Tuesday, December 22, 2009

kya karu...


yeh saal bhi beta bina barsaat ke
main aansoo na bahau to kya karu...
*!*
intezaar main katati nahi raatein
main shama na jalau to kya karu...
*!*
unse jab puche bewafai ki wajah hain kya
woh tab bhi kuch na bataiye to kya karu...
*!*
yunh to teri mehfil main milte hain sab gale
koiye dil se nahi milta to kya karu...
*!*
koiye nahi hain apna is shehar main
tera shehar na chod jayun to kya karu...
[written by romil arora - copyright reserved]

koiye nahi tere saath hain...

paav bhi na thake mere
chalte jaana hain
durr manzil hain
koiye nahi mere saath hain...
***
haawan ne jaane kaisa ishara kiya
dhak-dhak yeh jiya kehne laga
uski yaadein hain
koiye nahi tere saath hain..
***
chupke se kaano main aakar koiye gunguna gaya
chand-sitare dekho lagte hain baraat se
yeh tere khawab hain
koiye nahi tere saath hain...
***
saari-saari raatein
takati hain raasta
sunnata keh raha hain
koiye nahi tere saath hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Puri Hoke Bhi Main Adhuri Si Hu...

Puri Hoke Bhi Main Adhuri Si Hu
Hu Phool 
Fhir Bhi Na Kheeli Si Hu...
***
Josh Bahut Hai
Umang Bahut Hai Dil Mein Udne Ki
Lekin Pankh Kati Si Hu...
***
Chehare Par To Saada Muskaan Rehti Hai
Dil Hi Dil Mein Jali Si Hu...
***
Jee Chahta Hai Uski Pyas Bhujha Du
Hu Saagar
Fhir Bhi Khaare Pani Si Hu...
***
Uski Hokar
Uski Ho Na Saki
Zindagi Ki Ek Ankahi Kahani Si Hu...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, December 21, 2009

zindagi apni zindagi to nahi hain...

zindagi apni zindagi to nahi hain
hain khushi par khushi to nahi hain.
raaste humse beechade hain to magar
manzil bhi to apni manzil nahi hain.
zindagi apni zindagi to nahi hain...
***
hain sahi woh hamare nahi hain
par unki parchaiye bhi to hamari nahi hain.
phool rahe dusaron ki jhooli main hi
magar kaatein bhi hamare nahi hain...
zindagi apni zindagi to nahi hain...
***
aadatan unka humse naazarein churana
dekh kar humko mooh pher lena.
abhi kuch hi din hue hain unko bewafa hue
yeh baatein purani nahi hain...
***
sunehara guzara hain mohabbat ka safar
woh hans-hans kar unse baaton ka safar
saath mere unki yaadein hain
ab baatein nahi hain...
zindagi apni zindagi to nahi hain....
[written by romil arora - copyright reserved]

ajeeb hi mila...

jab chaha izhaar kiya
jab chaha saath chod diya
har shakhs mujhe jo mila
ajeeb hi mila...
***
sab kehte the saath denge tera umar-bhar
magar jab ghayal hue ek sahara na mila
har shakhs mujhe jo mila
ajeeb hi mila...
***
sabke haaton main diya tha phool maine
magar unke haaton ka pathar mujhe laga
har shakhs mujhe jo mila
ajeeb hi mila...
***
kis-kis ko samjhate waafa ka matlab
mujhe jo mila bewafa hi mila
har shakhs mujhe jo mila
ajeeb hi mila...
***
hamari khata woh geenate rehta hain khuda ko
humse kehne wala koiye na mila
har shakhs mujhe jo mila
ajeeb hi mila...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, December 19, 2009

Na unse nazrein milti na izhaar hota na is kadar yaaron apna bura haal hota...

{gum-e-dil main dooba hu
aur aaksh na aaye aankhon mein
main insaan hu khuda nahi}
__________
na unse nazrein milti
na izhaar hota
na is kadar yaaron apna bura haal hota...
***
yunhi na guzarti apni zindagi chaar-deewaron mein
na apni shaam ka bura haal hota...
***
dube rehte na hum yunhi mohabbat-e-gum mein
na apni khushiyon ka bura haal hota...
***
do qadam hi unke saath chale the
ki chheel gaye paav hamare
thoda aur door unke saath chalte
to na jaane apna kitna bura haal hota...
***
na unse nazrein milti
na izhaar hota
na is kadar yaaron apna bura haal hota...
[written by romil arora - copyright reserved]

aapke kareeb hum nahi, itne aache hamare naseeb nahi...

aapke kareeb hum nahi itne aache hamare naseeb nahi...
socha tha ki izhaar kar denge
nazarein aapse mili
fhir hum nahi...
aapke kareeb hum nahi
itne aache hamare naseeb nahi...
***
din bhar aawara sa fhirta hain dil
tujhko dhundhata-puchata fhirta hain dil
sham jab hui
fhir teri mehfil mein hum nahi...
aapke kareeb hum nahi
itne aache hamare naseeb nahi...
***
zamane bhar ki ruswaiya
haan...haan...zamane bhar ki ruswaiya
jitne chahe mujhe qabool
bas ek aapse ruswaiya mili
fhir hum nahi...
aapke kareeb hum nahi
itne aache hamare naseeb nahi...
***
Agar tu ittefakan meri zindagi main aa jaye
Agar tu ittefakan meri zindagi main aa jaye
to yeh gum kuch kaam ho jaye
Agar tu ittefakan meri zindagi main aa jaye
to yeh gum kuch kaam ho jaye
ab tu soch le sangdil
yeh gum nahi
ya fhir hum nahi...
aapke kareeb hum nahi
itne aache hamare naseeb nahi...
[written by romil arora - copyright reserved]