Sunday, August 12, 2018

Tujhe chhuhunga to kahi Khuda puch na baithe ki... Namaz to paanch waqt ki ada karte ho aur Wazu dus dafa karte ho...

Tujhe chhuhunga to kahi Khuda puch na baithe ki...
Namaz to paanch waqt ki ada karte ho aur 
Wazu dus dafa karte ho...

#Romil

तुझे छुहूँगा तो कहीं ख़ुदा पूछ ना बैठे कि...
नमाज़ तो पाँच वक़्त की अदा करते हो
और
वज़ू दस दफा करते हो...

#रोमिल

Saturday, August 11, 2018

In Saanpon se keh do...

NaaZ keh rahi thi...

In Saanpon se keh do apne fann na fehlaye...
Warna apni Jutti tale kuchal-masal dungi...

Goli ki aawazon se daroge to banduk kaise chala paoge...
hehe...

- Sultan...

Radio - Anand...

Maine kahan tha...
"Badtameez aurat zara tameez se pesh aaya karo mujhse...

Janti ho mera Saala, England mein rehta hai... England mein... Samjhi..."

Tum boli thi..
"Tabhi main sochu hamesha wahan ke Jhande ki underwear kyon pehne rehte ho...

Raat mein main hi utarati hu isko...

Kaun sa angrez tumhari Bibi ko utha le gaya tha jo is tarah badla le rahe ho sabhi angrezon se?"

Maine bol tha...
"Tum jao Chai banao... Tumse to seedhe mooh baat karna dhubar hai..."

Tum boli thi...
"Turn aapka hai mahashey... Aap jakar Chai banao...

Bada aaye England wale Arora Ji...

Ab kya Chai England se aa rahi hai... Jo itni dair lag rahi hai...

Apne Saale se keh dena Biscuit bhi bhejwa de England se..."

Maine radio on kar diya... Radio pe Anand movie ke song baj rahe the...

Kahi door jab din dhal jaye...
Maine tere liye hi...
Zindagi kaisi yeh peheli...
Na Jiya laage na, mera tere Bina...

- RaJ

Bande tum naye zamane ke ho... aur ishq wahi purane zamane wala kar baithe...

Bande tum naye zamane ke ho...
Aur ishq wahi purane zamane wala kar baithe...

Tarjuma

Movie Sanju jo ki ek biography kahi jaati hai, ke ek scene mein Anushka, Sanjay Dutt se puchhati hai... Tum apni biwi ke alava kitni biwi ke saath soye ho... Woh reply deta hai prostitute to chhod de to yahi kuch 308...

Ek yeh bhi daur tha Jauhar ka... Sati Patha ka bhi daur tha... Aaj bhi Mathura, Brindavan jao to bahut si Radha bani mil jaati hai, jo sirf apne Krishna ki hai...

Sita-Ram ki Ramayan hum aaj bhi padte hai...

Mughalo aur Raja-Maharaja ki aayashi ke kisse-kahani aaj bhi itihaas ke panno mein dafan hai...

Baat sirf itni hai... Banda yeh hi nahi samaj pata hai ki ishq kya hai? aur jo banda ishq samaj jaata hai woh fir banda rehta hi nahi...

Rahi baat meri... Mobile-Internet pe Kiara Advani, Nawazuddin ka Netflix wala sex scene dekh leta hun... Kabhi road pe koi mahazabeen dikh jaye to eye_tonic bhi le leta hun... Par ishq sirf GuNn se karta hun... Kabhi us border ki rekha ko cross nahi karta, jahan apne rishte, apni wafa, apni mohabbat ka The End ho jaye...

Ab ise naye zamane wala ishq kaho ya fir purane zamane wala...

- RaJ

Dusare ka haath thamana koi mushkil kaam nahi...

Dusare ka haath thamana koi mushkil kaam nahi...
Shart sirf itni hai...
Woh ek ka haath chhodana chahe, dusare ka thamana chahe...

Tarjuma

Mazhab to chaar tak ki izzajat deta hai... Magar ek ka dil dukhaoge to Khuda ki nazar mein gunehgaar kehlaoge... Yeh ajeeb baat hai bina dil toote rishta toot jaye...

Jinke haath kisi haadse, jaattie, qismat ki wajah se tanha ho jaye, unhe dusare ka haath thaam lena chahiye...

Kuch shaks sirf duniya ko dikhave ke liye haath thame baithe hai, unhe ek-dusare ki razaa ke saath haath chhod dena chahiye...

Rahi meri baat... Maine to uski wafaaon se, uski yaadon se, uski Mohabbat se apna haath tham rakha hai... Anniversary par khud hi raat sajaye, khud hi khawab banaye, khud hi mohabbat mein sama jaye, usse bada paagal insaan kaun hoga... Magar yeh pagalpan aacha hai... Kuch to hai jo mera hai, jis par mera haq hai, fir yeh pagalpan hi sahi...

- RaJ

Friday, August 10, 2018

Timepass: Blog banaya hai...

Shahjahan ne apni Mumtaz ke liye TajMahal banaya tha...

Maine apni GuNn ke liye 
Blog banaya hai...

04 Blogs...
Chaar Minarein....

Fhitte Mooh Tera...
hahaha....

- RaJ

RSSB - Satguru ko pyar karo lekin parivar ka haq bhi chukaao...

Prem ka yeh arth to nahi(n) kee hum apne kartavya na nibhaye(n), duniyavi jimmedariyon ki oar se moonh pher lein. Prem to humein ek adarsh insaan banata hai, auron ke liye ek misaal banata hai. Tumhe dekhkar sambhav hai aur log bhi santmat ki oar aakarshit ho(n). Isliye is bhavana ke saath kee Satguru hamesha tumhare saath hain aur tumhari sahayata kar rahe hain, apne parivar ke prati apne kartavya nibhao. Satguru ko pyar karo, lekin parivar ka haq bhi chukaao.

- Maharaj Ji

RadhaSoami Ji