Sunday, March 1, 2009

tab tum yaad aate ho

jab shaam hote hi sitare tim-timate hain
jab raat ke andhere main jugnu jagmagate hain
jab suraj ki kiran padate hi phool khilkhelate hain
jab parindee durr se hi paigam sunate hain
tab tum yaad aate ho
tab tum yaad aate ho...
[written by romil arora-copyright reserved]

mere hausaloon mein woh udaan hai...

mere hausaloon mein woh udaan hai main apni kismat badal lunga Romil
main haath ki lakeeron ka mohtaaj nahi...
[Inspired. written by romil arora - copyright reserved]

kaash...

kaash waqt par meri huqumat hoti romil
main woh waqt kabhi nahi lata ki woh bewafa ho jaye...
[written by romil arora-copyright reserved]

Maa ki goad chahiye sone ke liye...

mUddat ho gai mujhe chain se soye hue Romil
mUjhe bhi Maa ki goad chahiye sone ke liye...
[written by romil arora-copyright reserved]

aaina tod kar kehte hai...

aaina tod kar kehte hai
ek chehare ke hazar chehre bana lete hai hum
zindagi jeene ka hunar jante hai
gum main bhi muskura lete hai hum..
[written by romil arora-copyright reserved]

chirag

Allah ne mujhe chirag banaya hain, chand nahi
jitne andheron ko bhujane ke liye banaya hain utna hi sahi...
[written by romil arora-copyright reserved]

Saturday, February 28, 2009

Masjid main dekh kar ....

Masjid mein dekh kar tujhe hairat bahut hui romil
kiski khushiyaan ke liye tune fir haath fehlaya
~
yeh duaon ka silsila kyon kar raha hai tu chalu
kaun hai woh anjani jo fir yaad aaya
~
aankhon mein aansoo kiske liye hai
kiski bandagi ka fir khayal aaya
~
shaam hote hi kyon khol deta hai darwaze
woh kaun hai jiska yeh chand salam lekar aaya
[written by romil arora-copyright reserved]