Saturday, July 14, 2018

khuda thodi na ho tum...

ammo kehti thi...

bhalu... kis-kis ke gunaho ka hisaab lete rahoge tum...
khuda thodi na ho tum...

ek din to tumko bhi marna hai...
fir itna shor-sharaba kyon?
khuda thodi na ho tum...

honi ki maar se na Ram bache na Sita...
fir kyon itna darte ho tum...
khuda thodi na ho tum...

aur

koi saath phere leta hai,
koi chaar phere,
koi anghuthiyan badalta hai,
koi sirf qabool hai, kehta hai...

par umr bhi kam pad jaati hai,
ek dusare ko samjhane mein,
samjhauton mein...
khuda thodi na ho tum...

#Romil Arora

Friday, July 13, 2018

RSSB - Satsang 45 minute...

"main apni saari zindagi 
professor raha hun, main janta hun ki koi bhi petaleesh (45) minute se jyada dhyan dekar nahi sun sakta"

- Sardar Bahadur Ji

"isliye RSSB mein Satsang sirf 45 minute (Morning 8:30-9:15) hi hota hai"

radhasoami ji...

RSSB - Prem aur Bhakti, Bhajan se jyada mahatvapurn hai...

Prem aur Bhakti, Bhajan se jyada mahatvapurn hai. 

Prem apne aap mein sampoorna hai.

Prem mein Premi aur priyatam dono ek ho jaate hai, aashiq aur mashook ek ho jaate hai.

Prem se bada koi bhajan nahi hai.

Prem se uccha koi kanoon nahi hai, Prem se pare koi manzil nahi hai.

Parmatama aur Prem ek hi hai.

Bhajan mein mehnat karni padti hai, Prem mein sab kuch apne aap hota hai.

Prem ka artha hai - Shabd mein leen ho jaana, apne aap ko, apni khudi ko kho dena.

Gar teri tamanna hai to barbaad bhi ho jayenge...

gar teri tamanna hai to barbaad bhi ho jayenge...
hum tere qadmo mein raakh bhi ho jayenge...

rab kare... kabhi tere dil se nikali koi aarzoo khali na jaye...
tu maange jo meri maut ki dua,
hum muskurate hue Fanaa bhi ho jayenge...

aur

baat-baat pe pyaar...
baat-baat pe takraar...
aadat aachi nahi hai tumhari...
yahi haal raha to hum,
har roz dafan kiye jayenge, har roz jinda kiye jayenge...

gar teri tamanna hai to barbaad bhi ho jayenge...

- raj

Jubaan ka vaar, talvaar ke vaar se jyada gehra hota hai...

ammo kehti thi...

bhalu... jubaan ka vaar, talvaar ke vaar se jyada gehra hota hai...

kam bolo to lafzon ka jyada mol hota hai...

aur

dhyan rahe... juban  vardaan rahe tumhare liye, kabhi abhishaap na banne paye...

khayal rahe... lafz heere-motiyon se jyada keemati hote hai, kabhi inki keemat na lagai jaaye...

#Romil Arora

Thursday, July 12, 2018

Jyada bano na Hosiyaar...

NaaZ kehti hai ki... Inse kaho...

Jyada bano na hosiyaar...
Jaha se Ganga (Vibhagiye Dwar) nikalti hai, usi dwaar pe khade hai hum...

aur

Tum sirf ek sipahi ho...
Tum mamooli se sirf ek sipahi ho...
Shatranj ke Khel ke sabhi Mohro ko apni ungaliyon pe nachate hai hum...

#Romil Arora

Wednesday, July 11, 2018

Meri naqamiyon ka to sehra tere hi sar sajega...

Meri naqamiyon ka to sehra tere hi sar sajega...
Mere ilzaamo se tu Bari na ho payegi...

Main jab-jab padunga dastaan-e-mohabbat...
Meri awaaz tere dil pe dastak de hi jayegi...

- RaJ