Monday, December 14, 2009

Zindagi shaam se hi barbaad ho jaati hain...

Zindagi shaam se hi barbaad ho jaati hain
Teri yaad daabe pao chali aati hain...
***
Kitna bhi chahu durr jaana inse
Saaya bankar yeh mere saath chali aati hain...
Zindagi shaam se hi barbaad ho jaati hain
Teri yaad daabe pao chali aati hain...
***
Lekar rakha hain maine saath andheron ka
Fhir bhi aankhon main aansoo ban kar chali aati hain...
Zindagi shaam se hi barbaad ho jaati hain
Teri yaad daabe pao chali aati hain...
***
Koiye puche to bataiye kya haal hua hain hamara 
Gum ke bahane na mile to Khushi ke bahane hi chali aati hain...
Zindagi shaam se hi barbaad ho jaati hain
Teri yaad daabe pao chali aati hain...
[written by romil arora - copyright reserved] 

Dar-O-Deewar Par Shikway Likhata Rehta Hain....


Dar-O-Deewar Par Shikway Likhata Rehta Hain
Kitna Paagal Hain Ek Ladka Khud Se Teri Baatein Kiya Karta Hain...
Dar-O-Deewar Par Shikway Likhata Rehta Hain
Kitna Paagal Hain Ek Ladka Khud Se Teri Baatein Kiya Karta Hain...
***
Pucho Na Baarish Ne Bhi Kaisa Sitam Us Par Kar Daala
Uske Likhe Har Lafz Ko Dho Dala
Baarish Ki Boondon Ke Saath Din Bhar Ladata Rehta Hain
Kitna Paagal Hain Ek Ladka Khud Se Teri Baatein Kiya Karta Hain...
Dar-O-Deewar Par Shikway Likhata Rehta Hain
Kitna Paagal Hain Ek Ladka Khud Se Teri Baatein Kiya Karta Hain...
***
Khat Bhejaane Ke Liye Pata Tera Usko Maalom Nahi
Kaach Ki Sheeshi Main Dal Kar Khat Saagar Main Phek Diya Karta Hain...
Dar-O-Deewar Par Shikway Likhata Rehta Hain
Kitna Paagal Hain Ek Ladka Khud Se Teri Baatein Kiya Karta Hain...
***
Jab Bhi Hoti Hain Teri Deedar-E-Aarzoo
Kaagaz Par Bana Kar Tasveer Teri Apne Sirhaane Rakh Liya Karta Hain
Dar-O-Deedar Par Shikway Likhata Rehta Hain
Kitna Paagal Hain Ek Ladka Khud Se Teri Baatein Kiya Karta Hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, December 13, 2009

roko na mujhko to aaj udte jaana hai...

khawabon ko aankhon mein sajana hai
roko na mujhko to aaj udte jaana hai...
*
thandi halki-halki burf par yeh jo paoon ke nishan pade
girti-girti oosh par yeh jo ungaliyon ke nishan bane
unko bas aise hi banne do
roko na mujhko to aaj udte jaana hai...
*
chand ki dharti hai
sitaron ka aasman hai
is par mujhko jhoola jhulne do
roko na mujhko to aaj udte jaana hai...
*
dil ki patang hai kai rang bhari
usme hai khawabon ki umang bhari
dheere-dheere dheel chodate jaana hai
roko na mujhe to aaj udte jaana hai...
roko na mujhe to aaj udte jaana hai...

[written by romil arora - copyright reserved]

rabb hoo...naaz hoo...

rabb hoo...naaz hoo
rabb hoo...naaz hoo

{{tere sajade main pada rahu
bas yahi aakhiri aarzoo hain meri
tera darr chod kar, jayun to jayun kahan
tu hi tu hain khuda meri}} 

rabb hoo...naaz hoo
rabb hoo...naaz hoo

Mere maula, meri bigadi hue taqdeer saawar de...
Meri naazaron ko apna deedar de...
~*~
Main na chahu madina dekhana
Main na chahu kashi dekhana
Meri naazaron ko bas tu apna deedar de...
~*~
Rahi hain hamesha inayat teri mujhpar
Tere hi karam se main jeeta hu
Teri hi bandagi main dhooba rehta hu
Teri hi chokhat par paada rehta hu
Yunhi hamesha kaaram rakhana
Kuch na de mujhe mere khuda
meri naazaron ko bas tu apna deedar de...
Kuch na de mujhe mere maula
meri naazaron ko bas tu apna deedar de...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, December 12, 2009

Chirag jalayenge jo tum aayoge...

Chirag jalayenge jo tum aayoge
Kuch pal hum bhi roshani main betayenge jo tum aayoge...
***
Teri yaadon main hum baaha chuke aansoo bahut
Kuch pal hum bhi muskurayenge jo tum aayoge...
***
Bahut sata chuke tum humko
Kuch pal hum bhi satayenge jo tum aayoge...
***
Jaag kar kaati hain bahut raatein humne
Kuch pal hum bhi soyenge jo tum aayoge...
***
Kaash yeh khawab ho jaye poore hamare
Rabb sun le dua hamari
Aur tum aa jayo....
[written by romil arora - copyright reserved]

Ajeeb Kash Ma Kash Main Beete Hain Raatein Apni..

Ajeeb Kash Ma Kash Main Beete Hain Raatein Apni
Neend Aati Nahi
To Khawab Tere Aaye Kaise...
Ajeeb Kash Ma Kash Main Beete Hain Raatein Apni

Neend Aati Nahi
To Khawab Tere Aaye Kaise...
***
Shaama Ko Jalate-Jalate
Khud Ke Haaton Ko Hum Jaala Baithe
Shaama Ko Jalate-Jalate
Khud Ke Haaton Ko Hum Jaala Baithe
Kaise Bataiye Ki Zakhm Khaye Kaise...
***
Tere Dard Se Bhara Hua Is Tarah Dil Apna
Ghazal Gaate-Gaate Aa Jaate Hain Aankhon Main Aansoo Apne
Kaise Bataiye Ki Aansoo Aaye Kaise...
***
Haazar Koshish Par Bhi Aati Nahi Hoonton Par Muskurahat
Haazar Koshish Par Bhi Aati Nahi Hoonton Par Muskurahat
Koiye Bataiye Ki Muskurahat Aaye Kaise...
***
Ajeeb Kash Ma Kash Main Beete Hain Raatein Apni
Neend Aati Nahi
To Khawab Tere Aaye Kaise...
Ajeeb Kash Ma Kash Main Beete Hain Raatein Apni
Neend Aati Nahi
To Khawab Tere Aaye Kaise...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, December 11, 2009

Raat aayengi to yaadein bhi chali aayengi....

Raat aayengi to yaadein bhi chali aayengi
Zindagi humpar kuch is tarah bhi muskurayengi...
~*~
Khud se kehte phirenge haal-e-dil apna
Deewarein humse lipath kar aansoo bahayengi...
~*~
Raat aayengi to yaadein bhi chali aayengi....
~*~
Yunhi kaath jayegi raat apni
raat bhar teri hi baatein kaano main gungunayengi...
~*~
Raat aayengi to yaadein bhi chali aayengi...
~*~
Humse puchate hain log hamari raaton ka manzar
hoonth na bolenge kuch
aankhen daastan sunayengi...
~*~
Raat aayengi to yaadein bhi chali aayengi...
[written by romil arora - copyright reserved]