Tuesday, July 15, 2008

apna daman thama nahi.....

Aaye dil chal kahi aur chale,
is baahar-e-jahaan main apna thekana nahi,
phool to apne pehle the hi nahi,
ab kaantoon ne bhi apna daman thama nahi!
[written by romil arora - copyright reserved]

dil se.....

!!Kya yaar tumne bhi kaisa toofa diya,
mujhe aansooyon ka guldasta diya!!
*

!!Aaj woh maire kareeb se guzar gaya,
mujhe pehchana bhi nahi,
Jo kabhi maira saaya hua karta tha!!
*

!!Roz sota hu, aankhon se aansoo baha deta hu,
Roz tere yaadon ke diya bhuja daita hu,
Magar yaad bhi teri kaise hai,
Suraj ki roshan ki tarah roz mere dil ke bandh darwaze main saama jaati hai!!
[written by romil arora - copyright reserved]

bepanah pyar hai usse....


Maine usko kabhi dekha nahi,
kabhi main usse mila nahi,
fhir bhi bepanah pyar hai usse...


Woh mujhe pasand nahi karti,
mujhse baat nahi karti,
fhir bhi bepanah pyar hai usse...


Dil main chah hai usse milane ki,
ek aarzoo hai usse dekhane ki,
woh maire liye nahi tarafate,
fhir bhi bepanah pyar hai usse...


Janta hu ek din kisi gair ka daman tham laige woh,
sirf yaadon ke sahare maire duniya reh jayenge,
mujhe usse koiye shikwa, gila nahi hai,
kyonki bepanah pyar hai usse....

[written by romil arora - copyright reserved]

yeh baat samaj nahi aai...

Humne usko baat-baat par muskuraya,
magar usne mujhe rula diya,
yeh baat samaj nahi aai...

Humne, waafa mein apni zindagi beeta di,
magar usne bewafai kyon ki,
yeh baat samaj nahi aai...

Humne, intezaar mein raatein beeta di,
magar woh hamari liye do pal ruk na saki,
yeh baat samaj nahi aai...

Hamne, sapne mein hi mulaqate saja li,
magar woh hamara khayaal bhi saja na sake,
yeh baat samaj nahi aai...

[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, July 14, 2008

uska deedar nahi milata....

"Dekha jisse khayalo main woh pyar nahi milta,
fhirte rehte hai hum jiske talaash main, woh yaar nahi milta,
Nazare dekhate hai zamane bhar ko,
Magar jis chand ko dekhana hai uska deedar nahi milata"
[written by romil arora - copyright reserved]

Koi To Hota...


Koi To Hota!
!!Jiske Raaton Ka Chand Main Hota!!
!!Jiske Subah Ka Suraj Main Hota!!
!!Jiske Khawabo-Khayalo Mein, Main Hota!!
!!Jiske Dil Ki Kitab Main Hota!!
!!Jiske Sawalo-Jawabo Mein, Main Hota!!
!!Jiske Main Sabse Kareeb Hota!!
!!Jiska Main Naseeb Hota!!
!!Jo Mujhe Apna Khuda Kehta!!
Yeh Silsila Jeevan Bhar Chalta Rehta,
Koi To Hota!
[written by romil arora - copyright reserved]

!!Tere bewafai main sanaam, aaise pal-pal guzara!!




Kabhi zindagi ko tarase, kabhi maut ko pukara
!!Tere bewafai main sanaam, aaise pal-pal guzara!!


Mehfil main roye, tanhai ka liya sahara
!!Tere bewafai main sanaam, aaise pal-pal guzara!!


Na Mile Manzil, Na Mila Humko Kinara
!!Tere bewafai main sanaam, aaise pal-pal guzara!!

[written by romil arora - copyright reserved]