Wednesday, July 24, 2013

Main garib hoon, footpaton pe bicha kar bhagwano ki tasveerein baich leta hoon

Main garib hoon, footpaton pe bicha kar bhagwano ki tasveerein baich leta hoon
Mujhe kya wasta Baishkeemati Mandiron mein kaun-kaun rehta hai.

Bacchein bhi pal bhar mein samajh jaate hai amiri-garibi ka fark
Na Jaane masumo mein kyon yeh hunar rehta hai.

Nahi sunta hai meri, to masoom bacchon ki sun le khuda
Suna hai maine bacchon mein paigambar, farista rehta hai.

aur

Mat toodh khandar samajh kar is makaan ko
Is makaan mein ek chidiyon ka khandan rehta hai.

aur

Woh pagal, pardesh ki jannatein chhod kar aa gaya
Kehta hai Romil, goan mein uska purana dost rehta hai.

Tuesday, July 23, 2013

kaun jaane kab is duniya se ruksat ho jaye hum

kaun jaane kab is duniya se ruksat ho jaye hum
mitti se bane hai, mitti mein mil jaye hum

kabhi sunaye de mere kamre mein teri payal ki khankhan
koi chedon aisa madhur raag ki sunhera geet ho jaye hum

tu agar aasman mein bulaye, tab bhi hum chale aaye
dooriyon ki wajah se rishta nahi todate hai hum

aur

yeh patiyala suit, gotedaar dupatta
lambi si choti, pairon mein amritsari jutta 
Romil, meri gair-hazari mein tum itna saj-o-sawaron itni ijazat nahi dete hai hum.

Sunday, July 21, 2013

do aankhein aur hazar khawab sajaye baithi ho

do aankhein aur hazar khawab sajaye baithi ho
tum to pehle se hi bewafai ke saare intezaam kar baithi ho

peela suit, hara duppata, halke lal se hoonth
jaan-e-mann kiske intezaar mein itna beqarar baithi ho 

gamo ke dariya ko khud mein samet lena
is dil ko yeh kaisa samundar banaye baithi ho

hamare tajurbon se kuch faida tum bhi utha lo
.... utho hanso khud par...
toote hue dil ke saath kyon udas baithi ho

aur

Romil, aao yeh mohabbat hai ise dono nibhaye
zamane ke darr se kyon khawaishein dabaye baithi ho.

#Romil

दो आंखें और हजार ख्वाब सजाए बैठी हो 
तुम तो पहले से ही बेवफाई के सारे इंतजाम कर बैठी हो

पीला सूट, हरा दुपट्टा, हल्के लाल से होंठ... 
जानेमन किसके इंतजार में इतना बेकरार बैठी हो... 

गमों के दरिया को खुद में समेट लेना 
इस दिल को यह कैसा समुद्र बनाएं बैठी हो... 

हमारे तजुर्बे से कुछ फायदा तुम भी उठा लो... 
...उठो हंसो खुद पर... 
टूटे हुए दिल के साथ क्यों उदास बैठी हो... 

और 

रोमिल, आओ यह मोहब्बत है इसे दोनों निभाएं 
जमाने के डर से क्यों ख्वाईशें दबाये बैठी हो...

#रोमिल

Ishq ki mujhse baat na karo

Ishq ki mujhse baat na karo
ki mera beta jawan ho gaya hai.

Yeh diye to mere hi hai
bas roshani par haq kisi gair ka ho gaya hai.

Yeh majboori, yeh bebasi tumhein main samjha nahi sakti
bas itna samjho koi khud hi ke usulon mein qaid ho gaya hai.

aur

Kal tere pass hi aana hai mujhe... yeh vaada kaise karu?
Romil, jiska aaj hi kahi gum ho gaya hai.

Friday, July 19, 2013

Yunh patang ban udana band kar do

Yunh patang ban udana band kar do
Beti jawan ho rahi hai
Tum ab apni nazarein sharif kar lo.

Gali-kuchon mein badh gai hai roshani itni
Tum ab apni tanhaiyan kam kar lo.

Mana ki ab chehare se jawan nahi rahi tum
Magar dil ko to baccha kar lo.

aur

Yeh Romil tumpar pehle hi mar-mita hai,
Ab tum bhi usko pasand kar lo.

#Romil

यूँ पतंग बन उड़ना बन्द कर दो
बेटी जवां हो रही है
तुम अब अपनी नज़रें शरीफ़ कर लो...

गली-कुचों में बढ़ गई है रोशनी इतनी
तुम अब अपनी तन्हाइयां कम कर लो...

माना की अब चेहरे से जवान नहीं रही तुम
मगर दिल को तो बच्चा कर लो...

और

यह रोमिल तुमपर पहले ही मर-मिटा है,
अब तुम भी उसको पसंद कर लो...

#रोमिल

tasveer

google+ par tasveer bacche si laga rakhi hai usne
aye khuda kaash uska dil bhi bacche sa hota.

#Romil

गूगल+ पर तस्वीर बच्चे सी लगा रखी है उसने
ए ख़ुदा, काश उसका दिल भी बच्चे सा होता...

#रोमिल