Friday, November 9, 2018

Waqt kareeb aa gaya hai...

NaaZ keh rahi thi...

Waqt kareeb aa gaya hai...
Sawalon ka jawab lene ke liye ...
Baaton ka hisaab lene ke liye...
Har Shadyantra ki turpai kholne ke liye...
Karni ka fhal dene ke liye...
Lal Rang se rangane ke liye...

Bas mauke ki talash hai...
Na koi saboot, Na koi gawah... Bas Lal Rang se bikhara hoga jahaan...
Yahan mauka mila... Wahan Lal Rang Udha...

#SultanWrites

Thursday, November 8, 2018

aisa lagta hai...

aisa lagta hai ...
jaise zindagi, maut ke pass girwi rakhi ho...
saansein chal to rahi hai par ek-ek pal ka hisaab de rahi ho...

aisa lagta hai...
yeh uthak-patak; bhagam-daur kabhi rukegi nahi...
ek daur ke baad, naya daur shuru ho jayega...
jism ka libaas bas badal jayega par rooh ka safar kabhi khatam na hoga...

aisa lagta hai...
dunia badi bhri-bhri si hai aur ek hi pal mein lagta khaali si hai...
kabhi lagta hai koi is dunia ka mai-baap hai aur kabhi lagta hai yeh anath si hai...
kabhi lagta hai kisi ko to hamare dukh-dard ki parwah hai..
aur kabhi lagta hai fariyad tak koi nahi sunta hai...

aisa lagta hai...

#RomilWrites

Wednesday, November 7, 2018

ki rishtey ki doorie na toote...

koshishein tamam ki...
jatan bhi khoob kiye...
ki rishtey ki doorie na toote...

intezaar bhi khoob kiya...
sar bhi khoob jhukaya...
zamane ke taane... baatein bhi khoob suni...
prayas bhi kiya ki rishtey ki doorie na toote...

manufacturer ke saath unke sambandh ko bhi nazar andaaz kiya...
uske product ko bhi hamesha apne sa product samajhate rahe...
unki raaton ka hisaab bhi bhool gaye...
har sambhav talasha ki rishtey ki doorie na toote...

aise hi koi bewafa nahi hota.. 
aise hi koi gair ka nahi hota...
kasoor jaroor hamara hi raha hoga...
aise hi koi maa-baap tak nahi pahuchata...
beizzati nazar andaaz ki taki rishtey ki doorie na toote...

aur

"baat maa-baap tak aa jaye...
to beedh jaana chahiye..."

isliye rishta nahi joda tha ki maa-baap ko gaali khilau...
mujhko jo kehna hai khulke kaho... Chaho to poster; hording; banner; wall painting; newspaper advertise tak nikalwa do...
Bas mere dayere tak raho... Maa-Baap tak na pahucho...

#RaJWrites

Monday, November 5, 2018

Bhow... Bhow... Bhow...

Bhow... Bhow... Bhow... Karne do... Aur Zor Zor se Bhow... Bhow... Bhow karne do...

Thoda samay baad thak ke Meaow... Meaow... Meaow.... Karne lagegi...

Just Ignoring... Bahut Shor Ho Raha Hai... Ignore karo...

#SultanWrites

Just Ignoring...

Jawab dene se koi fayda nahi hoga...
Bas ab khatam karo...
Ignore policy apnao.... Just Ignoring...

Itne saal barbaad ho gaye to ho gaye... Ab ek pal bhi zayaa nahi karna hai... Ignore karo...

#SultanWrites

Sunday, November 4, 2018

Is baar...

NaaZ keh rahi thi...

"Is baar kisi ko nahi bakshungi Sultan... Yeh saal jaate-jaate Lal Rang se rang dungi... Tum dekh lena..."

Pata nahi aisa kyon bol kr gai ... Sabko kaise samjhu, mat karo mere khilaf koi shadyantra usko Badrooh mat banao... Badrooh ban gai to zindagi haraam kar degi tum logon ki...

#SultanWrites

Bas aise hi kuch...

2011 mein mile the DGP Sahab se Retirement ke samay aur aaj mile... Wahi chehra pe Raunak, wahi buland awaaz, wahi fitness, wahi haath milane ka andaz... Aaj bhi Bande mein bahut dum hai... Aur ek hum hai is Umar mein hi dheele-dhaale, susht Ho Gaye hai... Pata nahi budhapa aate-aate pairon pe sahi se khade bhi ho payenge ki nahi...

2. Hum Gomti Nagar Thane Gaye socha mobile missing ki report likhwa de... Bandi aaplication dene se darr rahi thi... Itna Hungama Kiya tab chupchaap mobile rack mein neeche copies; books ke neeche rakh diya, jisne liya tha...

3. Chai wala kham-kha maar khana chah Raha tha... Keh Raha 01 ghanta lagega chai banane mein, hamara style alag hai chai banane ka... hahaha... Fir samjhane pe 05 min. mein de di Chai... hahaha...

#SuNWrites