Saturday, February 7, 2009

kuch is tarah

kuch is tarah se gum bhulaya kijiye
haseeno ke mehfilon mein jaya kijiye
~
chod bhi dijiye sharmana mere dost
husn ki panaho mein dubb jaya kijiye
~
gum ka nasha pal bhar mein utar jayega
agar do raatein inki baahon mein guzar dijiye
~
sukun ki talash mein kahan-kahan fhiroge
rab ko chodo, haseenaon ko apna bana lijiye
~
kuch is tarah se gum bhulaya kijiye
haseeno ke mehfilon main jaya kijiye...

#Romil

कुछ इस तरह से गम भुलाया कीजिए 
हसीनों की महफिलों में जाया कीजिए...

छोड़ भी दीजिए शर्माना मेरे दोस्त 
हुस्न की पनाहों में डूब जाया कीजिए... 

गम का नशा पलभर में उतर जाएगा 
अगर दो रातें इनकी बाहों में गुजार दीजिए...

सुकून की तलाश में कहां-कहां फिरोगे 
रब को छोड़ो, हसीनाओं को अपना बना लीजिए... 

कुछ इस तरह से गम भुलाया कीजिए 
हसीनों की महफिलों में जाया कीजिए...

#रोमिल

Friday, February 6, 2009

Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai

Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai
Gar Banaye To Muhobbat Main Judai Kyun Hai
~
Kyun Diya Pyar Mujhe Iski Zaroorat Kya Thi
Meri Barbadi Me Shamil Teri Kismat Kya Thi
Meri Raahon Me Khushbu Ka Safar Rahta Tha
Dil Me Aabaad Gulabo Ka Nagar Rahta Tha
Jindgi Khar Bhari Rahome Layi Kyun Hai
Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai
~
Mai Hoon Bikhra Hua Gardish Me Sitare Mere
Gam Ke Tufan Mai Dube Hai Kinare Mere
Na Khatavaar Na Mujrim Na Gunahgar Hoon Main
Sach To Ye Hai Ki Muhobbat Ka Parastar Hu Main
Aye Saja Phirbhi Mere Hisse Mai Aye Kyun Hai
Aye Khuda Tune Muhobaat Ye Banae Kyu Hai
~
Mai Agar Rou To Sahra Ko Samandar Kar Doon
Sakht Ho Jaoon Agar Mome Ko Pathar Kar Doon
Raakh Ho Jaye Jaha Mai Jo Agar Aah Bharu
Aasma Tutpade Tujse Jo Fariyad Karu
Etni Gaherae Mere Ishq Mai Aai Kyun Hai
Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banaye Kyun Hai
Agar Banaye To Muhobaat Me Judai Kyun Hai
[not written by me]


kabhi haseenao se mohabbat mat karna!

kaanton se mohabbat kar lena
shoolon se mohabbat kar lena
magar kabhi haseenao se mohabbat mat karna!
~
Inki to aadat hoti hain mausam ki tarah badal jana
kabhi inpar aitbaar mat karna!
~
Fitrat main inke hote hain bewafai
inse waafa ki umeed kabhi mat karna!
~
Aansoo to inke hote hain sirf dekhane ke liye
kabhi aansooyon par yakeen mat karna!
~
De Jayenge tumko yeh dhoka
kabhi haseenao se mohabbat mat karna!
[copyright reserved-written by romil arora]

nahi bhule!


muddat ho gaye tujhko dekhe
hum aaj bhi teri aankhon ki khamoshi nahi bhule.
~
dushman ko bhi humne gale lagaya
dost aaj bhi mujhe daaga dena nahi bhule.
~
hum aaj bhi honton par muskaan rakhate hain
magar dushman-e-duniya dil dukhana nahi bhule!
[written by romil arora-copyright reserved]

Thursday, February 5, 2009

Hai Hai Padosi!


Hai Hai Padosi!
Hai Hai Padosi!
Mere Padosi! Mere Padosi!
cheeni khatam ho gaye hain
thodi milege
Main jaara baazar ja rahi hu
thodi dair ke liye mera baacha aapke yahan rukh jaye
Aaj mehmaan ek dum se aa gaye
kursiya de dejeiye
Aaj woh touring par gaye hain
socha aapke saath hi khana kha lu...
Hai Hai Padosi!
Hai Hai Padosi!
Mere Padosi! Mere Padosi!
Mera Jeena duswaar kare
Mujhe pareshan kare
Hai Hai Padosi!
Mere Padosi! Mere Padosi!
~
DVD dopahar ke liye mujhe de dejeiye
main dekh kar wapas kar dungi
Yeh magazine main le jayun padane ke liye
kal lauta dungi
gas cyclinder khatam ho gaya
aaj ke liye aap apna de dejeiye
mera blouse aapki balcony main gir gaya hain
please utha dejeiye
Hai Hai Padosi!
Hai Hai Padosi!
Mere Padosi! Mere Padosi!
Mera Jeena duswaar kare
Mujhe pareshan kare
Hai Hai Padosi!
Hai Hai Padosi!
Mere Padosi! Mere Padosi!
~
Thodi se dair ke liye aap apna scooter de dejeiye
Yeh shirt kahan se li
meri liye bhi la dejeiye
Mera phone work nahi kar raha
Aapka use kar lu
Aaj sunday hai socha morning tea aapke yahaan hi ho jaye
Hai Hai Padosi!
Hai Hai Padosi!
Mere Padosi! Mere Padosi!
Mera Jeena duswaar kare
Mujhe pareshan kare
Hai Hai Padosi!
Mere Padosi! Mere Padosi!
[copyright reserved - written by romil arora]

har taraf, har jagah diljale hi diljale

har taraf, har jagah diljale hi diljale
fhir bhi mohabbat ke liye machalte hue...
~
kabhi tanhaiyoon main khoye hue
kabhi bheed main tanha fhirte hue...
~
chand main mehboob ko dekhate hue
raat ka bhoj uthate hue...
~
pal-pal jeete-marte hue
mohabbat ke liye tarafte hue...
~
har taraf, har jagah diljale hi diljale
fhir bhi mohabbat ke liye machalte hue...

[written by romil arora-copyright reserved]

yeh dil khush kitna hain!

dekhana hain usse apni daulat par garur kitna hain
gumaan kitni hain, nasha kitna hain.
~
dekhana hain kab tak dega husn uska saath
usse khushiyoon ke mausam par aitbaar kitna hain.
~
uski aawaz fhir mujhe beetab kar degi
bhool kar usko yeh dil khush kitna hain!
[written by romil arora-copyright reserved]