Friday, June 15, 2018

EID manane ko jee chahta hai...

Eid manane ko jee chahta hai
Tere pass aane ko jee chahta hai.
Bahut dino se jee bhar kar khaya nahi khana
Aaj tere haaton ki bani sewaiya khane ko jee chahata hai.

Woh mauj-e-bachpan, woh khel-e-ladappan
Aaj fir jee bhar ke gaane ko jee chahta hai
Nai poshake, naye tohfe
Aaj fir tarannum-e-lab sajane ko jee chahta hai.

Takalluf na kar nazare milane se
Aaj gale milne ko jee chahata hai
Kismat se lad-jhagad kar
Aaj tere pass aane ko jee chahta hai.

#Romil

ईद मनाने को जी चाहता है
तेरे पास आने को जी चाहता है
बहुत दिनों से जी भरकर खाया नहीं खाना
आज तेरे हाथों की बनी सेवइयां खाने को जी चाहता है...

वो मौज-ए-बचपन, वो खेल-ए-लड़प्पन
आज फिर जी भर के गाने को जी चाहता है
नई पोशाकें, नए तोहफ़े
आज फिर तरन्नुम-ए-लब सजाने को जी चाहता है...

तकल्लुफ़ ना कर नज़रें मिलाने से
आज गले मिलने को जी चाहता है
किस्मत से लड़-झगड़ कर
आज तेरे पास आने को जी चाहता है...

#रोमिल

Equality...

Pavitra Aatma NaaZ kehti thi...

Sultan... Khuda ne to sabki liye equality banai hai...
bas logon ne fark paida kar diya...

Suraj jab damakta hai to sabke liye damakta hai...
Haawein jab chalti hai to sabke liye chalti hai...
Chand ki chandani sabke liye chamakati hai...
Yeh Nadi-Dariya-Samundar-Jangal sabke liye barabari ka haq dete hai...

Agar Deen ke hawale se bhi dekho...

Namaaz sabke liye farz hai...
Zakat sabke liye farz hai... Chahe koi kitna ameer ho ya kitna garib...
Rozein sabke liye farz hai... aisa nahi hai ki ameer 10 rozein rakhe aur garib poore mahine.
Maa-Baap ki sewa karna sabke liye batati gai hai...
Qayamat ka din jab aayega to sabke liye aayega...

Allah ne riyatein jarur bakshi hai...
Jaise yeh samaj sakte ho ki Suraj sabke liye aag barsata hai, magar agar aap nahi bardasht kar pa rahe hi to kisi ped ki chaav ke neeche aa jaye... Magar Suraj aapke liye apni aag nahi kam karega... Woh Rab ka hi adesh manega sirf...

Sirf logon ne zameen ko baata... Logon ko baata... tarah-tarah ke fark paida kiye...

- ⛅

Thursday, June 14, 2018

Radio...piya aiso jiya mein samaye gayo re...main tulsi tere angan ki...

subah-subah sukomal, nanhe shishuhasht jaise sparsh se mujhe uthana...
aur kehna...
jaan abhi tum Chai bana do... evening mein main hi banaugi... promise jaan...

par tumhara vaada sirf... khayali pulao hi jaisa rehta tha... 
ant mein shaam ko mujhe hi joker banna padta tha...

main kheech mein bolta tha...
aaj to weekend hai, tumko hi banana chahiye na"

tum bol uthati thi...
aacha jaate-jaate Radio ki voice thodi badaa dena... mera favourite song aa raha hai... 
cooker mein aloo bhi chhada do na... aloo parathe milkar banate hai breakfast mein...

radio voice bada do na Mr...

"Piya aiso jiya mein samaye gayo re...
Ki main tann-mann ki sudh-budh bhoola baithi...
Piya aiso jiya mein samaye gayo reeee"

(Lijiye aapki Chai...)

(Advertisement ke saath Radio bajta rehta tha...)

Tum bistar se uthate hi laptop ko apne goad mein rakh kar kehti thi...
Biscuit ka dibba de do na...
Kaisa weekend jaan... Itna pending work pada hai... Aaj tailor ke pass jakar fitting bhi deni thi... Parlour bhi jaana tha... fir weekly marketing-shopping bhi to karni hai...

Udhar Radio bajta rehta tha idhar tumhara communication shuru rehta tha...

"tere pyar mein badnaam door-door ho gaye,
tere saath hum bhi sanam mashoor ho gaye...
Ab to hai tumse har Khushi apni...
Tum pe marna hai zindagi apni... Ho ho..."

Suno...Maan keh rahi thi usne last week try maara tha tumpar... Par tumne ghas nahi daali... Na tumne mujhe bataya...

Main kehta... Yeh bhi koi batane wali baat hai... After all tumhari friend hai....

Tum kehti... Chance to tum bhi maar sakte the.... Ek number ki kamini hai Maan... Bitch hai Maan...

Idhar tumhare mooh se Maan ke liye galiyan... Udhar radio ki voice...

"main tulsi tere angan ki,
Koi nahi... Koi nahi...
Main tere saajan ki...
main Tulsi tere angan ki..."

Udhar rasoi gas pe chhade aloo ke cooker mein siti bajne lagi thi...

mujhe samajhate dair nahi lagi thi, tum dono mitr mujhpe baazi lagi rahi thi... mujhe apni kasauti par parakh rahi thi...

main uthkar aloo chhelane lagta tha...
tum laptop ke saath badbadate email reply karne lagti thi...

radio bajta rehta tha...

"kya hua tera vaada....
woh qasam... Woh irada....
bhulega dil jis din tujhe...
woh din zindagi ka aakhiri din hoga"

- raj

Lajjaton mein mat bharma, Kul Maalik mein dhyan lagaa...

