Tuesday, June 3, 2008

"Koiye Dard Main Hamara Na Ho Sake"


"Koiye Dard Main Hamara Na Ho Sake"


Jis Shaks Ke Beghair Guzara Na Ho Sake,

Rabb Ka Berukhi To Dekho Woh Hamara Na Ho Sake.

Ek Chand Sa Masoom Chehra Bhulaya Na Ja Sake,

Aankhon Main Jiske Waste Sapne Sajaye Ho,

Woh Hamara Na Ho Sake.

Aur Kya Baatein Karu Main Usse,

Jab Koiye Dard Main Hamara Na Ho Sake....

[written by romil arora - copyright reserved]

Tumhare Jaane Ke Baad


"Tumhare Jaane Ke Baad"

Dost Tumhare Jaane Ke Baad Bahut Samay Tak Main Gumsum Raha,
Teri Yaadein Liye Main Unhi Bachpan Ki Galiyon Mein Fhirta Raha.

Din-Din Guzarte Gaye,
Aur Main Teri Aas Liye Chup-Chap Roota Raha.

Fir Kho Gaya Duniya Ki Mehfil Mein,
Aur Duniya Ke Saath Chalta Raha.

Kai Baar, Bahut Haseeno Se Dillagi Hui,
Magar Dil Tumhari Dosti Ke Bina Kisi Ke Saath Na Raha.

Fir Ek Din Ek Pyari Si Pari Aai,
Bhanware Ka Gunjan Thi Woh,
Mann Mein Mohabbat Hi Khushiyan Liye,
Sab Se Alag Thi Woh,
Ek-Dum Tumhare Jaisi Thi Woh.
Jaisi Tum Bachpan Mein,
Meri Pari Ke Baare Mein Bataya Karti Thi,
Waisi Hi Thi Woh.
Woh Madhosh Kar Dene Wala Ehsaas Uska,
Woh Dilnasheen Baatein Uski,
Woh Pyar Bhare Shabd Uske,
Woh Pyari Si Aawaz Uski,
Wo Hanskar Mujhse Baatein Karna Uska,
Wo Rooth Kar Mujhse Baatein Karna Uska,
Woh Rona,
Woh Hasna.

Magar, Mujhse Kehti Thi Woh,
Ki Mujhe Bhool Jayo, Mera Intezar Na Karo,
Ki Mere Bina Reh Legi Woh,
Mujhse Bina Baat Kiye Jee Legi Woh,
Chahti Thi Mujhe Fir Bhi Aisa Kehti Thi Woh.
Na Jaane Kis Baat Se Darti Thi Woh.
Shayad Meri Mazboori Se, Meri Garibi Se Darti Thi Woh.
Sach Hai Dost, Zaruri Toh Nahi Zindagi Ka Koi Sahara Ho,
Hum Kisike Aur Koi Hamara Ho,
Tumhare Bina Bhi Chaudah Saal Beet Chuke Hai,
Uske Bina Bhi Beeth Jayenge,
Kuch Pal Gumsum Rahunga,
Uski Yaadein Liye Galiyon Mein Fhirta Rahunga.
Din-Din Guzarte Jayenge,
Aur Main Uski Aas Liye Chup-Chap Roota Rahunga.
Fir Kho Jayunga Duniya Ki Mehfil Mein,
Aur Duniya Ke Saath Chalta Rahunga.... Sach Hain Na Dost.
[written by romil arora - copyright reserved]

"Tum Laut Aayon Na"


"Tum Laut Aayon Na"



Dost Suno Tum Laut Aayon Na,

Rabb Ka Ghar Chod Aayon Na,


Main Akela Yahaan Kya Karunga,

Jab Tak Zindagi Hai Maira Saath Dene Aayon Na,


Khushi, Tumhare Bina Dost Aache Nahi Lagti,

Yeh Aansoo Jo Beh Likale Hai, Usko Pochane Aayon Na,


Jo Bhi Mujhe Yaahan Milta Hai,

Pyar Karke, Dhoka Dene Ke Liye Milate Hai,

Daulat aur Jism Main Kho Jaane Wale Milate Hai,

Zakhm Daine Wale Milate Hai, Tum Hi Un Zakhamo Par Marham Lagane Aayon Na,


Abhi Baaki Hai Zindagi Main Dosti Ke Bahut Saare Pal,

Tum Poore Karne Aayon Na... Dost Aayon Na.

[written by romil arora - copyright reserved]

Tumhari Duniya Se Rukshati Ka Woh Din

Tumhari Duniya Se Rukshati Ka Woh Din

Janti Hoon Dost...Tumhari Duniya Se Rukshati Ka Woh Din.

