Friday, August 1, 2008

(dil ki aawaz)

"Lakh Koshisho Ke Bawajud Bhi Tujhe Pa Nahi Sakunga,
Agar Rabb Ne Tujhe Nahi Likha Hoga
Mere Muqaddar Mein"
______________________
_______
________________

"Kaise Tujhe Bhula Du,
Kaise Teri Yaadon Ko Mita Du,
Tu Mere Rom-Rom Mein Basa Hai Zindagi Ban Kar"
_______________________
_______
________________
"Subah Hote Hi
Tujhe Paane Ki Dua Karta Hu,
Magar Fhir Sochata Hu
Kahi Yeh Bhi Dua
Har Dua Ki Tarah Khali Na Chali Jaye"

[written by romil arora - copyright reserved]

Bolo Sanam Kaisa Rahega.....


Chalo Sanam Ek Khel Khelate Hai
Kuch Pal Ke Liye Tum Raj aur Main Sanam Ban Jayun!

***
"Har Pal Raj Ki Tarah Tum Tarafo
Sanam Ka Intezaar Subah-Shaam Karo
Sanam Se Milane Ka Koiye Bahana Dhundho
Sanam Ke Sapne Main Kho Jayo
Raat Bhar Sanam Ke Ehsaas Se Baatein Karo
Sanam Se Pyar Ke Umeedhe Bandho
Apni Saanson Main Sanam Ko Mehsus Karo"
***
Bolo Sanam Kaisa Rahega?
[written by romil arora - copyright reserved]

Ajab Sa Luft Deta Hai...



!!*******!!
Sanam, Tumko Goad Mein Uthane Ka Ehsaas
Ajab Sa Luft Deta Hai,
Tumko Baahon Mein Bhar Kar Pyar Karne Ka Ehsaas
Ajab Sa Luft Deta Hai,
Nazre Tumko Niharati Hui
Ajab Sa Luft Deti Hai,
.
.
.
Sanam, Tumko Pa Kar Dil Ko Khushi Milegi...
Lekin....
Sanam, Tumhari Tadap Dil Ko Ajab Sa Luft Deti Hai
!!*******!!
[written by romil arora - copyright reserved]

kuch dil ki aawaz......



Agar Humko Pata Hota Unko Itne Pasand Hai
Aankhon Mein Aansoo Hamare.
Rab Qasam
Apni Aankhon Ko Hum Aansoo Ke Samundar Mein Dubaa Dete!
*****
Yaaron Yeh Mat Samjho Ki Ye
Judai-e-Gum Ke Aansoo Hai,
Yeh To Unki Khushiyaan Hai
Jo Main Aankhon Mein Basa Laya Hoon!
*****
Sanam Tum Bewafai-e-Shama Ban Kar Humko Jalate Raho,
Hum Waafa-e-Maum Ban Kar Zindagi Bhar Pighalte Rahenge!
[written by romil arora - copyright reserved]

Aaye Chand Sun Zaara...


*************
Aaye Chand Sun Zaara...
Andheron Se Mujhe Mohabbat Ho Gaye Hai,
Shaam-e-Tanhai Main Raat Beetani Hai Mujhe,

Tu Mere Parwah Na Kar Chand,
Tu Apni Chandani Mere Mehboob Ke Pass Le Ja,
Usse Dekhane Wali Naazare Abhi Bahut Hai
Duniya-E-Jahaan Main.

*************
[written by romil arora - copyright reserved]

Jahan Dekhu Main...

************
!*!Jahaa Dekhu Main Rab Tune Bas Gum-e-Judai Banai Hai,
Tere Yeh Khudai Mujhe Samaj Nahi Aai Hai!*!


"Juda Zameen-O-Aasmaan Hai"
"Juda Daali Se Phool Ho Jaata Hai"
"Juda Rishte Se Ristha Ho Jaata Hai"
"Juda Sharir Se Rooh Ho Jaati Hai"
"Juda Mehboob Se Mehboob Ho Jaata Hai"
~!~koi bhi yahaan saath nahi rehta hai
yeh tune kaisi duniya banai hai~!~


!*!Jahaa Dekhu Main Rab Tune Bas Gum-e-Judai Banai Hai,
Teri Yeh Khudai Mujhe Samaj Nahi Aai Hai!*!
[written by romil arora - copyright reserved]

dil ke jubaan....


~!~Janta Hoon Tu Muqaddar Main Nahi Mere Sanam,
Isliye Rabb Se Maine Tujhe Manga Nahi~!~


~*~ Mere Dil-e-Maakan Ko Mohabbat-e-Ghar Bana Liya Hai Tune Apna,
Kabhi Yeh Veeraniyoon Main Raha Karta Tha~*~

[written by romil arora - copyright reserved]