Saturday, January 3, 2009

ya khuda sukriya tera

ya khuda sukriya tera
jo tune mujhe gum diya
is duniya mein bada kaam kiya...
~
thokharey jab khaye
jab gira main
gum ne bada saath diya
ya khuda sukriya tera
jo tune mujhe gam diya
is duniya mein bada kaam kiya...
~
jab sapne toote
jab main pareshan hua
jab main rootha
yaadon ko gale lagaya tab
gum ne bada saath diya
ya khuda sukriya tera
jo tune mujhe gam diya
is duniya mein bada kaam kiya...

#Romil

या खुदा शुक्रिया तेरा
जो तुने मुझे ग़म दिया
इस दुनिया में बड़ा काम किया...

ठोकरे जब खाई
जब गिरा मैं
ग़म ने बड़ा साथ दिया
या खुदा शुक्रिया तेरा
जो तुने मुझे ग़म दिया
इस दुनिया में बड़ा काम किया...

जब सपने टूटे
जब मैं परेशान हुआ
जब मैं रूठा
यादों को गले लगाया तब
ग़म ने बड़ा साथ दिया
या खुदा शुक्रिया तेरा
जो तुने मुझे ग़म दिया
इस दुनिया में बड़ा काम किया...

#रोमिल

kitna tanha hu main

kitna tanha hu main 
khud se ru-ba-ru ho leta hu main...
~
andheri raaton main
khud ko lori suna kar sula leta hu main...
~
jab aansoo girte hai aankhon se
khud-ba-khud pooch leta hu main...
~
jab besahara hota hu
apni baahon ko aashiana bana leta hu main...
~
Jab maut aayegi
khud ko chadar main chupa lunga main...
~
kitna tanha hu main
khud se ru-ba-ru ho leta hu main...
[written by romil arora - copyright reserved]

sach hai rabb main tujhse nafrat karta hu.


chup reh mann aaj mujhe bol lene de
apne mann ka saacha haal bata dene de
sach hai rabb main tujhse nafrat karta hu.
~
main ab jhuti muskurahat lekar nahi jee sakta
aankhon ke aansoo ko aur nahi rok sakta
bahut simran kar liya tera rabb ab main aur nahi kar sakta
sach hai rabb main tujhse nafrat karta hu.
~
Sada vishwas kiya tujhpar
hamesha har dukh tera ashirwad samaja
haazar kaasth mile fhir bhi satya ke maarg se nahi haata
magar sach hai rabb main tujhse nafrat karta hu.
[written by romil arora - copyright reserved]

marr jayun isi waqt...

dil mein aata hai ki marr jayun isi waqt
qadam rukh jate hai yeh soch kar ki marr kar jana hai Rab ke ghar.
[written by romil arora - copyright reserved]

mere rabb main tujhse nafrat karta hu.

dil se main kehta hu
mere rabb main tujhse nafrat karta hu
~
jala dena chahta hu teri banaiye yeh qayanat ko
yeh duniya ko
yeh aakash ko
tere banaiye sab shaitano ko
sab matlabparasth logon ko
dil se main kehta hu
mere rabb main tujhse nafrat karta hu.
~
aache logon ki khushi tujhse kabhi dekhi nahi jati
burai ke saada saath rehta hai tu
bebaso ki majboori ka faida uthata hai
masoom se zindagi cheen leta hai tu
dil se main kehta hu
mere rabb main tujhse nafrat karta hu.

bahut jyada nafrat karta hu.
bahut jyada.
[written by romil arora-copyright reserved]

Friday, January 2, 2009

sukriya tera...

sukriya tera
tune mujhe bewafai shikha di
haseen chehare ke peeche chupi sacchai dekha di..
~
kab tak main saahil par baitha intezaar karta rehta
tune mujhe lehroon se khelane ki tarkeeb shikha di
sukriya tera
tune mujhe bewafai shikha di..

~
kab tak main mohabbat par aitbaar karta rehta
tune mujhe dil behlane ki tarkeeb shikha di
sukriya tera
tune mujhe bewafai shikha di..
~
sukriya tera
tune mujhe zindagi jeeni shikha di
dard main bhi muskurane ki tarkeeb shikha di...
~
sukriya tera sanaam
[written by romil arora - copyright reserved]

deedar...

raat bhar isse khayal main jagta raha
ki subah hoten hi chand ka deedar hoga!
[written by romil arora-copyright reserved]