Sunday, July 22, 2018

RSSB - Sewa ki keemat aanki ja sakti hai?

Maharaj Ji ne Ek Langade Satsangi ka udaharan dekar is baat ko samjhaya, "vah Langada Satsangi Bhandaro(n) par Himachal Pradesh ke pahadon se aata tha aur bahut garib tha. Vah 75 meel baisakhi ke sahare paidal chalkar aata tha, taki sewa mein dene ke liye rupiya bacha sake. Sewadar Ek din dhan ki sewa ke liye use mere pass laye. Usne ek rupiya sewa mein dena chaha. Uski garibi dekhte hue maine Sewadaron ko uski sewa lene se mana kar diya, is par wah rone laga aur mujhe uski sewa manjoor karni padi."

Maharaj Ji ne pucha, "kya is sewa ki keemat aanki ja sakti hai? Kya yeh dhanwano(n) ke diye hue hazaro(n)-lakho(n) rupiyon se jyada keemati nahi hai? Sewa ka mulya isse nahi aanka ja sakta ki aapne kya diya hai; uski keemat to us prem ki bhavana mein hai jiske saath vah sewa di gai hai".

RadhaSoami Ji...

Khayal rahe...

NaaZ keh rahi thi... Keh do inko...

Khayal rahe aisi Aag laga dungi tum logon ki zindagi mein...
Samundar bhi kam pad jayega bujhaane ke liye...

#Romil Arora

Sach se Rubaru - Sampoorna Shishya...

Sach se Rubaru

Maine Baba Ji se kahan... Baba Ji Bhandare mein itni Sangat aati hai, Itne logon ne naamdaan liya hua hai, Itni Sangat sab sewa karti hai... Kya sabko mukti mil jayegi, sabki rooh ko ant samay mein Satguru Ji lene aayenge...

Baba Ji ne Kahan... Woh dekho Aam ka vishal ped... Kuch fhal aandhi-toofan mein gir jaate hai, kuch fhal ped pe lage-lage hi sadh-gal jaate hai, kuch fhal ko keedhe-patange kharaab kar dete hai.... Kisko pata ki kis ped ke fhal ke saath kya hona hai... Kuch hi hoti hai Ambiya jo Aam ban paati hai... Yaani sampoorna fhal...

Isi prakaar yeh Sangat bhi hai... Kuch hi Sangat hoti hai jo sampoorna shishya ban paati hai...

Parantu sabko apne-apne karmo ka fhal avasya milega... Isliye bina fhal ki chinta kiye hue shraddha, vishwas ke saath karm karte jao beta...

Saturday, July 21, 2018

Jab dekho tab karte rehte ho Pehredari...

NaaZ keh rahi thi... Inse kaho... Mashwara de rahe hai, aacha lage to rakh lo...

"Jab dekho tab karte rehte ho Pehredari...
Itni pasand hai gar tumhe Pehredari...
Kaho to kisi Kothi pe lagwa du...
Kaho to kisi Sahib ke Bungalow pe lagwa du..."

"Umar bhar ya to khade-khade, message-message khelta rahoge...
Ya fir Video dekhate rahoge...
Ya fir cricket ka live score batate rahoge...
aur
Pani jo hai na plastic ki bottle mein bambe ka piyoge...
Pisaab karne ke liye deewarein dhundhate rahoge..."

Taye kar lo...

Bambe=Nalka

#Romil Arora

RSSB - Learning - Shabd Uccharan...

RSSB - Learning... Shabd Uccharan...

Baba Ji ke gaddi pe viraajmaan hote hi Satsang shuru ho jaata tha (8:30 am). Pehle din ek Behan, Santon ke shabd padh rahi thi aur ek Bhai un shabdon ki vyakhiya kar raha ths...

Dusare din Satsang ke dauraan ek Bhai, Santon ke shabd padh raha tha aur ek Behan un shabdon ki vyakhiya kar rahi thi...

Meri to aankhon se pata nahi kyon aansoo beh rahe the... Maa ki yaad aa rahi thi...

Us Satsang wale Bhai aur Behan ki kya shabdon pe pakad thi... Ek-Ek shabd sahi se Uccharan kar rahe the...

Mujhe maa ki yaad aa gai... Maa ki bhi Japji Sahib, Sukhmani Sahib, Dukhbhanjan Sahib, Gurbani, Durga Shaptasati, Bhajano ke shabdon par ek dum sateek pakad thi... Ek-Ek shabd ka sahi se uccharan...

Main to itni jaldi padta hu ki kuch shabd to aadhe hi mooh se nikalte hai... Kabhi-Kabhi tension mein hota hun to padte-padte shabd bhool bhi jaata hun... Fir kitab haath mein lekar padna padta hai... Ek dum Rattu Toota hun... hahaha...

Kabhi-Kabhi to main pooja-path karke aur jyada krodh mein aa jaata hun, mann aur jyada vichlit ho uthata hai... hahaha...

Learning...

Saaf uccharan ke saath hi Santon ke Shabdon ko padna chahiye... Jisse mann bhi prafullit hota hai... Warna sirf dikhave, khanapurti ke liye pooja-path nahi karna chahiye... Vyartha hi jayega warna...

RSSB - Satsang ko rajneeti mein fhasaane ki koshish na karein...

Satsang se pehle main ek bahut jaruri vinti karna chahta hun, zara gaur se suniye. Hamesha ki tarah main har chunav se pehle arz karta hun ki RadhaSoami Satsang Beas ka chunavo(n) se kisi tarah ka sambhand nahi hai. Satsang hamesha chunavo(n) se alag raha hai. Sab Rajnaitik Partiyan apni hain, sab ke liye mera ek jaisa pyar aur sammaan hai. Parantu mera jo Sangat aur Satsang se rishta hai, vah roohaniyat ka rishta hai, prem aur bhakti ka rishta hai, koi voton ka rishta nahi(n). Vote aapke apne hai jise munasib samjhe khushi se den. 

Satsang ko rajneeti se bahar rakhne ki koshish karein. Koi Satsangi Bhai kisi Neta ko lekar mere pass aane ki koshish na kare, kyonki meri to sada yahi koshish rahi hai ki Satsang rajneeti se hamesha alag rahe. Maharaj ji ki daya-mehar se aaj tak yeh Satsang rajneeti se hamesha bahar raha hai aur main ise rajneeti se bahar hi rakhna chahta hun. Isliye aap jise marzi vote dein, lekin Satsang ko rajneeti mein fhasaane ki koshish na karein.

- Maharaj Ji

RadhaSoami Ji

Kaur... Sikhni...