Thursday, July 5, 2018

ab lagta hai saanson ke saath hi khawaish thamegi...

tumhi ko to Rab se manga hai maine...
kaun sa jahaan maang liya hai maine...
ab lagta hai saanson ke saath hi khawaish thamegi...

na daulat... na jageer...
na shaurat... na zameen...
Meri Zindagi ki sirf tum thi manzil...
Itna hi Safar tey kiya hai maine...
ab lagta hai saanson ke saath hi khawaish thamegi...

aur

sabko padi hai apni-apni yahaan...
kisi ko parwah nahi karwan lut jaane ki...

- raj

Labon ko is qadar sajaya tha usne...

labon ko is qadar sajaya tha usne...
hum soche the ki hum par baras padenge...
par ab khabar lagi dard se sajaye hue the lub usne...

khamosiyan aksar galatfhemiyan paida kar deti hai...
isliye hum bolte rahe hamesha, par kabhi humko gaur se suna nahi usne...

aur

Haq... Poora Haq...
Us par Poora Haq...
Ab uska batwara nahi kar sakte...
Woh yeh baat nahi samajh sakti ki kis tarah apne seene pe jwalamukhi rakhkar raatein kaati hai humne...

- raj

Wednesday, July 4, 2018

Radio... My name is...aaj-kal tere mere pyar ke charche...tere karan mere sajan.... aaj se teri saari galliyaan...

"pyar karegi kya darne wali,
meri banegi koi himmatwali...
to jise meri yaad aaye, jab chahe chali aaye
roop mehal prem gali kholi number char sau bees...
My name is..."

Radio is umas bhare mausam ko bhi apne madhur geeto se bheego raha tha...

Tumne bola tha...
"Oye hero, 1000 rupiya dena..."

Mai bola tha...
"Sarkaar ne band kar diya hai 1000 rupia..." 

Tumne jawab diya tha...
"Do na Mr..."

Maine kahan tha...
"Are yaar... Mujhe 1000 rupiya dekhe hue kai saal beet gaye... 100 rupia chalega...

Tum boli thi...
"Tum hi rakho apna 100 rupia... 

Aacha suno, Friday ko mere saath morning mein mandir chalna... Maine Mata Rani ka Singhar karwaya hai Hum-Dono ke Naam se...

Aaj mazaar bhi gai thi to Maa ke Naam se Chadar chadai thi mazaar pe... Yeh gulab ka phool mila tha, isko mandir mein maa ki tasveer ke pass rakh dena zaraa..."

Radio apni dhun mein magan tha...

"aaj kal tere pyar ke charche har juban par
sabko maloom hai sabko khabar ho gai..."

Bed pe laitate hue tum boli thi...

"Main higher course ke liye Univerity mein apply karne ka plan bana rahi thi... Yeh material post se office mangawa tha.. Jyada tar correspondence rahega, bas exam dene jaana hoga... Woh main tumhare saath chali jayungi... Kuch 05-06 years period lagega... Tum kya kehte ho? Karu ya nahi?

Maine book ko apne tummy pe rakhte hue kaha tha...
"Isme mujhse puchane ki kaun si baat hai, tumko apni educational professional background ke liye better lag raha hai to apply kar do... Sab manage ho jayega"

Radio Dheere-Dheere svaro ko fizao mein ghol raha tha...

"tere qaran mere sajan
tere karan mere sajan
jaag ke fir so gai
sapno mein kho gai
aag lage saari duniya ko
main teri ho gai re Balma..."

Tumne bed pe meri taraf karwat lete hue kaha tha...
"Main 05-06 years tak ke liye Cap lagwana chahti hun, jab tak course complete na ho jaye... Maine apni friend lady doctor se baat ki thi... Usne kahan koi problem nahi hogi, ek baar tum-dono discuss kar lo... Tum kya kehte ho, lagwa lu?"

Maine fir Kitab ko apne bagal mein rakhte hue, glass se Pani peete hue kaha tha...

"Agar tum lagwana chahti ho to lagwa lo... Tumko jo better lage woh method use karna... Parso morning ka appointment le sakti ho apni doctor friend se... Tab dono saath chalte hai..."

Main fir Kitab ke panne palatne mein lag gaya... Tum course ka material, envelope se nikaal kar padne lagi... 

Radio ab bhi surili awaz mein baj raha tha...

"Aaj se teri saari galliyaan meri ho gai
Aaj se mera ghar tera ho gaya..."

