Monday, December 3, 2018

Majdoor ka Chulha...

Sahib... Yogi ya Owaisi ki Siyasat se nahi Jalta hai...
Yeh Majdoor ka Chulha hai...
Majdoor ki mehnat se...
Rab ki Duaon se Jalta hai...

#RoMiLWrites

ab to baaz aa jao....

ab to baaz aa jao...
apne cousin pe doore daalne se...
bachpan se chakkar chala rahi ho...

ab to do bacchon ki maa bhi ban chuki ho...
kya sochenge bacche... 
"baap se daulat to khoob mil gai, par mohabbat na mil saki... isliye apne aashiq ki kabr pe chali aati hai rone ko..."

badi pakeezah mitti hai mere kabr ki ise choo kar maleen na karo...


#SuNWrites

Mujhe fark nahi padta kisi ke jeene... Kisi ke marr jaane se...

Mujhe fark nahi padta kisi ke jeene...
kisi ke marr jaane se...
Ab mere aansoo, aankhon ke raaste nikalte nahi, balki andhar-hi-andhar beh jaate hai...
Jaise jism ke andar hi Gupt Sangam sa ban gaya ho...

Main Shiva ko pujte-pujte Shiva sa ho gaya hun...
Jalti hui Chitaon ke beech mein baitha, cheekh-pukaar mein bhi apne Mann mein hi Magan Hun...

Shayad Maa ki maut ki wajah se aisa hua...
Baap ki maut ne upper se aur daab diya...
Ab rishton ki jarurat nahi mujhe...

#SuNWrites

Sunday, December 2, 2018

Khuda aapko apne Darbar ke kaabil banata hai...

NaaZ keh rahi thi...

"Khuda aapko mohabbat dekar aajmata hai ki aap Khuda ke banaye hue Bande ke vaaste kitne wafaadar ho, emaan pasand ho... Khuda mohabbat mein adchane, dikkatein, talkhi paida karta hai... Aapke jaddo-jehad ka imtehaan leta hai... 

Fir Khuda teh karta hai ki jab aap us Khuda ke banaye hue Bande se itni mohabbat kar sakte ho to Khuda se kitni mohabbat karoge... Khuda aapko apne Darbar ke kaabil banata hai..."

#SultanWrites

Dakhalandazi NO...

Theek hai... 

Kisi category mein nahi ho...

Tum meri life mein kisi category mein nahi aati ho... Kisi bhi nahi...

Saturday, December 1, 2018