkar dhyanpurvah kisi bhakt ki tarah suna karta...

jo GuNn ki tasveer Tablet pe dikha do to Tuffy apna mooh Tablet ke kareeb laakar usko kuch pal ghurata fir zor-zor se bhokane lagta... Jaise usne GuNn ko pehchan liya ho...

GuNn ke kisse sunate-sunate RaJ, Tuffy ko apne bistar mein hi sula leta...
Tuffy bhi RaJ ki baatein sunte-sunte jamhai lete hue apne pet mein mooh daale "ku-ku" karta rehta... Jaise saare kisso ka anand le raha ho...

Ik din Tuffy bina koi ishara kiye is dunia se chala gaya...
RaJ fir khud se hi GuNnRaJ ki besir-pair ki baatein karne laga, likhane laga...

Paglu hai...

- RaJ

Friday, May 25, 2018

Sirf zindagi-e-safar nahi... Yeh daud-e-jannat hai...

Maa kehti thi...

Sirf zindagi-e-safar nahi...
Yeh daud-e-jannat hai...
Itni jaldi nahi thamegi...

Saat fhere lekar... Saat janm saath nibhane ka vaada karte hai...
Budhapa aate-aate moksha mangane lagte hai...

Kise pata kaha Jannat, kaha Jehannum basaya hai Rab ne...
Sab kitabon mein likhi baatein kiya karte hai...

aur

Har roj ho jaati hai kitni Betiya vehshat ka shikaar...
Jab dekho satsang mein Krishna-Draupadhi ka kissa hi bakhaan kiya karte hai...

#Romil

माँ कहती थी...

सिर्फ ज़िन्दगी-ए-सफर नही...
यह दौड़-ए-जन्नत है...
इतनी जल्दी नही थमेगी...

साथ फेरे लेकर... सात जन्म साथ निभाने का वादा करते है...
बुढ़ापा आते-आते मोक्ष माँगने लगते है...

किसे पता कहाँ जन्नत, जहाँ जहन्नुम बसाया है रब ने...
सब किताबों में लिखी बातें किया करते है...

और

हर रोज हो जाती है कितनी बेटियाँ वहशत के शिकार...
जब देखो सत्संग में कृष्ण-द्रौपदी का किस्सा ही बखान किया करते है...

#रोमिल

Pagal ki Diary...

Pagal ki diary...

Bechara naujawan RaJ ajeeb hi aatank aur maansik yantarna se pareshan tha...
Uski diary padi to pata chala...

Pehle panne pe tasveer ka khali frame bana tha aur uske neeche kisi GuNn ka naam likha tha...

Agale panne pe likha tha...
"GuNn mujhse bahut pyar karti hai"

Do-Chaar panne ke baad padha dekha...
"GuNn marr chuki hai"

Kuch panno ke baad likha tha...
"GuNn bewafa hai... Kisi Doctor ki Begum ho gai hai "

Fir kuch panne palte to likha dekha...
"GuNn sirf meri hai..."

Aage ke panne padhe to paya...
"GuNn nahi Pravin hai... Pravin nahi Indu hai..."

Fir dekha likha tha...
"GuNn shadyantrakari hai..."

Panna palta to likha tha...
"GuNn mere liye marr chuki hai..."

Thoda sa aage padha to likha paya...
"GuNnRaJ ik hai... aur hamesha ik hi rahenge... Luv u till death..."

Sach mein kisi Pagal ki hi Diary hai...

- RaJ

Yeh Zikr-e-Parwardigaar hai... Rooh mein utrega to sukoon dega..

Ammi kehti thi...

Bhalu... Thodi dair Satsang mein baitho...
Yeh Zikr-e-Parwardigaar hai
Rooh mein utrega to sukoon dega...

Haq-Halal ki kamai se ghar chalana...
Khuda teri aamdani mein barqatein dega...

Naam ke prakash se hoga zindagi mein ujiyala...
Kul-Maalik mera garib nawaaz hai tujhe bhi nawaaz dega...

aur

Dil khol ke padha karo Rab ki naimatein...
Woh Suraj-Chand bhi teri hatheli pe rakh dega...

#Romil Raj