Friday, July 20, 2018

RSSB - Maala fherate yug beet gaye, par mann ka fher na mita...

Kabir Sahib kehte hai ki maala fherate yug beet gaye, par mann ka fher na mita. Isliye tu haaton ke manke ko chhodkar keval mann ka hi manka fher. Mann ki mala fherane se haath-pair sunn ho jayenge, sharir ki sampoorna chetan satta aankho ke peeche ekatra ho jayegi, aatma aantarik mandalo mein pravesh karegi aur antar mein prakash ho jayega.

RadhaSoamiJi...

Use sab ehsaas hi nahi hai...

Use yeh sab ehsaas hi nahi hai...

12 saal shayad bahut kam hote honge uske liye...
Now I'm completed 36 years...03rd Aug...
Ek loser... Ek unsuccessful... Ek unmature... Ek kiddy boy...

Aisi jagah pe khada... Jiska na koi Goal... Na koi Vision... Na koi career... Dishaheen... 

Jiske na koi aage-peeche mai-baap...

Khud pe control nahi, ho sakta hai shayad abhi hi suicide kar le...

Use yeh ehsaas hi nahi hai...

Kaash usne 10th August 2006 ko hi rishta tod diya hota, to shayad meri zindagi ke bahut saare saal bach gaye hote...

Aaj kam se kam meri 5-6 saal ki beti hoti... NaaZ naam hota uska... jab apne chhote-chhote se masoom se haaton pe mehandi woh laga kar dikhati, payal pehankar mere aage-peeche chakkar lagati...judo-karate class mein, main use subah-subah le jaata... Jab woh muskurate hue Gurudwara mein langar khilati, sewa karti...

Par ab bahut dair ho chuki hai... bahut lamba safar taye kar chuka hun... Ab mushkil hai sambhala...

Baaki Jaisi Kul-Maalik di Razaa...
Banda to teri kat-putli hai...

- RaJ

Meri zindagi se hamesha ke liye chali jao...

Na-Pasand insaan ke saath apni zindagi guzaro...
Meri zindagi kyon tabah karne pe tuli ho...

Mujhpar reham khao...
Meri zindagi se hamesha ke liye chali jao...

- RaJ

Thursday, July 19, 2018

Sach se Rubaru... Sambhal...

Sach se Rubaru...

Maine Baba Ji se kaha...

"jab Maa mari maine Bithur, Haridwar, Ujjain jakar sb karm kaand karne wale Panditon ko Pooja, Bhojan, Bistar, Kapde sab kuch ka rupiya-paisa de diya tha...

Par jab Baap mara to Bithur, Ujjain mein Pooja, karmkaand ka rupiya-paisa to de diya... Par Bistar, Kapde in sab ka rupiya-paisa nahi diya tha...

Baba Ji ne Kahan...

Tu kis Brahm mein pada hua hai... Kis veham mein uljha hua hai... Usko Kul-Maalik ne Sambhal liya hai... To kya Kul-Maalik use Bistar, Kapde nahi dega?

In brahm, vehamo, reeti-rivajon ke chakkaron se bahar nikal khud ko is qabil bana ki jeete-jee aur marne ke baad bhi Kul-Maalik tujhe Sambhal sake...

Sach se Rubaru...

Sach se Rubaru...

Jab insaan kisi Rooh ke saath khelta hai...
Ya
Jab koi Rooh Insaan ke saath khele...

To uski maut ke pal ka koi pata-thikana nahi hota hai...

- Sultan

Chirag ko thoda jala ke aaye...

chalo Chirag ko thoda jala ke aaye...
hum uski lau ko bada ke aaye...
kisi haseen ke saath bitaye kuch lamhe-e-mohabbat...
Fir un gulabon ko sametkar use tohfa dekar aaye...

chalo Chirag ko thoda jala ke aaye...

apne andheron ka hisaab bhi to usse lena hai...
4380 raaton ka inteqaam bhi to usse lena hai...
band karke lifhafe mein dastaan-e-behehai apni siskiyon ke saath use suna ke aaye...

Chalo Chirag ko thoda jala ke aaye...

- raj

kya-kya Rab pe chhode...

kya-kya Rab pe chhode...

"tu...
tera saath...
apna pyar...
apne haalat...
apna muqadar...
beete gamo ki potali...
tera har raat mujhse bewafaai karke dusare ke saath sona...
sach ka kitab ka jala hua kona..."

tumhi kaho kya-kya Rab pe chhode...

Maa ko Rab pe vishwas kar chhoda tha...
vishwas tootkar chaknachoor ho gaya...

Darbaro mein hazari sirf isliye lagata hu...
Jahan bhi ho ab to Maa ko khushiyan baksh Mere Dateya...

- RaJ