Wednesday, September 16, 2009

wajah-e-tanhai

yaadon mein chirag-e-dil jalta raha sari raat
hum wajah-e-tanhai kisi ko bata na sake...
~*~
faisala-e-ishq humko manzoor tha unka
hum toote hue khawab kisi ko dikha na sake....
~*~
daman-e-yaar ki aarzoo thi apni
hum jala hua haat chhupa na sake...
~*~
aarzoo thi ki unki nazron ke noor bane
hum apne aansoo bahane se bacha na sake...
~*~
yaadon mein chirag-e-dil jalta raha sari raat
hum wajah-e-tanhai kisi ko bata na sake...

#Romil

यादों में चिराग-ए-दिल जलता रहा सारी रात 
हम वजह-ए-तन्हाई किसी को बता ना सके... 

फैसला-ए-इश्क तुमको मंजूर था उनका 
हम टूटे हुए ख्वाब किसी को दिखा ना सके... 

दामन-ए-यार की आरजू थी अपनी 
हम जला हुआ हाथ छुपा ना सके...

आरजू थी कि उनकी नजरों के नूर बने 
हम अपने आंसू बहाने से बचा ना सकें...

यादों में चिराग-ए-दिल जलता रहा सारी रात 
हम वजह-ए-तन्हाई किसी को बता ना सके...

#रोमिल

Monday, September 14, 2009

naqaab

naqaab hata do re zara
yeh sharm-o-haya hata do re zara
nazron se dil jalne do re zara
chirag-o-aftaab jalne do re zara
tera dar chodkar jaun kahan
abhi do ghadi dil ko behlane do re zara.

#Romil

नकाब हटा दो रे जरा 
यह शर्म-ओ-हया हटा दो रे जरा 
नजरों से दिल जलने दो रे जरा 
चिराग़-ओ-आफताब जलने दो रे जरा 
तेरा दर छोड़कर जाऊं कहां 
अभी दो घड़ी दिल को बहलाने दो रे जरा... 

#रोमिल

~anjaane main~

khushboo se mehak gaye dil-e-aashianaye main
ek purana khat pada anjaane main...
~*~
jin zakhamo ko waqt bhar chala tha
woh cheedh gaye anjaane main...
~*~
aankhon main naami thi, haansi thi hoonton par
kitne khawab machal rahe the anjaane main...
~*~
ta-umar dhoondhate rahe ishq duniya main
veeraniya mili khaton main hume anjaane main...
~*~
khushboo se mehak gaye dil-e-aashianaye main
ek purana khat pada anjaane main...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, September 12, 2009

main jaanu na...

tera dil maine thoda
tujhe tanha maine chod
kyon taraf raha hain mera dil
main jaanu na
main jaanu na
oh sanam main jaanu na
main jaanu na...
________
tu hain mere dil ki khushi
tu hain mere hoonton ki haansi
kyon gire hain aankhon se aansoo mere
main jaanu na
main jaanu na
oh sanam main jaanu na
main jaanu na...

[written by romil arora - copyright reserved]

tab bhi lagte ho kitne pass tum!

jab nahi hote pass
tab bhi lagte ho kitne pass tum!
~
mujhme chupe ko dhadkan ki tarah
aaina dekhu to dekhe chupe chehare ki tarah
aankhon main band khawabon ki tarah
jab nahi hote pass
tab bhi lagte ho kitne pass tum!
~
baarish ki har boondh main tum
phoolon ki har khushabu main tum
suraj ki har kiraon main tum
jab nahi hote pass
tab bhi lagte ho kitne pass tum!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, September 11, 2009

dil bole hadippa!!

zindagi ke 60 saal main aarzoo hue
shahid kapoor jaisa dikhu...
kabhi amrita
kabhi kareena
kabhi priyanki
to kabhi rani ke saath love scene karu...
~*~
isse dhun main kaminey movie style main
hair wig lagwa li
pehan kar punjabi suit
apni moustache bhi katwa li...
~*~
ghar main jab aaya wapas
sab dekh kar hairan hue
bole
"budda satak gaya hain
budhape main jawani ka bhoot isse chada hain
yeh bhi koiye umar hoti hain fashion ki
safed baalon ko kaala karwane ki"
~*~
main to dil ki aarzoo main bahe ja raha tha
ghar walon ki haar baat ansuni kiye ja raha tha
baar-baar aaina ke pass jakar khud ko niharata tha
wig wale baalon par haath fherata tha...
~*~
aarzoo hue kisi amrita rao ke saath ishq-visk ho jaye
vivah ke bandhan main hundono band jaye
magar usne saath nahi diya
bas ek-do hits ke baad rishta toodh liya...
~*~
ab tamanna thi ki koiye kareena mil jaye
yeh zindagi bhi apni safal ho jaye
tabhi khidki se dekha
samne wali bhudiyaa khadi thi
mujhe dekh kar muskurate hue
mind blowing keh rahe thi
usse dekha to aaisa laga meri kareena mil gaye
apni zindagi bhi safal ho gaye
~*~
fhir roz usse milane-milanae ka silsala suru hua
apna budhapa bhi reverse gear main chala gaya
tab apne saath ek tragedy hue
saif ali khan ki entry hue
dil maira tookade-tookade ho gaya
kareena saif ki
aur main
priyanka ka ho gaya...
~*~
HumDono ne raat ke dhai-dhai baje tak masti ki
shayad apna saath itna tha
uske mann main to harman ka sapna tha
apni rashee mil na sake
apni kahani yahi par the end ho gaye...
~*~
Ab main samaj chuka tha
in bhudiyoon ke dil ka paragraph padh chuka tha
chewinggum ki tarah hum buddhon ko hain yeh samajhati
jab tak maaza aaye tab tak chusati, baad main fhek daite
maine fhir qamar kaash li
rani ke saath apni rashee bana li
ab bul kar sab syappa
dil bole hadippa!!
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, September 10, 2009

Maa kuch pal sirhane baith jao...

maa kuch pal sirhane baith jao
mujhe neend aa jaye...
*
zaraa sa haath pher do
mere sar par
aankhein band kar lene do
khawab mujhe sone nahi dete
maa kuch pal sirhane baith jao mujhe neend aa jaye...
*
khawab mujhe darate hai
kaano mein, mere zor-zor se chillate hai
anjane chehre band aankhon ke saamne aa jate hai
maa kuch pal sirhane baith jao
mujhe neend aa jaye...
*
thak chuka hu main
roz-roz yeh khawab tootane ke gum se
haqiqat se ladte-ladte haar gaya hu main
maa kuch pal sirhane baith jao mujhe neend aa jaye...
[written by romil arora - copyright reserved]