Tuesday, September 30, 2008

*Dil Deta Hain Ro-Ro Duhae*

*Dil Deta Hain Ro-Ro Duhae*


Dil Deta Hain Ro-Ro Duhae
Kise Se Koiye Pyar Na Kare
~*~
Bade Mahange Padegi Judai
Kise Se Koiye Pyar Na Kare
~*~
Kise Se Koiye Pyar Na Kare - 2
~*~
Dil Deta Hain Ro Ro Duhae
Kise Se Koiye Pyar Na Kare
~*~

Bade Mahange Padegi Judao
Kise Se Koiye Pyar Na Kare
~*~

Koi Samajhe Kise Ko Na Apna
Jootha Nikalega Jeevan Ka Sapna - 2
Gaaun Gaaun Pukaare Sehanaiye - 2
Kise Se Koiye Pyar Na Kare
~*~
Bade Mahange Padegi Judai
Kise Se Koiye Pyar Na Kare
~*~
Shej Pe Baithe Roye Sajaaniya
Bha Gaye Sajana Ko Sautaniyaan
Haye Nikala Balam Harajaaye
Kise Se Koiye Pyar Na Kare
~*~
Bade Mahange Padegi Judai
Kise Se Koiye Pyar Na Kare
~*~

Pyar Ne Kuch To Paagal Banaya
Aur Kuch Zindagi Ne Bhi Sataya
Khoob Apani Hue Jag Hasaaye
Kise Se Koiye Pyar Na Kare - 2
~*~
Bade Mahange Padegi Judai
Kise Se Koiye Pyar Na Kare
(not written by me)

~*~ Pyar Mujhse Jo Kiya Tumne To Kya Paaogi ~*~

~*~ Pyar Mujhse Jo Kiya Tumne To Kya Paaogi ~*~

pyar mujhse jo kiya tumne to kya paaogi - 2
mere haalaat ki aandhi mein bikhar jaaogi
~
pyar mujhse jo kiya tumne to kya paaogi
mere haalaat ki aandhi mein bikhar jaaogi
~
ranj aur dard ki basthi ka main baashinda hoon

ye to bas main hoon ke is haal mein bhi zinda hoon
khwaab kyoon dekhoon wo kal jispe main sharminda hoon
main jo sharminda hoon, tum bhi to sharmaaogi
~
pyar mujhse jo kiya tumne to kya paaogi
~
kyon mere saath koi aur pareshaan rahe

meri duniya hai jo weeraan to weeraan rahe
zindagi ka ye safar tum pe to aasaan rahe
humsafar mujhko banaaogi to pachtaaogi
~

pyar mujhse jo kiya tumne to kya paaogi
~
ek main kya abhi aayenge diwaane kitne

abhi goonjenge mohabbat ke taraane kitne
zindagi tumko sunaaegi fasaane kitne
kyoon samajhti ho mujhe bhool nahi paaogi
~
pyar mujhse jo kiya tumne to kya paaogi
mere haalaat ki aandhi mein bikhar jaaogi - 2
(not written by me)

Rakhna Apne Balak Ka Dhyan Maa...


Veenati Karo Manjoor Maa,
Dedo Bhakti Ka Daan Maa,
Tumhare Charno Mein Rahu Mein Hamesha,
Rakhna Apne Balak Ka Dhyan Maa!
~*~
Mahima Teri Badi Nirali,
Tu Hai Sherowali Maa, Jyotawali Maa,
Vishnu, Brahma, Shiv Ji Ne Gurgaan Tera Gaaya Hai!
Tera Deedar Jisne Kiya Maa,
Usne Apna Jeevan Paar Lagaya Hai!
~*~
Mujhe Bhi Do Bhakti Ka Vardaan,
Daya Ab Karo Maa, Rakho Apne Balak Ka Dhyan!
Ho Asha Poori Meri Maa,
Bas Mann Mein Rahe Teri Murat Maa!
~*~
Veenati Karo Manjoor Maa,
Dedo Bhakti Ka Daan Maa,
Tumhare Charno Mein Rahu Mein Hamesha,
Rakhna Apne Balak Ka Dhyan Maa!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Monday, September 29, 2008

~*~ Kyon zindagi ki rah mein ~*~

~*~ Kyon zindagi ki rah mein ~*~
~*~

Kyon zindagi ki rah main majboor ho gaye hum,
Itney hue qareeb k hum door ho gaye.
~*~
Kyon zindagi ki rah main majboor ho gaye hum,
Itney hue qareeb k hum door ho gaye.
~*~

Aisa nahi ki hum ko koyi bhi khushi nahi
Lekin ye zindagi to koyi zindagi nahi - 2
Kyon is k faisley hamein manzoor ho gaye
Itney hue qareeb k hum door ho gaye.
~*~
Kyon zindagi ki rah main majboor ho gaye hum,
Itney hue qareeb k hum door ho gaye,
~*~
Paya tumhein to hum ko laga tum ko kho diya,

Hum dil pe roye, aur ye dil hum pe ro diya - 2
Palkon se khuwab kyon girey, kyon choor ho gaye,
Itney hue qareeb k hum door ho gaye.
~*~
Kyon zindagi ki rah main majboor ho gaye,
Itney hue qareeb k hum door ho gaye!
(not written by me)

Aankh....


Koiye Rishta Nahi Rakha Usne Mere Saath
Fhir Bhi...
Uski Yaad Main, Meri Aankh Bhaari Se Hai,
Meri Naazare Kar Rahe Hai Uska Intezaar
Shayad Zindagi Main Uski Kami Se Hai!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Uske Jaane Ke Baad..


Dafan Kar Do Mujhe,
Ya Fhir Jala Do,
Meri Zindagi Se Uske Jaane Ke Baad,
Nabz Kuch Thami Si Lag Rahe Hai!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Tu Sanam Aa Ja...

Mujhe Fir Rulane Aa Ja,
Mujhe Fir Satane Aa Ja,
Tu Aa Ja Mujhe Barbaad Karne,
Kisi Bhi Bahane Se Tu Sanam Aa Ja!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]