Saturday, June 2, 2018

RadhaSoamiJi - Shabad - Kaler Kanth New latest Devotional Song - Mere Satguru, Mere Swami... Meri Arzi Hai Mere Maalik Thai... Mainu Rakhle Sewadaar... (2018)


Hum Dushmani Khandani Rakhte Hai..

NaaZ kehti hai...

Ab tum ise chahe Rog samjho,
Hum Dushmani Khandani rakhte hai...

Bas kuch waqt karo intezaar...
Wahi mohre hongi, Waisi hi chale hongi...
Bas Khel Naya hoga...
Hum Badle ka Usool rakhte hai...

Aur

Tumhein kya lagta hai...
Hum bekhabar hai tumhari Satranji Chalo se,
Hum apne Dushmano pe Paini Nigahein rakhte hai...

Humein chhed ke tumne galti kar di...
Hum Sazaa ki Kitab mein sirf Maut rakhte hai...

Aur

Hamari chhupi to Khandani Raheson ki nishani hai,
Ise kamjori mat samjho...
Khamosh dhadhakti hui Aankhein hai hamari...
Hum samundaron ko bhi aag ke hawaale karne ka jazbaa rakhte hai...

#Romil Arora

Friday, June 1, 2018

Chalo humein bhi yeh hunar sikha do... Kisi ka Dil todna...Khud Chain se Sona.

Chalo humein bhi yeh hunar sikha do...
Kisi ka Dil todna...
Khud Chain se Sona...

Maana ki mere Shabdon mein tehzeeb nahi hai...
Maana ki zehar ugalte hai shabd mere...
Tum hi aakar seekha do Shabdon mein Sehad gholana... Mithas gholana...

aur

Chahat hoti hai is baarish ki bunda-bandi mein...
Chai peete hue tumhein bheege kapdon mein lipte hue dekhana...

- RaJ

Thursday, May 31, 2018

RadhaSoamiJi - Shabad - Mere Satguru, Mere Swami... Meri Arzi Mere Maalik Thai, Mainu Rakh Le Sewadaar...

Aankhein ghoorane se kya haasil hoga...

Alag-Alag dastane hai... Bas...

Koi Beti... Mayke mein tang ki jaati hai...
Koi Sasural mein pareshan hoti hai...

Aankhein ghoorane se kya haasil hoga...
In mardon ko...
Aankhein ghoorane se kya haasil hoga...
Yeh khubsoorti to umar ke saath har roz kam hoti jaati hai...

Aaj kal logon ko nasha chhada hai...
Betiyon ko Beta banane ka...
Ek daur tha jab Betiyaan,
"Pagdi bandhe, Salwar-Suit pehne, Ghode pe baithe, RanBhoomi mein Talvaar liye utar jaati hai..."

Aur

(Uski wah Hansi behad dardnaak thi, bebasi se bhari...)
Sawaalon ke ghere mein aksar Betiyaan hi kyon hoti hai...
Kyon nahi Beton pe lagaam lagai jaati hai...

#Romil

अलग-अलग दस्ताने है बस 

कोई बेटी मायके में तंग की जाती है 
कोई ससुराल में परेशान होती है... 

आंखें घूरने से क्या हासिल होगा...
इन मर्दों को... 
आंखें घूरने से क्या हासिल होगा... 
यह खूबसूरती तो उम्र के साथ हर रोज कम होती जाती है... 

आजकल लोगों को नशा चढ़ा है 
बेटियों को बेटा बनाने का... 
एक दौर था जब बेटियां 
पगड़ी बांधे, सलवार सूट पहने, घोड़े पे बैठे, रणभूमि में तलवार लिए उतर जाती है... 

और 

(उसकी वह हंसी बेहद दर्दनाक थी, बेबसी से भरी...) सवालों के घेरे में अक्सर बेटियाँ ही क्यों होती है 
क्यों नहीं बेटों पे लगाम लगाई जाती है...

#रोमिल

1 paisa petrol mein kam kar rahe hai...

500/-, 1000/- Rupiya ke Note band karne wale
Aaj paison se khel rahe hai...
1 paisa petrol mein kam kar rahe hai...

Notebandi hue zamana guzar gaya Miya...
Par pata nahi kahan se Gade Khazane ki tarah Purane Note aaj tak nikal rahe hai...

Yahan Kisan marr rahe hai...
Yahan Jawan Shaheed ho rahe hai...
Aur yeh Sarkari Numainde hai, jab dekho tab GDP-GDP, rating-rating kar rahe hai...

aur

(Koi na koi to Sarkar bana hi lega...
Koi na koi to Neta ban hi jayega...)

Aaye din, rozmarra election ki khich-khich...
Yeh akhbaar wale, news channel wale dikha-dikha ke waqt barbaad kar rahe hai...

- Romil RaJ

Wednesday, May 30, 2018

Paagal ki baatein, pagal hi jaane...

Tum logon ko kya lagta hai...
Nahi batao...
Kya lagta hai...

Yahan koi Mughal-e-Azam chal rahi hai...
Koi Anarkali naach rahi hai...

Koi Neem-Hakeem Mardangi ke Nushkhe baat raha hai...
Ya fir muft mein Jawan hone ki davaa mil rahi hai...

Abe yeh mera blog hai...
Ismein likhi baatein tum logon ke palle nahi padegi...
Yahan khamkha chakkar lagana chhod do...

Agar Bavaseer hai to Doctor ko dikhao...
Savita Bhabhi ke kisse sunne hai to kahi aur jao...
Girlfriend se chutkara chahiye to Baba Bengali ke pass jao...
Haryanavi dance dekhna hai to Dance Party nachwao...
Is blog pe aakar waqt na gawao...

Ismein likhi baatein samaj se pare hai...
Pagal ki baatein, pagal hi jaane...

- Romil RaJ