Monday, March 29, 2010

waafadaar tha...

wafadaar tha to koi naam nahi janta tha mera
bewafa ho gaya to ghar-ghar mein naam ho gaya...
***
zara si baat ka tamasha bana diya usne
gumnaami mein jeete the, 
duniya mein janne wala bana diya usne...
***
itni baar milane ko kahan... yakeen na hua usko... 
ek juda hone ko keh diya... yakeen ho gaya usko...
[written by romil arora - copyright reserved]

Ya tumhare qalam jhoote hai...

Dono mohabbat karte hai
Fir bhi kehne se darte hai
Woh kehte hai hum jhoote hai
Hum kehte hai woh jhoote hai...
***
Milkar unse dil ko qaraar aa jaata hai Romil
Jo mere apno se kam jhoote hai...
***
Do qadam ka rasta unse paar hota nahi Romil
Jo kehte hai mere vaade sacche hai
Tere vaade jhoote hai...
***
Itni bewafai ke baad bhi uski waafa ki tareef karte ho Romil
Tum jhoote ho
Ya tumhare qalam jhoote hai...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Saturday, March 27, 2010

woh kitna sajda wala hoga...

jiski aankhon main aansoo
hoonton main sirf mehboob ka naam hoga
woh hi insaan dhokha khaya hua hoga...
***
mohabbat ke rastee main jisse mili hogi havas hi havas
jo apne saaya se bhi ghabrata hoga
woh hi insaan dhokha khaya hua hoga...
***
jo roz karta ho rabb se apne marane ki dua
mumkin nahi woh shakhs zinda bhi hoga
woh hi insaan dhokha khaya hua hoga...
***
na jao mujhe chod kar yeh keh kar jo shakhs mehboob ke qadamo mein gir gaya hoga
tu hi bata mere apne Romil
woh kitna mohabbat wala hoga...
woh kitna sajda wala hoga...

#Romil

जिसकी आंखों में आंसू 
होठों में सिर्फ महबूब का नाम होगा 
वो ही इंसान धोखा खाया हुआ होगा... 

मोहब्बत के रास्ते में जिसे मिली होगी हवस ही हवस 
जो अपने साया से भी घबराता होगा 
वो ही इंसान धोखा खाया हुआ होगा 

जो रोज करता हो रब से अपने मरने की दुआ 
मुमकिन नहीं वो शख्स जिंदा भी होगा 
वो ही इंसान धोखा खाया हुआ होगा 

ना जाओ मुझे छोड़कर यह कहकर जो शख्स महबूब के कदमों में गिर गया होगा 
तू ही बता मेरे अपने रोमिल 
वो कितना मोहब्बत वाला होगा 
वो कितना सजदे वाला होगा...

#रोमिल

yeh na socha tha...


socha tha diwana ban jayunga
yeh na socha tha ki tamasha ban jayunga...
***
uski haansi par main bhi haansta tha
yeh na soch tha ki paagal ban jayunga...
***
baadi aarzoo ke saath sajana chahta tha uski tasveer
yeh na socha tha ki uske deedar ko pyasa marr jayunga...
***
bahut muskil hota hain marr kar jeena Romil
yeh na socha tha ki apni kabr ka chaukidaar ban jayunga...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, March 26, 2010

qareeb aata hai koi...

qareeb aata hai koi
to darr jaata hu main
is qadar mohabbat mein dhoka khaya hua hu main...
***
apni nigahoon mein na baithao
khud ki nigahoon mein gir chuka hu main...
***
apne jism se nafrat si ho chuki hai mujhko
chuoo na mujhko
badnaam ho chuka hu main...
***
badi sharaddha se yeh mohabbat us par qurbaan karna chahta tha Romil
Usse ke haaton baazar mein bik chuka hu main...

#Romil

करीब आता है कोई 
तो डर जाता हूं मैं 
इस कदर मोहब्बत में धोखा खाया हुआ हूं मैं 

अपनी निगाहों में न बैठाओ 
खुद की निगाहों में गिर चुका हूं मैं 

अपने जिस्म से नफरत सी हो चुकी है मुझको 
छुओ ना मुझको 
बदनाम हो चुका हूं मैं 

बड़ी श्रद्धा से यह मोहब्बत उस पर कुर्बान करना चाहता था
उसी के हाथों बाजार में बिक चुका हूं मैं...

#रोमिल

Barsaat ke mausam mein bhi jalte rahe hum...

aise hi katata raha apna safar
kabhi dost rahe to kabhi dushman rahe hum...
***
bahut dhundha saache yaar ko
na mili manzil
raston par chalte rahe hum...
***
kisse shikayat kare
wafa ki aadat se to khud lipte rahe hum...
***
khud ki nigah mein bhi mohabbat nahi rahi Romil
barsaat ke mausam mein bhi jalte rahe hum...

#Romil

ऐसे ही कटता रहा अपना सफ़र
कभी दोस्त रहे तो कभी दुश्मन रहे हम...

बहुत ढूंढा सच्चे यार को ना मिली मंज़िल
रास्तों पर चलते रहे हम...

किससे शिकायत करें
वफ़ा की आदत से तो ख़ुद लिपटे रहे हम...

ख़ुद की निग़ाह में भी मुहब्बत नहीं रही रोमिल
बरसात के मौसम में भी जलते रहे हम...

#रोमिल

kya khata hui jo unko humne khat likh diya...

kya khata hui jo unko humne khat likh diya
apna haal-e-dil likh diya...
***
woh to samjhe humko awara
humne to unko apna rab likh diya...
***
na dekha kabhi ajnabi ka chehra
humne to apna thikana likh diya...
***
ab kisse kya kahe apni dastaan "Romil"
bina saath mile hi unko apna jeevansaathi likh diya...
[written by romil arora - copyright reserved]