Tuesday, December 8, 2009

Kya milega kisi ko kisi ka dil dukhane se...


Kya milega kisi ko kisi ka dil dukhane se
Shama bhi tarafti hogi parwane ko jalane se...
~*~
Aankhen nahi bheegi hain meri sirf
Aankh to bhar aaye hogi uski bhi bewafa kehlane se....
~*~
Kya milega kisi ko kisi ka dil dukhane se
Shama bhi tarafti hogi parwane ko jalane se...
~*~
Kuch to baat hain jarur
Jo mere aangan main chand utarata nahi
Kuch to baat hain jarur
Jo mere aangan main chand utarata nahi
Kya mila hoga sitare ko chand ke kaan bharane se...
~*~
Kya milega kisi ko kisi ka dil dukhane se
Shama bhi tarafti hogi parwane ko jalane se...
~*~
Mujhko dekha kar andhere ka raasta
Kya mila hoga usko roshani se...
~*~
Jo hum unko rabb kehte hain
Woh kya jaane unki kya hain keemat
Koiye aakar puche to humse...
~*~
Kya milega kisi ko kisi ka dil dukhane se
Shama bhi tarafti hogi parwane ko jalane se...
[written by romil arora - copyright reserved]

Ab kya haal sunaye...

Ab kya haal sunaye 
tumko dil-e-beqarar ka...
dil ko qarar aaye
tumko dekhne ke baad...
Ab kya haal sunaye
tumko dil-e-beqarar ka...
***
Kehne ko kai baatein hai
magar kahe kaise hum
hoonth bolte hai magar
tere jaane ke baad
Ab kya haal sunaiye
tumko dil-e-beqarar ka...
***
Hai aarzoo bahut tumko nazron mein basa ke rakkhe
aankhein bheeg jaye
tumko yaad karne ke baad...
Ab kya haal sunaye
tumko dil-e-beqarar ka...
***
Hoti hai shama roshan
chand ke aane ke baad
apni raaton mein hai andhera
tere jaane ke baad..
Ab kya haal sunaye
tumko dil-e-beqarar ka...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, December 7, 2009

mere jeene ke liye itna to woh karta hain...

jhoote vaade hi sahi ishq to woh mujhse karta hai
mere jeene ke liye itna to woh karta hai... 
***
gair ke saath hi sahi
khush to woh rehta hai
mere jeene ke liye itna to woh karta hai...
***
jaanta hai woh, main usse juda hokar
 jaanta hai woh, main usse juda hokar
marr jayunga
juda hoke mere jeene ki dua to woh karta hai
mere jeene ke liye itna to woh karta hai...
***
na ho usse ab mera rishta koi aaye Romil
fir bhi tanhaiyon mein woh aksar aakar mujhse milta hai
mere jeene ke liye itna to woh karta hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Main rishta jisse toodh deta hu to toodh deta hu


Main rishta jisse toodh deta hu to toodh deta hu
Jiska saath chod deta hu to chod deta hu...
Mohabbat hi nahi
Main to nafrat bhi
Baadi imandaari ke saath karta hu...

{{unke likhe khaaton ki main kastiya bana leta hu
jab shailab aayega mohabbat ka mere shehar main...
to bahut kaam aayegi}}

Main rishta jisse toodh deta hu to toodh deta hu
Jiska saath chod deta hu to chod deta hu...
Mohabbat hi nahi
Main to nafrat bhi
Baadi imandaari ke saath karta hu...

Dil to kehta hain ki usko paigam likhu
Main saahil-e-rait par paigam likh aata hu...
Saagar bhi meri tarah hain ziddi
Woh begarata chala jaata hain
Main likhata chala jata hu....

Main rishta jisse toodh deta hu to toodh deta hu

Jiska saath chod deta hu to chod deta hu...

Aksar log kehta hain
Main raaston main saath deta nahi
Har manzil se pehle hi rishta toodh deta hu...
Mera ghar hain kacchi sadak par
Main pakki sadak ka rastaa chod deta hu...

