Thursday, March 4, 2010

zamana tujhe bhool jaane ko kehta hai...

zamana tujhe bhool jaane ko kehta hai
dard mein bhi muskurane ko kehta hai
rab janta hai uski yaadon ki kasti gum-e-toofan duboo sakta nahi
isliye Romil woh mujhe khud doob jaane ko kehta hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, March 3, 2010

yeh sochate hue...

Usse apne haath main tham lu
ek muddat hue hain mujhe yeh sochate hue...
***
umar beeth gaye uska intezaar karte hue
woh kabh mujhe apna banaiyegi yeh sochate hue...
***
ro padata hu parchaiye se baat karte hue
woh kab haqiqat banegi yeh sochate hue...
***
kora kaagaz dekh kar pareshan ho jaata hu Romil
woh kab ispar apna paigam lekhegi yeh sochate hue...
[written by romil arora - copyright reserved]

dil par hi nahi...

dil par hi nahi
yeh dimaag par bhi asar karta hai...
mohabbat to aisa rog hai
jo jeena-marna muhaal karta hai...
***
badnaseeb hum the
ya thi hamari mohabbat doston
jo dil laga baithe...
yahan par to har insan keval daulat ke liye milta-julta hai...
***
suna tha waqt to mita deta hai saare zakhm
har ghaav bhar deta hai...
kambhakht uski yaad ki aandhi aisi chalti hai
har zakhm hara kar deta hai...
***
kya kahe uska haal Romil
pagal kaho to bura manta hai
deewana kaho to khafa ho jaata hai...

#Romil

दिल पर ही नहीं 
यह दिमाग पर भी असर करता है 
मोहब्बत तो ऐसा रोग है 
जो जीना-मरना मुहाल करता है... 

बदनसीब हम थे 
या थी हमारी मोहब्बत दोस्तों 
जो दिल लगा बैठे... 
यहां पर तो हर इंसान केवल दौलत के लिए मिलता-जुलता है 

सुना था वक्त तो मिटा देता है सारे जख्म 
हर घाव भर देता है... 
कमबख्त उसकी याद की आंधी ऐसी चलती है 
हर ज़ख्म हरा कर देता है... 

क्या कहें उसका हाल रोमिल 
पागल कहो तो बुरा मानता है 
दीवाना कहो तो खफा हो जाता है...

#रोमिल

Tuesday, March 2, 2010

asmaan ro nahi raha....

asmaan ro nahi raha kuch dino se Romil
lagta hain usne rabb se kuch kahan hoga...
***
bahut din ho gaye chand nazar nahi aaya Romil
lagta hain badalon ne usse gher rakha hoga...
***
Jal raha hain yeh dil kyon bina baat ke Romil
lagta hain in nazaron ne mehboob ko anjaane ke saath dekh liya hoga...
***
do qadam bhi woh zindagi main saath nahi chala Romil
yaadon main kaise itni umar chal raha hoga...
[written by romil arora - copyright reserved]

meri idabad bhi nirala hain...

meri idabad bhi nirala hain
jisse rabb kehte hain
usse se yaari hain...
***
bandagi main sab kuch usse de chuka hu
yeh jaan bhi usse par qurbaan karni hain...
***
pujane ka saliqa alag hain mera
usse par zindagi barbaad karni hain
jisse ne zindagi sawari hain...
***
na majhid, na mandir jaana hain
jab chahat hue NAAZ ko yaad kiya
yeh ada apni purani hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Maine maa ko dekha hai...

Maine maa ko dekha hai
Dekha hai maa ko dekha hai
Maa ka pyaar nahi dekha

Maine maa ko dekha hai
Maa ka pyaar nahi dekha
Maine phool to dekhe hain
Dekhe hain phool to dekhe hain
Phoolon ka haar nahi dekha

Maine maa ko dekha hai
Maa ka pyaar nahi dekha
Maine maa ko dekha hai

Vaise to ghar main maa ki tasveer hai - 2
Lekin meri aaisi kab taqdeer hai
Kabhi jo ghabraun, gale se lag jaaon
Agar na neend aaye, to lori vo gaye
Meri mann jiska pyasa hai
Pyasa hai jiska pyasa hai
Vo laad dulaar nahi dekha

Maine maa ko dekha hai
Maa ka pyaar nahi dekha
Maine maa ko dekha hai

Vaise to meri maa ka dil koi saqt nahi -2
Par uske paas jara bhi waqt nahi
Hai uska naam bada, hai usko kaam bada
Vo devi mamta ki, hai leader janta ki
Maa ke photo ke bina
Bina ji photo ke bina
Koi akhbaar nahi dekha

Maine maa ko dekha hai
Maa ka pyar nahi dekha
Maine maa ko dekha hai

Pyaari pyaari hai vo bholi aisi hai -2
Kal aaya se poochha ki baby kaisi hai
Meri maa sachi hai
Badi hi achhi hai
Yeh uska dosh nahi
Use kuch hosh nahi
Maa ne duniya dekhi hai
Dekhi hai duniya dekhi hai
Ghar sansaar nahi dekha

Maine maa ko dekha hai
Maa ka pyaar nahi dekha
Maine phool to dekhe hain
Dekhe hain phool to dekhe hain
Phoolon ka haar nahi dekha

Maine maa ko dekha hai
[NOT WRITTEN BY ME]

KAMAL PAR VIRAAJMAAN...

KAMAL PAR VIRAAJMAAN
WOH LAXMI BAHUT SUNDAR HAIN
MAIN US SARAWATI ROOP LAXMI KO BAAR-BAAR NAMAN KARUNGA!
***
MAIN USKO PAANE KE LIYE KEECHAD MAI NAHI JAYUNGA
MAIN USPAR BHAROSA RAKHUNGA
MAIN US DIN NA INTEZAAR KARUNGA
JAB WOH KHUD CHALKAR US KEECHAD SE NIKAL KAR MERE GHAR AAYEGI!
***
MAIN DEEPAWALI KA INTEZAAR KARUNGA!
[written by romil arora - copyright reserved]