Tuesday, July 24, 2018

Hum ishq wale log hai...

NaaZ keh rahi thi...

Hum ishq wale log hai...
Ek baar jo kisi se ishq karle to emaan le aate hai...
Jis pe emaan le aaye uske liye Jaan bhi haazir-naazir kar dete hai...

- Sultan

kisi ka dil todh kar kisi ke saath basna koi sookha kaam nahi hota hai...

naaz keh rahi thi...

kisi ka dil todh kar kisi ke saath basna koi sookha kaam nahi hota hai... Zara sa bhi sabaab haasil nahi hoga...

- sultan

Mohabbat mein Aurat se koi jeeta nahi hai... aur Nafrat mein Aurat ko koi hara nahi saka hai...

NaaZ keh rahi thi..

Mohabbat mein Aurat se 
koi jeeta nahi hai...
aur
Nafrat mein Aurat ko 
koi hara nahi saka hai...

- Sultan

O Mere Ranjhana...

O Mere Ranjhana...

Heer jo hai na Punjab ki thi... tujhe Lakhnau mein kahan milegi...

Dhundhana hai jo use to jakar Punjab mein dhund...

- raj

Pathar ki aurat ho tum...

Pathar ki aurat ho tum...
Aankhein pathar si, jise meri mohabbat dikhti hi nahi...
Dil pathar ka...
Baatein jo karti ho woh bhi pathar si...

Par maine bhi pathar pujne ka faisala kar rakha hai...

Aage Rab di razaa...

Inspired. #Romil Arora

HAQ se Bolti hu...

NaaZ kehti hai... Keh do inse...

HAQ se Bolti hu...

Sultan mera Yaar hai...
mera Pyaar hai...
Bhai ki tarah Sambhal rakhta hai...
Abba ki tarah Samjhata rehta hai...
Miya ki tarah ladai-jhagda karta hai...
Ammi ki tarah dulaar aur jarurat padne pe gaal pe kantaap bhi raseed deta hai...

Badi behan ki tarah sare-raah, sare-aam daant deta hai mujhe...
Chhoti behan ki tarah mere sar ke baalon ki choti kheech-kheech kar pareshan karta hai mujhe...
Saheli ki tarah gappe marta, apni t-shirt, jeans pehna deta hai mujhe...

Zamane ki nafraton ke bawajud Dost ki tarah saath khada rehta hai...
Saaya ki tarah mere saath chalta hai...
Guru ki tarah duniyadaari ke janjaal se bachane ki salah deta rehta hai...
Faltu timepass suna-suna ke hasata rehta hai...

Log chahe pagal kahe ise, haqeeqat na lage ise, fir bhi mujhpar yakeen rakhta hai...
Rab ka darza deta hai mujhe...

Soch lo itne rishte hai mere Sultan ke saath...
Sabka gin-gin ke badla lungi...

#Romil Arora

Monday, July 23, 2018

Radio... Jab koi baat bigad jaye... Ek pyar ka nagma hai... Ajeeb dastan hai yeh...

Radio pe Instrumental song baj raha tha...

"jab koi baat bigad jaye...
jab koi mushkil pad jaye...
tum dena saath mera... O humnava...
na koi tha... na koi hai...
zindagi mein tumhare siwa...
tum dena saath mera... O humnava..."

Tabhi tumne pucha tha...
Yeh Gaaliyan tumne kaha se seekhi?

Maine kaha tha...
Virasat mein mili hai...

Tumne fir kaha tha...
Virasat?

Maine bola tha...
Haan... Maa-Baap dono dete the... To seekh gaye...

Baap ki to aadat thi.... Gaali-Galauch ki... Maar-Peet, Ladai-Jhagde ke... Jab tak roz 2-3 logon ki Maa-Behan sek na de, tab tak uske dil ko tasalli nahi milti thi...uska din poora nahi hota tha...

Maa majbooran hokar deti thi... Samaaj akeli aurat ko ladai karne ke liye yeh sab hatiyaar de hi deta hai.... Samaaj ne maa ko waisa bana diya tha... Aur Kabhi-Kabhi shaukiya, mazakiya de deti thi...

Bas dono ki kripa se sab seekh gaye... hahaha...

Radio par Naya instrumental song baj utha tha...

"ek pyar ka nagma hai...
maujon ki ravaani hai...
zindagi aur kuch bhi nahi...
bas teri-meri kahani hai..."

Tumne fir bola tha....
Mujhe lagta hai Dad aache insaan rahe honge?

Maine kaha tha...
Tumko aisa kyon laga?

Tumne jawab diya tha...
Main jab tumko dekhati hu... To sochati hun...

Ek ladka jo apni maa se itna pyar karta hai...
Jo ek ladki ke liye 12 saalon tak loyal, imandaar reh sakta hai... caring, supportive hai...
Jo betiyon, bujurgon ki itni respect karta hai...
Jo thoda bahut... thoda bahut sanskari, dharmik type wala hai...

Woh kahavat hai na...
"baap pe beta, sipahi pe ghoda...
jyada nahi to thoda-thoda..."

Isliye aisa lagta hai Dad ek aache insaan rahe honge...

Maine kahan tha...
Aache, bure ka to mujhe nahi pata... Par mere liye usne kuch bhi kiya nahi... Kam se kam hamari padai-likhai ka kharcha hi utha leta...

Ek fhooti kaudi bhi nahi chhodi hamare liye....

Waise mujhe mere Baap ka kuch chahiye bhi nahi tha...

Radio naye tarane ki taraf badh chala tha...

"Ajeeb dastaa(n) hai yeh...
Kaha shuru kaha khatam...
Yeh manzile hai kaun si 
na woh samajh sake na hum...."

- raj