Tuesday, May 27, 2008

"Hamne Har Rishta Badalte Dekha"



"Hamne Har Rishta Badalte Dekha"


Hamne Apni Naazaro Se har Rishta Badalte Dekha,

Maa-Bhai Badalte Dekha,

Dost Badalte Dekha,

Yaar Badalte Dekha,

Gulishta-E-Zindagi Ki Baahar Ko Badalte Dekha!

Hamne Har Rishta Badalte Dekha.....

Unke Tabiyat-E-Haal Janne Ke Liye,

Hum Hamesha Unki Raahon Main Paade Rahe,

Jalte Rahe Unki Yaadon Ki Parchaiye Main,

Humne Unko, Humko Rahoon Main Dekh Kar,

Apni Raahein Badalte Hue Dekha!

Hamne Har Rishta Badalte Dekha.....

Zaara Si Khushi Humko Mile,

Jaise Jaale Hue Ghar Main Ek Paudha Ugate Hue Dekha,

Magar Chaman Ko Kahaan Manzoor Tha,

Humne To Har Baag, Har Phool Ujadate Hue Dekha!

Hamne Har Rishta Badalte Dekha.....

Mujhko Umeed Thi, Ki Woh Zindagi-E-Humsafar Banege,

Magar Humne Unko Kisi Aur Ka Daman Pakadate Hue Dekha,

Hamne Har Rishta Badalte Dekha.....

[written by romil arora - copyright reserved]

"Ek Farishta Hai Mehboob Maira"


"Ek Farishta Hai Mehboob Maira"


Ek Farishta Hai Mehboob Maira,

Mohabbat Maire Khudai Hai!

Dil Maire Basti,

Uski Yaadein Safar-e-Zindagaiye Hai!

In Aankhon Main Sirf Uska Naasha,

Dhadkan, Jism Main Sirf Woh Hi Samaiye Hai!

Uske Haanton Ke Mehandi Ki Khushboo,

Maire Rangeen Jeevan Ki Parchaiye Hai,

Muskurath Uske Hooton Ki Shehnaiye Hai!

Ek Farishta Hai Mehboob Maira,

Mohabbat Maire Khudai Hai!

[written by romil arora - copyright reserved]

"Khuda Taira Sukriya"



"Khuda Taira Sukriya"


Khuda Taira Sukriya,

Jo Tune Jeevan Diya!

Bas Rakhana Khayal Apne Baacho Ka,

Hamare Mann Ki Shanti Ka,

Hamare Sakuun Ka,

Jo Tune Anmol Ratan Humko Diya!

Kabhi Na Andhero Se,

Hum Darr Jaye,

Kabhi Na Dukho Se,

Hum Ghabraye,

Har Pal Bas Apna Haath,

Hamare Sar Par Rakhana!

Khuda Taira Sukriya,

Jo Tune Jeevan Diya!

Beebaso Par Reham Karna,

Apne Aanchal Main Unki Har Dua Kabool Karna,

Har Garib Ko Khushiya Bakshana,

Bas Hamesha Chale Hum Tere Raahon Par,

Woh Raahein Humko Dekhate Rehana,

Khuda Taira Sukriya,

Jo Tune Jeevan Diya!

Rabb Taira Sukriya,

Jo Tune Jeevan Diya!

[written by romil arora - copyright reserved]

"Maine Gandhi Ko Nahi Maara"




"Maine Gandhi Ko Nahi Maara"

Main Aaj Bhi Gandhi Ji Ke Vicharo Par Vichar Karta Hu,

Unke Bataiye Hue Zindagi Ke Mulyoo Par Chalane Ki Koshish Karta Hu,

Maine Gandhi Ko Nahi Maara....

Satya Bolta Hu,

Apne Mann Se Imandari Karta Hu,

Aahinsha Par Chalane Ki Koshish Karta Hu,

Maine Gandhi Ko Nahi Maara....

Dusaro Ke Dukho Ko Apna Dukh Samajhata Hu,

Satyagraha Par Vishwas Rakhata Hu,

Krodh Kam Karne Ki Koshish Karta Hu,

Maine Gandhi Ko Nahi Maara....


Unke Siddhanto, Vicharo, Aadarso Ko Ek Naya Roop Dena Chahta Hu,

Main Gandhi Ko Hamesha Zinda Rakhana Chahta Hu,

Maine Gandhi Ko Nahi Maara....

[written by romil arora - copyright reserved]

Bas Tere Saath Ab Rishta Khatam Kar Le...



"Zindagi"

Badla Tujhse Hum Kya Le Zindagi,
Bas Tere Saath Gum Ke Do Ghoonth Hum Pe Le...

Roshani Nahi Mili Naseeb Mein Aye Zindagi,
Chalo Bas Andhero Se Hum Dosti Kar Le,
Bas Tere Saath Gum Ke Do Ghoonth Hum Pe Le...

Aashita-Aashita Mujhe Tadapne Ka Khoob Luft Uthaya Tune Zindagi,
Aao Chale Ek Dusare Ka Khoon Hum Kar Le,
Bas Tere Saath Ab Rishta Khatam Kar Le...
Bas Tere Saath Ab Rishta Khatam Kar Le...
[written by romil arora - copyright reserved]

"Koodhi Hai Woh"


"Koodhi Hai Woh"


Khuda Ke Darr Par Koiye Usse Jaane Nahi Daita,

Koodhi Hai Woh....

Kuch Rupaiya Dekar,

Khuda Ki Ibaadat Karne Wale,

Khuda Ko Khush Karna Chahte Hai,

Uske Zakhamo Kar Koiye Marham Lagana Nahi Chahta,

Koodhi Hai Woh.....

Roz Woh Khuda Ke Darr Par Baitha Rehta Hai,

Khuda Uski Dua Sunta Nahi,

Maire Allah,

Maire Maula,

Maire Khuda, Uski Dua Sun Le,

Agar Kuch Aache Karam Hai Maire,

To Un Karmo Ka Phal Usko De De,

Maire Khuda, Uski Dua Sun Le,

Uski Dua Sun Le....

Roti Ke Ek Tukade Ke Liye,

Uska, Kutte Se Ladai Karna,

Mujhse Dekha Nahi Jaata,

Koodhi Hai Woh.....

Uski Dua Sun Le....

[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, May 23, 2008

Chal Kuch Pal Hum Saath Baithe


Chal Kuch Pal Hum Saath Baithe,
Lekar Haaton Main Haath Baithe...

Chal Kuch Pal Hum Saath Baithe,
Tu Khoye Rahe Maire Aankhon Mein,
Na Kuch Baat Tum Kaho...
Na Kuch Bhi Hum Kahe...

Chal Kuch Pal Hum Saath Baithe,
Bhool Kar Saare Gum,
Saari Beeti Baatein...
Lekar Sirf Mohabbat Ke Jazbaat Baithe...

Chal Kuch Pal Hum Saath Baithe...

[written by romil arora - copyright reserved]