Thursday, July 19, 2018

Timepass: Munni ke baad tusi duje honge jo inna Badnaam ho...

NaaZ kehti hai...

Munni ke baad tusi duje honge jo inne Badnaam ho...

Pata nahi kedi-kedi kudiya naal lafda pai rakha hai...

Munda ghare rehnda hai ta inne lafde paal rakhe hai, je shehar wich dolne laga ta te Jamai banne mein World Record banayega...

Kaaka Ji... RajRani nu dasso tere naal Lod laani hai, Ladai-jhagda nahi karna hai...

- Sultan RaJ

Wednesday, July 18, 2018

Radio... Jaane kaise kab kaha... Aawaz do humko...

Kursi pe baithe hue, do haath peeche kiye, taange fehlaye tumne kahan tha...

"kyon na humko har reeti-rivaj se, har parampara se har saal shaadi karni chahiye...

kaisa raha idea?"

Maine chai mein biscuit dubote hue kaha tha...

"Paisa jyada kama liya hai kya?" Value of Money ab nahi soch rahi...

Tumne jawab diya tha...
"Tum apna radio on karo jakar... 

Paisa?? Bas minimum cost aayegi... Maine kaun sa party karni hai... Sirf HumTum honge... no party, no teemjhaam, no people... Sirf HumTum...

Radio on karte hue maine pucha tha tumse....
"Aisa idea kyon aaya?"

Radio par gaana baj raha tha...
"Jaane kaise kab kahan ikraar ho gaya...
Hum sochate hi reh gaye aur pyar ho gaya..."

Tumne jawab dete hue kaha tha
"Kya pata... Agale kisi janam mein HumTum mile ya na... Sochati hu is janam mein sab khawaish poori kar lu..."

Maine kahan tha...
"Supported Huzur-e-Aala"... sach kya pata agale janam kya agale pal bhi saath rahe ya nahi... Rab hi Janta hai..."

Radio udhar baj raha tha...
"Awaaz do humko hum kho Gaye...
Kab neend se jaage kab so Gaye...
Marr jayenge hum agar door tumse ho Gaye..."

#Romil Arora

Haazire-Khidmat mein umr bhar rahe Jallad ke...

NaaZ kehti hai...

Mujhe kya lagta hai Sultan...
Tumne koi qasam khai hui hai ki tum bewakuf bane rahoge...
Koi chahe tumhe kitni dafaa ya baar-baar tumko bewakuf banata rahe...
Sacchai ke baad bhi tum bewakuf bane rehte ho...
Yeh kaisi mohabbat hai?...

"Haazire-Khidmat mein umr bhar rahe Jallad ke...
Hum sar jhukate gaye... Woh sar qalam karta gaya..."

- Sultan

RSSB - Hum reeti-rivaj ke, karmkaand ke gulaam ho gaye hai...

Hum reeti-rivaj ke, karmkaand ke gulaam ho gaye hai, mandiro(n), masjido(n), gurudwaro(n) ke bhakt ho gaye hai, hum us ek parmatama ke bhakt nahi rahe. Parmatama ke sacche bhakt na keval usse pyar karte hai, balki us prabhu ki sristhi ke har prani se bhi pyaar karte hain. Yahi sab Santon ka sandesh hai.

Guru Amar Das Ji ne kaha hai:

Jeeaa jant sabh tis de sabna ka soi.
Manda kisno aakhiye je duja hoi.

- Maharaj Ji

radhasoami ji...

RSSB - Tum angooro(n) se bhi khush aur santust nahi ho...

"tum angooro(n) se bhi khush aur santust nahi ho, jabki yeh log jungali Ber khakar bhi khush aur santust hai.

Sukh jaydad aur daulat mein nahi(n), Santosh mein hai.

- Bade Maharaj Ji

Maharaj Ji ne kaha, "yeh seedhi-saadhi sacchi baatein Bade Maharaj Ji humein kuch hi shabdon mein keh dete the. Lekin unmein seekhane ke liye bahut badi aur gehri sacchi hoti thi."

radhasoami ji...

Timepass - Bachpan ki woh ameeri...

Timepass...

Endu - Bachpan ki woh ameeri na jaane kaha kho gai...

RaJ - Simple... Beauty Parlour mein... make-up, shake-up mein... Lipsticko mein... Sohne-Sohne mehange-mehange salwar-suit mein... mobile bill mein...

aur kahan... Saara rupiya paisa sab wahi barbaad hua hai...

hehehe...

Radio... Humko Mann ki Shakti dena... Teri umeed tera intezaar karte hai...

Bade dino ke baad Radio pe koi aacha gaana baj raha tha...

"Humko Mann ki Shakti dena...
Mann Vijay kare...
Dusaron ki Jay se pehle khud ko Jay kare.."

Tabhi Tumne bola tha...
"Bathroom mein itni dair se kya kar rahe ho?"

Maine jawab diya tha...
"Anjeron ke utare hue rang-birange kacche (half boxer) pehankar fitting check kar raha hun...

Aaj tuesday local weekly market se purchase karke laya tha...

Mujhe thoda time lagega...

Tumne gusse se bola tha...
"Maine na tumko un rang-birange kaccho ke saath gas pe rakhkar jala dena hai...

Khabardaar jo tumne mere samne pehne yeh kisi ke utare hue kapde..."

Maine bathroom ke andar se bola tha...
"Are rupiya dekar purchase karke laaya hu... Koi bheekh thodi na maangi hai...

Itne saare log khareedate hai us market se kapde...

Tumne kaha tha...
"Mujhe kuch nahi pata... Bas tumne yeh kisi ke utare hue kapde nahi pehanne hai... Samjhe..."

Fir maine un kapdo ko next week usi market mein thele wale ko dhund kar wapas kar diye.... Bina rupiya wapas liye...

Radio naye gaane pe track change kar chuka tha...

"Teri umeed tera intezaar karte hai...
Aye Sanam hum to sirf tumse pyar karte hai...

Jaaneman hum bhi tum pe Jaan nisaar karte hai...
Aye Sanam hum to sirf tumse pyar karte hai..."

- Raj