Wednesday, September 30, 2009

Meri duniya mein aake mat jaa

--MALE--
Oh, eh, eh eh
--CHORUS--
Ishq ka dard hai, dard hai ishq ka - 4
--MALE--
(Meri duniya mein aake mat jaa
Mat jaa, kahin mat jaa) - 2
Meri duniya mein aake mat jaa, mat jaa, mat jaa
Meri duniya mein aake mat jaa
Mat jaa, kahin mat jaa
Kya maine paa liya hai
Kya maine kho diya hai
Shaayad yeh sochkar hi
Dil aaj ro diya hai
Tu hi to tha mera apna
Kaise phir yeh toota sapna
Tu jo milke kho jaayega
Jeena mushkil ho jaayega
Oh, meri duniya mein aake mat jaa
Mat jaa, kahin mat jaa
--CHORUS--
Ishq ka dard hai, dard hai ishq ka - 4
--MALE--
Yeh ishq ki hain raahein
Main jinpe chal raha hoon
Is aag mein na jaane
Kab se main jal raha hoon
Main to hoon tera deewana
Tune mujhko na pehchaana
Dilbar mere aisa na kar
Chaahat mein tu ruswaa na kar
Oh, meri duniya mein aake mat jaa
Mat jaa, kahin mat jaa
Meri duniya mein aake mat jaa, mat jaa, mat jaa
(Meri duniya mein aake mat jaa
Mat jaa, kahin mat jaa) - 2
--CHORUS--
Ishq ka dard hai, dard hai ishq ka - 7
--MALE--
(Oh, oh, oh, oh)

[NOT WRITTEN BY ME]

Aye Dil Dil Ki Duniya Mein

--FEMALE--

Aah, aah, aah, aah aah

Aah aah, aah

(Aye dil, dil ki duniya mein

Aisa haal bhi hota hai

Baahar koi hansta hai

Andar koi rota hai) - 2

Aye dil, koi pehchaana nahin

Kisi ne yeh maana nahin

Kisi ne yeh jaana nahin

Kisi ko bataana nahin

Dard chhupa hai kahan

Aye dil, dil ki duniya mein

Aisa haal bhi hota hai

Baahar koi hansta hai

Andar koi rota hai

--MALE--

O, hey, eh

Tune mujhse vafaa nahin ki

Tujhko kaise vafaa milegi

Tune mujhko dard diya hai

Tujhko kaise davaa milegi

--FEMALE--

Seene mein uthte hai armaan aise

Dariya mein aate hai toofan jaise

Kabhi kabhi khud hi maajhi

Kashti ko dubota hai

Aye dil, dil ki duniya mein

Aisa haal bhi hota hai

Baahar koi hansta hai

Andar koi rota hai

--MALE--

Kaante chunkar tera daaman

Phoolon se main bhar jaaoonga

Isse badi sazaa kya hogi

Maaf tujhe main kar jaaoonga

Aa, eh aah

--FEMALE--

Hogi kisi ko pehchaan kaise

Pyaar mein hote hain purbaan kaise

Humko yeh maaloom na tha

Pyaar bhi ek samjhauta hai

Aye dil, dil ki duniya mein

Aisa haal bhi hota hai

Baahar koi hansta hai

Andar koi rota hai

Aye dil, koi pehchaana nahin

Kisi ne yeh maana nahin

Kisi ne yeh jaana nahin

Kisi ko bataana nahin

Dard chhupa hai kahan

--MALE--

(Aye dil, dil ki duniya mein

Aisa haal bhi hota hai

Baahar koi hansta hai

Andar koi rota hai) - 2

[not written by me]

Monday, September 28, 2009

teri aankhon main naami na hoti...

agar woh teri hoti romil
teri aankhon main naami na hoti...
dil ki basti yuh khali na hoti
haanton ki hatheli zakhami na hoti...
~*~
yunh na beetati teri raatein jagati hue
yunh na hooton par khamoshi hoti...
agar woh teri hoti romil
teri aankhon main naami na hoti...
~*~
band kamaron main yunh na tu chup-chup kar rehta
andheron se tujhe na mohabbat hoti...
agar woh teri hoti romil
teri aankhon main naami na hoti...
[written by romil arora - copyright reserved]

khat

yeh sirf khat nahi hai romil tere yeh shabd hai khoon jigar se likhe hue aansoo mein bheege hue halaton ki kahani kehte hue... 
[written by romil arora - copyright reserved]

tere gum ko yaad na kare...

tere gum ko yaad na kare to kya kare
ek gum hi to hai tera diya hua!

#Romil

तेरे ग़म को याद ना करें तो क्या करे...
एक ग़म ही तो है तेरा दिया हुआ!

#रोमिल

Sunday, September 27, 2009

Kis kiski aadat badloge...

kis kiski aadat badloge romil
yahan logon ki aadat hai
dusaron ke aansoo par hasna...
[written by romil arora - copyright reserved]

begane

kisko suna rahe ho tum apna gum romil,
yahaan apna koi nahi,
begane hi begane hai sab...
[written by romil arora - copyright reserved]