Door Khade Main Apni Barbadi Ka Nazara Dekh Raha Tha,

Barish Mein, Main Apne Dil Ko Roota Dekh Raha Tha,

Kuch Kahe Bina Tum, Rab Ke Ghar Chali Gai,

Bas Intezar Karte Main Tumhara Rasta Dekh Raha Tha,

Chand Khud Jalne Ko Utara Tha Mere Dil Mein,

Main Khud Ko Jalta Dekh Raha Tha,

Pal-Pal Bikharte Main Apne Zindagi/Dosti/Bandagi/Rab/Sajde Ke TajMahal Ke Tinke Batoor Raha Tha,

Mera Haath Thaamne Ke Bajaiye,

Tumne Rab Ka Haath Tham Rakkha Tha,

Rabb Khada Haans Raha Tha,

Aur Main Ro Raha Tha.

Main Ro Raha Tha.

Dekho "NaaZ" Aaj Fir Rab Khada Tumhare Pass Has Raha Hai.

[written by romil arora - copyright reserved]

"Woh Shaam Bhi Kitni Qayamat Ki Shaam Thi"


"Woh Shaam Bhi Kitni Qayamat Ki Shaam Thi"

Dost Woh Shaam Bhi Kitni Qayamat Ki Shaam Thi,
Jab Main Us Stupid Ladki Ka Intezaar Kar Raha Tha Aur Tum Bhi To Jhadiyoon Ke Peeche Chhupi Thi.

Mujhe Kitna Gussa Aa Raha Tha,
Kitna Faltu Buddy Lag Raha Tha,

Magar Zid Tumhari Thi.
Woh Aai Thi Aur Saath Mein Apne Pita Ji Ko Bhi Lai Thi.

Mere Haath Mein Jo Gulab The,
Woh Gulab Saare Bhikhar Rahe The,
Aankhon Mein Sabhi Khawab Ujhad Rahe The,
Darr Ke Maare Haath Kaap Rahe The.
Aur Tum Chup-Chap Jhadiyoon Mein Se Jhaak Rahi Thi.

Jaise Uske Kadam Mere Paas Aa Kar Ruke The,
Manoo Sansoon Ke Sabhi Bandhan Toot Gaye The,
Sukr Tha Rab Ka Jo Usne Mujhse School Ki Hindi Ki Copy Maang Li,
Warna Tumhare Chakkar Mein Uske Pita Ji Ke Thappad Mujhpar Pade The.

Sach Mein Tum Kitni Ziddi Aur Shaitan Hua Karti Thi,
Isliye To Hamari Jaan Hua Karti Thi.....Sachi Dost.. :-)
[written by romil arora - copyright reserved]

"Jab Hum Apni Dhun Mein Hi Jiya Karte The"

"Jab Hum Apni Dhun Mein Hi Jiya Karte The"
Dost Yaad Hai..
Jab Hum Apni Dhun Mein Hi Jiya Karte The,
Ek-Dusare Se Ladai Kar Chup-Chap Fira Karte The,
Aankhein To Kehti Thi Ki Mann Baat Karna Chah Raha Hai,
Magar Honton Ko Hum See Liya Karte The.
Shaam-Raat Ko Galiyoon Mein Fira Karte The,
Dekhte Hi Ek-Dusare Ko Kisi Veerane Mein Sorry Keh Diya Karte The.
Yaad Hain, Ghar Ki Deewar Sajane Ki Liye,
Tum Meri Idiot Si Drawing Laga Diya Karti Thi.
Phool/Cards To Tumko Pasand Nahi The,
Tum Meri Stupid Drawing Ki Diwani Hua Karti Thi.
Mere Liye Tum Gurudware Bhi Jaaya Karti Thi,
Janamasthami Mein Shri Krishna Ji Ko Apne Haaton Se Sajaya Karti The.
Dost Yaad Hai.. Woh Apne Bachpan Ke Din,
Jab Hum Apni Dhun Mein Hi Jiya Karte The,
Ek-Dusare Se Ladai Kar Chup-Chap Fira Karte The.
[written by romil arora - copyright reserved]

"Kuch Nahi Bhoola Hoon Main"

"Kuch Nahi Bhoola Hoon Main"

Janta Hoon Dost.. 5:00 pm Ho Gaye Hai,
Park Main Khelane Aane Ke Liye,
Hamesha Dair Kar Daita Hoon Main.

Har Kaam Karney Main,
Hamesha Dair Kar Daita Hoon Main.

Mujhe Tennis Khelana Nahi Pasand Dost,
Bore Ho Jaata Hoon Main.
Chalo Cricket Khelate Hai Dost,
Tum Bating Karo, Ball Karta Hoon Main.

Aacha Tum Ab Aaram Karo,
Mujhe Apni Cycle Do,
Ab Kuch Dair Cycling Karta Hoon Main.
Park Se Wapas Ghar Tumhare Saath Chalunga Main,
Kuch Time Abhishek Ke Yaahan Study Karunga Main.
Dekha Naaz, 14 yrs. Beet Chuke Hai,
Fhir Bhi Kuch Nahi Bhoola Hoon Main. Hain Na...
[written by romil arora - copyright reserved]