Thursday, July 3, 2008

Tumhari zindagi main....

Tumhari zindagi mein hamesha khushiya aaye,
Har nazar mein bas tu hi tu nazar aaye,
Khuda kare jiski bhi ho justaju tujhko,
Woh palak jhapakte hi tere pehlu mein aaye!

#Romil

तुम्हारी जिंदगी में हमेशा खुशियां आए, 
हर नजर में बस तू ही तू नजर आए, 
खुदा करे जिसकी भी हो जुस्तजू तुझको,
 वो पलक झपकते ही तेरे पहलू में आये!

#रोमिल

Usko bhulane ki koshish main....

Usko bhulane ki koshish main khud ko bhula hum baithe,
Aaise hue badnaam zamane main ki sabse naazare chura baithe,
Socha tha ki mohabbat ke phool khilenge,
Magar hum apna daaman kaaton main uljha baithe!
[written by romil arora - copyright reserved]

dil se...

Har Apna Paraiya Sa Lagta Hai,
Yeh Judai Ka Mausam Ek Toofan Sa Lagta Hai,
Mujhse Bichad Kar Beh Na Jayo Maire Aansoo,
Ab To Har Khawab Bhi Sapna Sa Lagta Hai!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Wednesday, July 2, 2008

tera intezaar meri aankhon se barasta raha...


Tere pyar ke liye hamesha main tarasta raha,
Baahon mein tujhe lene ke liye hamesha tarafta raha,
Socha tha kabhi waqt aayega tujhe pyar karunga,
Magar pal-pal waqt, rait ki tarah mere haaton se fhisalta raha,
Rab ko shayad mujh par taras aa gaya,
Isliye shayad tera intezaar meri aankhon se barasta raha!
[written by romil arora - copyright reserved]

SANAAM zaara yeh batao


SANAAM zaara yeh batao


Dil toodana tumko shikhaya kisne,
Tum to aaise na thi, yeh hunar tumko bataya kisne,
SANAAM zaara yeh batao...


Khud har baat par muskurati ho,
Dusaro ko rulana tumko shikhaya kisne,
SANAAM zaara yeh batao...

Har kisi se ehsaan, karz ki baatein karte ho,
Dusare ko ehsaano, karz ko bhulana, tumko shikhaya kisne,
SANAAM zaara yeh batao...

Hamesha tumhara haath rehta tha maire haaton main,
Maire haaton se apna haath chudane ki kaala tumko shikhaya kisne
SANAAM zaara yeh batao...
[written by romil arora - copyright reserved]

Kya mila mujhe mohabbat se....


Kya mila mujhe mohabbat se,
Roz-roz uske pyar main tarafane se,
Yuun aansoo bahane se,
Gum main muskurane se,
Yaadon main din bitane se,
Aankhon se neend udha jaane se,
Har khushi se durr ho jaane se,
Kya mila mujhe dil lagane se?
[written by romil arora - copyright reserved]

Udasiyaan Chah Jaati Hai!


Udasiyaan Chah Jaati Hai!

Jab se tum ho gaye ho gair ki,
Tera naam laite hu main to udasiyaan chah jaati hai!

Tumhari yaadon main hamesha khoya rehta hu main,
Jab yaad, taraf ban jaati hai to udasiyaan chah jaati hai!

Lakhon dard hai is dil main tere jaane ke baad,
Main jab bhi muskurata hu to udasiyaan chah jaati hai!

Jaane kis kadar ho gaya hu maayush khud se,
Jab kisi se tumhari baatein karta hu to udasiyaan chah jaati hai!
[written by romil arora - copyright reserved]