Thursday, June 5, 2008

alfaaz dil se...

alfaaz dil se....

"Sahil ko hamesha apna dard hi pata hota hai ki sagar ne uska saath nahi diya,
magar koi us sagar se bhi ja kar puchhe,
kya kabhi sahil ne uska saath diya,
yeh to mazburi ke rishte hai huzur, jo dono ek dusre ka saath dete hai,
warna is duniya mein saath dene wale kahan milte hai”

"Iqraar – e – mohabbat kar ke to dekh Raj,
zindagi ka rukh hi badal jayega,
jo tujhe aaj lagta hai, zamane se darr,
kal dekhna zamana khud tujhse darr jayega”

"Kab se armaan dil mein sajaye baitha hu,
main to subah se hi dost ki yaad ka deepak jalaye baitha hu,
ab to mujhe andhero ka gum nahi,
kyonki andhero ko bhi main roshani ka sapna dikhaiye baitha hu"

"Asha to yahi hai meri ki tujhe hamesha muskurate hue dekhu,
magar darr hai ki log aksar muskuraht mein apno ko bhool jaya karte hai,
aansoo ka jab shailab aata hai to apne hi yaad aate hai,
magar jab khushi ke phool khilte hai to gairo ki bahon mein chale jaate hai"

"Is tarah mohabbat kar mujhse,
ki mohabbat bhi sharma jaye,
jinke labo par naam hai laila-majnu ka unke labo par bas hamare hi naam aaye"
[written by romil arora - copyright reserved]

Yaado ko saaza ke rakhane ka ab mujhe koi shok nahi...


"Yaado ko saaza ke rakhane ka ab mujhe koi shok nahi,
na maire ghar main yaadon ki numayesh ke liye koi jagah hai,
sochatha ki tujhe dil main basa kar rakhunga,
magar taira pyar itna mehanga bika,
ki usse kharidane ki liye maire jaib main paise nahi"
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, June 4, 2008

"phir taire baare main socha karunga"


"phir taire baare main socha karunga"

socha tha ki tujhe yaadon ke jharokho main basa kar rakhunga,
apne dil ke kise kone main basa kar rakhunga,
har gum main, har khushi main basa kar rakhunga,
har khawab main, har jasbhat main basa kar rakhunga,
har apne sawal main, har apne jawab main basa kar rakhunga,
subah ki pehle kiran main, aur chand ki pehle chandani main basa kar rakhunga,
magar jab neend khule to khulaye aasman ke neeche main bhaitha tha,
yahi soch raha tha ki pehle khud ko basa lu,
phir taire baare main socha karunga.
[written by romil arora - copyright reserved]

"Mohabbat Ke Dard Ko Pehchan Leta Hu"

"Mohabbat Ke Dard Ko Pehchan Leta Hu"

Roz saagar ke kinare par baith kar sochata hu,
ki saagar, saahil se mohabbat kyon nahi karta,
kyon dur se dekh kar lehro ko machlaya karta,
kyon nahi saahil ko apne main saama leta.

Roz baag main baith kar sochata hu,
ki phool, bhaware se mohabbat kyon nahi karta,
kyon apne main saama lene ke baad bhi bhaware ko chod diya karta.

Roz jalti hue shama ke pass baith kar sochata hu,
ki shama kyon nahi parwane se mohabbat karte hai,
kyon parwane ko apne main jala dete hai.

Tabhi ek farishta maire pass aatahai,
mujhe mohabbat samjhata hai,
wo kehta hai ki –mohabbat dil main uthane wali lehro ka naam hai,
mohabbat milne – bichadane ka naam hai,
mohabbat chahat main mit jaane ka naam hai.

Main bus mushkurata rehjata hu,
mohabbat ke dard ko pehchan leta hu.
[written by romil arora - copyright reserved]

"Tum Kuch Taiyari Karke Rakhana"

"Tum Kuch Taiyari Karke Rakhana"


Dost.... Maire Rabb Ke Ghar Aane Tak Kuch Taiyari Karke Rakhana,


Haari Ghas Ka Pitch Banwakar Rakhana,
Jis Par Hum Cricket Khelenge!


Burf Ke Do Ghar Pass-Pass Banwakar Rakhana,
Jisme Hum, Ek-Dusare Ke Samne Saath-Saath Rahenge!


Aur Wahi Pass Main Ek Jhula Banwana,
Jisme Hum Jhula, Jhula Karenge!



Aur Ghar Se Thodi He Durr Par Ek Pani Ke Jheel Banwana,
Jiske Pass Lage Paidh Ke Neeche Hum-Tum Baith Kar Baatein Kiya Karenge!


Hamare Gharo Se Durr, Upper Ke Taraf, Jo Parvat Tum Banwaoge,
Us Par Hum Bhag-Bhag Kar Chadh Jaya Karenge!


Apne Gharo Ke Beech Main, Chanda Mama Roz Aayega,
Us Chandani Main Hum Ek-Dusare Ko Nihara Karenge!


Jab Tak Main Rabb Ke Ghar Nahi Aata Tab Tak Tum Kuch Taiyari Karke Rakhana! Samjhe....
[written by romil arora - copyright reserved]

"Tum Kitna Paagal Hua Karti Thi"



"Tum Kitna Paagal Hua Karti Thi"
Dost Tum Kitna Paagal Hua Karti Thi,
Maire Choti Se Daanth Par Bhi Ro Padati Thi,


School Se Ghar Aate-Aate,
Khule Aasman Ko Dekh Par,
Sapne Buna Karte Thi,
Dost Tum Kitna Paagal Hua Karti Thi,


Maire Choti Se Parishani Main,
Raat-Raat Bhar Pareshan Rehti Thi,
Dost Tum Kitna Paagal Hua Karti Thi!
[written by romil arora - copyright reserved]

"Kuch Log Zamane Main Aaise Bhi Hote Hai"


"Kuch Log Zamane Main Aaise Bhi Hote Hai"


Kuch Log Zamane Main Aaise Bhi Hote Hai,
Jo Dost Hote Hai Magar Qatal Karne Ke Liye Khanjar Lekar Fhirte Hai.


Hum To Dil Ke Raaz Haatheli Par Lekar Phirate Hai,
Magar Kuch Log Zamane Main Aaise Bhi Hote Hai,
Jo Dil Ko Zakhami Karne Ke Liye Teer Chalaya Karte Hai.


Yeh Zamana, Yeh Zamane Ke Log,
Maire Kisi Dushman Se Kam To Nahi,
Jo Maire Zakhamo Ko Nasur Banaya Karte Hai.


Kuch Log Zamane Main Aaise Bhi Hote Hai,
Jo Rishtoon Ko Badnaam Kiya Karte Hai.
[written by romil arora - copyright reserved]