- raj

Tera RaJ nahi badla...

kabhi Ishq ne nikamma kiya...
kabhi tabiyat ne bistar se utne na diya...
kabhi maut dagabaazi de gai...
to kabhi mizaz apna tafribaazi wala raha...

kabhi pillow pe tera naam likh baahon mein bharne lage...
kabhi tere naam ni purchiya, pani mein daal-daal kar ayaton ki tarah ghol-ghol peene lage...
Kabhi khuda se tere liye lad-jhad pade...
to Kabhi tujhe hi sau gaaliyan dene lage...

Mizaz badal gaye...
Tabiyat badal gai...
Maut ruuth ke chali gai...
Par ishq nahi badla...

Tera RaJ nahi badla...

- raj

Darpok hai... Darpokni hai...

Darpok hai....
Mera Naam likhne se darti hai...
Mujhe apna kehne se darti hai...
Mera haath thamana to door ki baat hai,
Mujhe dekhati bhi hai to zamane ki nazro se chhup ke dekhati hai...

Darpokni hai...

Mera Naam pukarna to door,
Yaadon mein bhi ghhut-ghuut bharkar naam peeti hai...

Sajti hai... Sawarti hai mere liye...
Tasveerein badalti rehti hai mere liye...
Par mujhse koi tareefon ki umeed bhi nahi karti hai...

Darpokni hai...

Itni jyada baatein bhari hai uske andar mere liye...
Kehna shuru kare to kai raatein sunne mein beet jaye....
Par mujhse kuch nahi kehti hai....

Darpok hai...
Darpokni hai...

- raj

Radio.... Kal ki hasi mulaqat ke liye.... Pal bhar ke liye koi hume pyar kar le... Tu thodi der aur thehar ja...

"Kal ki hasi mulaqat ke liye...
Aaj raat ke liye hum-tum juda ho jaate hai...
Aacha chalo so jaate hai..."

Radio apne poore mood mein tha...

Tum gusse mein khamkha thi... Tumne bola tha...
"Khao, Khao, Khao... Aaj hi Sab kha lo... Sab kha daalo... Yeh lo... Mujhe bhi kha lo...

Maine Kahan tha...
"Tum khamkha hi bhadak rahi ho..."

Jawab diya tha tumne...
"Nahi Tum aaj hi sab kuch kha lo... Kha dalo..."

Radio bhi baj raha tha, magar madhur svaro mein...

"Pal bhar ke liye koi hume pyar karle,
Jhoota hi Sahi...
Humne bahut tujhko chhup-chhup ke dekha,
Dil pe khichi hai tere kajal ki rekha,
Kajal ki rekha bani laxman ki rekha...
Ram mein kyun tune Ravan ko dekha...
Khade khidki pe jogi deedar kar le...
Jhoota hi Sahi..."

Mai bola tha...
"Maine thoda na tumse bola tha tum Vrat rakho... Bhookhi raho... Tumhari khud hi choice thi... Maine nahi bola tha... Ab kam se kam mujhe to Dinner karne do..."

Tumne reply diya...
"Maine kab tumko khane se roka hai... tum khao... kam se kam tum support to kar sakte ho... Moral support hi de sakte the...

Ulta tum to Palak-Paneer, Butter Nan, Kheer kha rahe ho... Khao..."

Maine kaha tha...
"Tum koi nobal cause ke liye hunger strike thodi na kar rahi ho... Jo main support karu...

Murade tumhari... Jo koi Vrat se fhal milega tumko milega..."

Tumne kaha tha...
"Main Vrat, hum dono ki Khushiyon ke liye rakh rahi hu... Samjhe... Tum Khao, Khao... Yeah nahi thodi dair 12 baje ke baad mere saath mein kha lena...

Radio surili awaz mein nagme barsa raha tha...
"Tu thodi dair aur thehar ja sohniya...
Tu thodi dair aur thehar ja zalima
Tu thodi dair aur thehar ja..."

Maine reply diya...
Ab aankho mein samundar mat bharo... Rakh raha hun uthake Sab... Hey Mera Palak-Paneer... Meri Kheer...

Tum Khushi se ucchal padi...

- raj

Tuesday, July 3, 2018

Mera Naam To Lo...

Oye... Mera Naam to lo...
Mera Naam lo na... Ek Baar hi Sahi...
Chalo apne naam sang lo... Mera Naam likho na...
Chalo apne naam sang likho na...

Do-chaar shabd pyar ke likho na...
Mere Naam sang...
Tere-Mere Naam sang...

- RaJ