Main rishta jisse toodh deta hu to toodh deta hu
Jiska saath chod deta hu to chod deta hu...  
[written by romil arora - copyright reserved]

Humko kiske gham ne mara ye kahani phir sahi....

~GHAZAL~

Humko kiske gham ne mara ye kahani phir sahi....





{{udhar zulfoon main kanjhi ho rahe hain, khum nikalta hain
idhar rukh-rukh ke kheech-kheech kar hamara dum nikalta hain,
elaahe khair ho, uljhan par uljhan badati jaati hain
na unka khum nikalta hain
na hamara dum nikalta hain}}




humko kiske gham ne mara yeh kahani phir sahi
kisne tora dil hamara ye kahani phir sahi


dil ke lutne ka sabab poochoo na sabke samne
naam ayega tumhara yeh kahani phir sahi






{{dil walon kya dekh rahe ho in raahon main
aadhe nazar tak yeh viraane saath chalegi
rajemiya tum shaam se kaise chup baithe ho
kuch to bolo aaise jisse baat badaige}}



dil ke lutne ka sabab poochoo na sabke samne
naam ayega tumhara yeh kahani phir sahi






humko kiske gham ne mara yeh kahani phir sahi
kisne tora dil hamara ye kahani phir sahi






nafratoon ke teer kha ker dostoon ke sheher mein
humne kis-kis ko pukara yeh kahani phir sahi






humko kiske gham ne mara yeh kahani phir sahi
kisne tora dil hamara ye kahani phir sahi...






kya batain pyar ki baazi waafa ki rah mein
kaun jeeta kaun haara yeh kahani phir sahi




humko kiske gham ne mara ye kahani phir sai
[NOT WRITTEN BY ME]




GHULAM ALI

Saturday, December 5, 2009

log kehte hain....


log kehte hain ki uski tujhe aadat ho gaye
hum kehte hain ki usse humko mohabbat ho gaye...
***
chand (NAAZ) se roz jo karte the baatein uski
woh baatein ab kahin kho gaye...
***
raat bhar khawabon main jisko nihara karte the
na jaane woh kahan khawabon main kho gaye...
***
ab to uska intezaar karte-karte yakeen ho gaya
jo hamari thi woh ab kisi aur ki ho gaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan

Seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan

Dhadkan mein hai tu hi tu
Ae meri pehli tamanna, ae meri aakhri aarzoo
I love you, I love you

Seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan
Dhadkan mein hai tu hi tu

--MALE--
Seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan
Dhadkan mein hai tu hi tu

--FEMALE--
Ae meri pehli tamanna, ae meri aakhri aarzoo

--MALE--
I love you, I love you

--FEMALE--
Tujhko dekha to yeh jaana
Tu hi meri manzil hai
Saanson ke bin shaayad jee loon
Tujh bin jeena mushkil hai

--MALE--
O, saanson mein sargam, sargam mein nagmein
Nagmon mein hai tu hi tu

--FEMALE--
I love you

--MALE--
I love you

Seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan
Dhadkan mein hai tu hi tu
Ae meri pehli tamanna, ae meri aakhri aarzoo

--FEMALE--
I love you

--MALE--
I love you
Mausam us rang mein dhalta hai
Jis rang mein tu aa jaaye
Meri subhe aur shaame hai
Teri palkon ke saaye

--FEMALE--
O, aankhon mein neendein
Neendon mein sapne
Sapnon mein hai tu hi tu

--MALE--
I love you

--FEMALE--
I love you
Seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan
Dhadkan mein hai tu hi tu

--MALE--
Ae meri pehli tamanna, haan

--FEMALE--
Ae meri aakhri aarzoo

--MALE--
I love you

--FEMALE--
I love you
Tere ek ishaare par hum
Saari duniya bhoola denge

--MALE--
Tu guzre jis raah se us par
Phool hi phool bichha denge

--FEMALE--
O, baagon mein kaliyaan

--MALE--
Kaliyon mein khushboo

--BOTH--
Khushboo mein hai tu hi tu

--FEMALE--
I love you

--MALE--
I love you

--FEMALE--
I love you

--MALE--
I love you

 --BOTH--
I love you, I love you
[not written by me]