Ammo kehti thi...

Bhalu... Lajjaton mein mat bharma,
Kul Maalik mein dhyan lagaa...

Har ek cheez mein ek sabak chhupa hai akhirat ke liye...

Agar koi andha na hota,
To tumhein kaise in aankhon na mulya pata hota...

Agar koi haath-pairon-buddhi se kam na hota,
To tumhein kaise in haath-pairon-vivek ki keemat ka andaza hota...

Qaynaat ke logon ke sabak ke liye hi yeh fark hai sirf.
Logon ko to unsab ka sukriya ada karna chahiye...

Farishtee sab dekha karte hai...
aur likhate rehte hai...
Kaise tum in logon ke saath vyavhaar karte ho, bartaav karte ho...
Kaise inke saath shabdon ka upyog karte ho...
Kaise inko equality dete ho... Barabari ka samman dete ho...

aur kitni behtareem tarah se apni zindagi ko Khuda aur jannat ke liye taiyaar karte ho...

#Romil Arora

agar...

Kehti hai...

agar deen ka khayal na hota...
agar paak-e-ramzan mahina na hota...
agar uska masoom bacche sa dil na hota...

to

na humse bade tum siyasat wale ho...
na humse bade tum badshah ho...

#Romil

कहती है... 

अगर दीन का ख्याल ना होता... 
अगर पाक-ए-रमजान महीना ना होता... 
अगर उसका मासूम बच्चे सा दिल ना होता... 

तो 

ना हमसे बड़े तुम सियासत वाले हो 
ना हमसे बड़े तुम बादशाह हो...

#रोमिल

Wednesday, June 13, 2018

Radio... tere-mere sapne ab ek rang...

mehak mujhtak pahuch hi jaati thi...
woh yahi sochati thi mujhe kuch khabar nahi,
main bhi chup hi rehta tha...

cigarette ki mehak hoti hi aisi hai...
dhua bhi kisi na kisi kone se bahar aa hi jaata tha...

main sandwich banate hue aakhir tumse puch hi baitha tha...
tumhare liye sandwich laga dun?

Andar toilet seat pe aaram se baithe tum haan bolne ke saath-saath... thoda cheese kar dena, cucumber, tomoto bhi laga dena aur black pepper, thoda salt bhi daal dena please...

coffee bhi bana do na Jaan... bol hi deti thi...

Fir andar se hi tumhara communication start ho jaata tha...
"aaj client ke saath restaurant mein meeting rakhi hai...
mera lunch, dinner to wahi ho jayega...
kis restaurant mein use le jau?
tum office ya home ke nearby koi aacha restaurant bata sakte ho?"

main hasta hua bol deta tha...
"chai ki dukaan batau? 
mujhe to sirf wahi pata hai..."

tum fir andhar shower se nahate hue puch hi baithati thi...
"aaj kahi nikaloge?"
movie hi dekh aao?
kuch shopping hi kar lena... kuch transfer karu tumhare account mein...

main tumhari baat katate hue beech mein hi bol deta tha...
"Ho sake to raat mein saath khana khana...
main khichadi kha lunga,
tum Beer, Whiskey ke peg sang kuch  mexican, chinese ya italian Chakhana kha lena"

tum jawab dena jaroori nahi samajhati thi...

main fridge pe rakhe Radio pe ungali daba deta tha...
Gaana baj utha...

" tere-mere sapne ab ek rang hai,
jahan bhi le jaye raahein hum sang hai...

mere-tere dil ka teh tha ek-din milna,
jaise bahaar aane par teh hai phool ka khilna...

O mere jeevansaathi"

tum bathroom se bahar aati thi...
saath breakfast karte the...
fir main car nikaalkar bahar kar deta tha...
tum "love u so much" kehte haath hilate hue chali jaati thi...

main fir Radio ki dhun mein kho jaata tha...

"tumhe ho na ho mujhko to itna yakeen hai, mujhe pyaar tumse nahi hai, nahi hai...
pyaar tumse nahi hai, nahi hai..."

- raj

Radio... Shed...

zara si barsaat kya hui...
sadak ek dum sunsaan si ho gai...
mitti ki bheeni-bheeni khushboo is mitti ke jism ko mehkaane lagi...

jagah-jagah khaali Shed ke neeche log ikattha hone lage...
jahan jisko jagah mili woh wahi thehar gaya...
kuch naujawan pehli barsaat ka anand le premalingan mein mashroof ho gaye...

jaanwar...Gai, Bail, Kutta, Khacchar... aur insaan sab saath-saath ek hi shed ke neeche kitne aache lag rahe the...

main bhi ek aise hi shed ke neeche khade... ek haseen ko thodi dair ke liye nihaar raha tha, jiske kapde barsaat mein bheegane ki wajah se badan se chipke hue the...

Tabhi ek addhad se bujurg ne apne purane zamane wale mobile mein Radio chalu kar kaanfhaad awaaz mein gaana baja diya...

"nit khair manga soniye main teri, dua na koi aur mangdi"

theek us gaane ke baad hi... Dusara baj utha...
"Sanu ek pal chain na aave, sajna tere bina"...

main us haseen ladki ko nihaarna bhoolkar, tumhare adh-pakke se khawabon mein kho gaya...
dheemi anghethi pe un khawabon ke saath khud pakne laga...

thodi dair baad...
barsaat tham chuki thi...
shed mein sirf hum teen bache the... Main, Woh radio wala addhad-bujurg aur kutta... baaki sab ojhal ho chuke the...

usne radio band kiya...
main honton pe ajeeb muskaan liye ghar ko nikal pada...
kutta usi shed ke neeche aaram se sone ki koshish karne laga...

- raj