Monday, July 16, 2018

Kul-Maalik janta hai hamare liye kya behtar hai...

ammo kehti thi...

Bhalu... Kul-Maalik janta hai hamare liye kya behtar hai...
Bas tum khawabon pe pabandagi mat lagana...

Chahe kar lo saara jahan apni mutthi mein,
Par is jahan se, is jahan ki kisi cheez se Dil na lagana...

Jab Janna ho khud ko...
Kuch pal khud ke saath ekaant mein beetana...

Prem, Khud ko khokar dusare ka ho jaana... hota hai...
bada kathin hota hai...
Sita ki tarah hona, Ram ki tarah ho paana...

#Romil Arora

RSSB - Zindagi to bahut seedhi-saadhi hai.

Zindagi to bahut seedhi-saadhi hai. Par hum log khud samasyaaye aur uljhane paida kar lete hai aur fir unhe suljhaane mein saari zindagi beeta dete hai. Pata nahi hum seedhi baaton ko seedhi tarah lena kab seekhenge.

- Maharaj Ji.

radhasoami ji...

Gardan katwa di hai premiyo ne ishq mein...

Gardan katwa di hai premiyo ne ishq mein...
Pehle baar suna hai... Kisi mashooqa ne apne Aashiq ki gardan jhukwa di hai ishq mein...

aur

Rahi baat hamari-tumhari...

Tere saamne sar jhukane mein harz kaisa?
Bhala, apne khuda se bhi rooth kar Banda jee sakta hai kabhi...

aur

Dar par tere to kabse gire pade hai...
Masla yeh hai,
Koi jhukkar humein uthaye to sahi..
Gale lagaye to sahi...

- RaJ

Sunday, July 15, 2018

विण तुध होर जे मंगणा सिर दुखा कै दुखा।।

विण तुध होर जे मंगणा सिर दुखा कै दुखा।।

- महाराज जी

Jo usko mujhse mohabbat hoti...

Unko kab hone laga Tabeezon pe aitbaar...
Humne to suna tha woh Duaoon wale hai...
Sajde wale hai...

aur

Mujhse mohabbat hoti to meri baahon mein soti...
Maang mere naam ki bharti...
Haaton ki Mehandi pe mera naam likhwati...
Darti nahi mera naam likhne se...
Zamane ke samne mujhe apna Shauhar kehti...

Jo usko mujhse mohabbat hoti...

- RaJ

RSSB - Poot, Kapoot ya Sapoot

Poot, Kapoot ya Sapoot

Bade Maharaj Ji ne samjhaya ki 'Poot' vah ladka hota hai jo apne pita se mili hui zameen, jaydad aur khandaan ki maan-patistha ko sambhal kar vaisi ki vaisi rakhta hai, na usko badata hai na barbaad karta hai.

'Kapoot' vah hai jo Pita se virasat mein mila hua sab kuch barbaad kar deta hai, gavaa deta hai; aur

'Sapoot' vah hai jo Pita se prapt hui daulat ko badata hai, apne Pita tatha Parivar ke naam aur maan-patistha ko aur uccha uthata hai, usmein chaar chand lagata hai.

radhasoami ji...

Is Haqeeqat mein raho...

NaaZ kehti hai.... Mashwara de do...

"Chahe Naqabon mein raho,
Pass hoke door ke dikhawe mein raho...
Tumhe hum chhod chuke hai...
Tumhe hum chhod chuke hai...
Is haqeeqat mein raho..."

aur

"Paidal hi tey kar sakta hun tere ghar ka fasala...
Tere liye behtar rahega...
Humse door hi raho"

- Sultan