Sunday, November 30, 2008

kuch pal behal jaana chahta hu...


kuch pal behal jaana chahta hu
seene se lag kar tere main sona chahta hu!
~~~
yeh zindagi
yeh lamha kuch pal jee lene de
ab main tere seene par sar rakh kar duniya-e-gum bhul jaana chahta hu!
~~~
fursat main kabhi mujhe apne kareeb bulana
tere maathe ko chum kar
main apne manzil ko pana chahta hu!
~~~
masoom hu
na-samaj hu
bewajah hi ishq kar baitha
beech samundar main toofan main hu
durr saahil hai
ab main saagar main duub jana chahta hu!
~~~
kuch pal behal jaana chahta hu
seene se lag kar tere main sona chahta hu!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

FuLL MASti..Hamari Jaan Le Le Re....

Shilpa ki kamariya
Ashwariya ki nazariya
Saniya ki nathuniya
Hamari Jaan Le Le Re....
Katrina ki chaal
Kajol ke baal
Kareena ke gaal
Hamari Jaan Le Le Re....
Priyanka ke hoonth
Genelia ki muskaan
Preity ke dimple
Hamari Jaan Le Le Re....
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, November 29, 2008

Tujhe Mein Pyaar Karoon, Aur Itna Pyaar Karoon

Tujhe Mein Pyaar Karoon, Aur Itna Pyaar Karoon
Tujhe Mein Pyaar Karoon, Aur Itna Pyaar Karoon
Ke Jab Talak Mein Jiyun Sirf Tere Intezaar Karoon
Tujhe Mein Pyaar Karoon, Aur Itna Pyaar Karoon
~
Dilon Ki Baat Nahin Janthe, Yeh Sab Zuban Waale
Wafa Ka Jurm Samjhte Hai Yeh Sab Jahaan Waale
Agar Yeh Jurm Hai Toh Yeh Jurm Baar Baar Karoon
Ke Jab Talak Mein Jiyun Tere Intezar Karoon
Tujhe Mein Pyaar Karoon, Aur Itna Pyaar Karoon
Tujhe Mein Pyaar Karoon, Aur Itna Pyaar Karoon
Tujhe Mein Pyaar Karoon, Aur Itna Pyaar Karoon
Ke Jab Talak Mein Jiyun Sirf Tere Intezaar Karoon
Tujhe Mein Pyaar Karoon, Aur Itna Pyaar Karoon
~
Teri Khushi.. Na Ho Shaamil, Voh Phir Khushi..z Kya Hai
Tere.. Bagaair Jo Guzrein, Voh Zindagi Kya.. Hai
Kayi Sadi Mein Tere Pyaar Pe Nisaar Karoon
Ke Jab Talak Mein Jiyun Tere Intezaar Karoon
Tujhe Mein Pyaar Karoon, Aur Itna Pyaar Karoon
Tujhe Mein Pyar Karoon, Aur Itna Pyaar Karoon
Ke Jab Talak Mein Jiyun Sirf Tere Intezaar Karoon
Tujhe Mein Pyaar Karoon, Aur Itna Pyaar Karoon
(not written by me)

Mere Rabb Yeh Kya Hua...

Mere Rabb Yeh Kya Hua - 2
kyon tu hai mujhse khafa
kya hue mujhe khata
kya kiya maine gunaah
Mere Rabb Yeh Kya Hua - 2
~
kyon hai roshani mujhse durr
kyon faila hai mere chaaron taraf andhera
kyon mile mujhe be-wajah hi sazaa
Mere Rabb Yeh Kya Hua - 2
~
mere masumiyat kyon ban jaati hai mere bebasi
dua ki jagah, mujhe kyon milti hai baddua
kyon mere taqdeer hai mujhse khafa
kya hue mujhe khata
kya kiya maine gunaah
Mere Rabb Yeh Kya Hua - 2

~
dard sehta hu
magar khush rehta hu
aansoo ko di hai maine
khush rehne ki saaza
Mere Rabb Yeh Kya Hua - 2
~

anjaan duniya ke raastee
anjaana safar
jaana mujhe kahan
na iski khabar
dhund raha hu khud apna naamo-nisha
Mere Rabb Yeh Kya Hua - 2
kyon tu hai mujhse khafa
kya hue mujhe khata
kya kiya maine gunaah
Mere Rabb Yeh Kya Hua - 2

[written by romil arora - copyright reserved]

dosti


Tumne yeh aachi dosti ki hain
bankar dost,
dushmani ki hai...
Ab naseeb ka naam do ya bebasi ka tumne mujhe zindagi bhar ki baddua di hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

masoom sa dil...


hain kaash tujhe hoti khabar ki tune kisse thukraya hai,
yeh koiye heera nahi, sona nahi, pathar nahi
mera masoom sa dil hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

taqdeer


Jab taqdeer main gum likhe ho to
khushi kaise paye,
Jab saaya hi dushman ho apna
bhari duniya main apna haal-e-dil kisko sunae!
~*~
[written by romil arora - copyright reserved]