Saturday, August 25, 2018

Aadmi jisse mohabbat karta hai...

Aadmi jisse mohabbat karta hai, usko kisi aur ka hota dekhkar umar bhar bahut takleef se guzarta hai.

Tarjuma

Kya karta tumhari shaadi ke invitation par guest's ke naam likhta...

Ya fir tumhari shaadi pe kursiyaan lagata...

Ya mithai ke dibbo ka intezaam... Ya fir catering wale ko dekhata...

Ya tum kehti to mehmano ke rukne ka intezaam karta...

Isse aacha to yahi rehta ki shaadi mein shareek hi na hota...

Mard agar ro de kisi aurat ke liye to samaj lena mohabbat sacchi hi thi..

Jaise mohabbat hone ka pata hi nahi chalta...

Jaise mohabbat hone ka pata hi nahi chalta kab aur kaise ho jaati hai.
Usi tarah faaslon ka bhi pata nahi chalta kab aur kaise badh jaate hai.

Tarjuma

Aajkal khud ko insan bada gyanchand aur bhagwanchand samajhata hai. 

Jab koi kisi toote dil aashiq ko samjhata hai ki... 

"tumhara breakup sirf itni si baat par hua, baithkar sulja lete...

Yeh koi masla thodi na hua dil todne ka...

Sirf itni si baat par tumdono alag ho gaye...

pyar nahi tha, sirf attraction tha... nahi to bebaat ka batangadh na banate...

bewajah shak karne ki jarurat kya thi...

Itni chhoti si gal da siyapa hi pa litta tum dono ne..."

Sach to yeh hai jab faasle badte hai to koi wajah saamne nahi hoti... Bas dooriyan badati chali jaati hai. Insan jab akela baitha un baaton ko yaad karta hai to use khud bichhadne ki wajah samaj nahi aati... Balki apne bachpane pe hasta hai...

Dusare ko samjhana bahut asaan hai, par jab khud pe bitati hai, tab akal ghas charne chali jaati hai... hahaha...

Friday, August 24, 2018

Mujhe yeh apne tajurbon se haasil hui hai...

Mujhe yeh apne tajurbon se haasil hui hai,
Jise tum dilfareeb kahani samaj kar padte ho...

Tarjuma

Dunia-e-jahan mein bahut kam log hai jo alfazon ki gheraiyon mein utar kar uski sacchai jaan lete hai... 

मुझे यह अपने तजुर्बों से हासिल हुई है,
जिसे तुम दिलफ़रेब कहानी समझकर पड़ते हो...

तर्जुमा

दुनिया-ए-जहां में बहुत कम लोग है जो अल्फ़ाज़ों की गहराईयों में उतरकर उसकी सच्चाई जान लेते है...

Teej bhi manate hai, 
rang bhi gulab sa gulabi pehante hai, 
sindoor bhi hai maang mein,
salamati ki dua bhi padte hai...
bas kareeb aane se darte hai...
raat jaane kaisi besharm hai...
bina koi daag-e-mohabbat chhode guzar jaati hai...

#Romil

तीज भी मनाते है,
रंग भी गुलाब से ग़ुलाबी पहनते है,
सिंदूर भी है मांग में,
सलामती की दुआ भी पढ़ते है...
बस क़रीब आने से डरते है...
रात जाने कैसी बेशर्म है...
बिना कोई दाग़-ए-मुहब्बत छोड़े गुज़र जाती है...

#रोमिल

tumhari zindagi mein main kahan par hu...

tumhari zindagi mein main kahan par hu...

raat ki tanhaiyon mein hu ya
jar-jar padh chuke toote khawabon mein hun...

subah ki pehli angadai mein hu ya
ghut-ghut kar jeeti zindagi mein hun...

Dabi muskaan mein
Chhupe hue aansoo mein
Khamosh padi jubaan mein
Bolti hui haaton ki mehandi mein
Khanakti hui chooriyon mein
Damakti hui bindiyan mein
Badan se lipte gulabi libaas mein
Yeh solah singhar mein
Ya
Fir maang mein bhare Sindoor mein...

Tumhari zindagi mein main kahan par hu....

- RaJ

mohabbat ke phool khil uthate hai...

woh jab kareeb hamare sote hai...
na chahte hue bhi jab jism chuu jaate hai bistar par...
ek bijli si kaund uthati hai jismo mein...
burf si pighalne lagti hai...
paseene ki boondein tapakne lagti hai...
hoonth bheegh jaate hai...
fir andheri-dhundhali raaton mein do jism mil uthate hai...

mohabbat ke phool khil uthate hai...

#Romil

Thursday, August 23, 2018

Akhbaar mein khabarein chahe...

Akhbaar mein khabarein chahe kitni hi dischasp aur dilfareeb kyon na ho...
Par uska muqaddar raddi ki tokri hi hota hai...

अखबार में खबरें चाहे कितनी ही दिलचस्प और दिलफ़रेब क्यों ना हो... 
पर उसका मुकद्दर रद्दी की टोकरी ही होता है...

Tarjuma

Jab kisi ke taane din ka chain aur shabd raaton ki neendein uda de to insaan ki soch insaan ko yeh sochane par majboor kar deti hai ki mohabbat ki kitaab khoobsurat jaroor thi magar jab bazaar mein beki to ek waqt ki roti ka intezaam nahi kar saki.

Andhe insaan ko rasta dekhane se koi fayda nahi... Himmat ho to haath pakad kar rasta paar karwao... warna chhod do usko uske haal pe woh khud chhadi ke sahare rasta paar kar jayega... Aur zindagi ka safar bhi...

Rehmatein aur barkatein....

Ya Khuda... Ramzan ka mahina to chal nahi raha...
Par rehmatein aur barkatein khoob baras rahi hai...

Tarjuma...

call bhi kar rahi hai...
comments bhi kar rahi hai...
cake bhi bana rahi hai...
shaadi, bhudapa, job, zindagi ki fikr bhi badi kar rahi hai...
na taana maar rahi hai...na gussa kar rahi hai...

Tabiyat to iski theek hai, kahi zehni roop se bimaar to nahi ho gai hai...

Bas pyar nahi kar rahi hai... Love you nahi bolti hai...

hahahahaha