Sunday, November 4, 2018

Bas aise hi kuch...

2011 mein mile the DGP Sahab se Retirement ke samay aur aaj mile... Wahi chehra pe Raunak, wahi buland awaaz, wahi fitness, wahi haath milane ka andaz... Aaj bhi Bande mein bahut dum hai... Aur ek hum hai is Umar mein hi dheele-dhaale, susht Ho Gaye hai... Pata nahi budhapa aate-aate pairon pe sahi se khade bhi ho payenge ki nahi...

2. Hum Gomti Nagar Thane Gaye socha mobile missing ki report likhwa de... Bandi aaplication dene se darr rahi thi... Itna Hungama Kiya tab chupchaap mobile rack mein neeche copies; books ke neeche rakh diya, jisne liya tha...

3. Chai wala kham-kha maar khana chah Raha tha... Keh Raha 01 ghanta lagega chai banane mein, hamara style alag hai chai banane ka... hahaha... Fir samjhane pe 05 min. mein de di Chai... hahaha...

#SuNWrites

Dafaa karo...

NaaZ... Kehti hai na...Gandi aurat se Doorie hi banaye rakho... Theek hi kehti hai...

Block karo... Dafaa karo... Yeh kaam mujhe pehle hi kar lena chahiye tha...

#RaJWrites...

Thursday, November 1, 2018

Kuch waqt se...

Kuch waqt se greh-nashatra aise ban rahe hai ki prateet hota hai ki dunia banane wala chahta hai ki Hum, hungama kare...

1. Aaj Gomti Nagar gaye, Patrakaar Puram pe khayal aaya ki ek Rubber Stamp banwa le... Hum complex mein shop par gaye... Usko kaagaz par likh kar diya aur bas bola hi tha ki 'Bhaiya, 20/- Rupiya lagega banai ka ya 30/- Rupiya'.... Bhai Saheb, Bande ne meri aankhon ke samne kaagaz fhaad diya... Humne bola kaahe fhada? Bola Gusse mein '20/- Rupiya mein kya Rubber Stamp banti hai? 60/- Rupiya lagega...' Humne kahan yeh baat humse bol sakte the Kaagaz fhaadne ki kya jarurat thi???... Abhi pichale mahine hi tumse banwaya tha Rubber Stamp tab to 20/- hi liye the, yeh dekho bill... Banda bola 'Yeh single line ka bill hai, ab aap Gole stamp banwa rahe ho...' Humne kahan tumko jitna Rupiya chahiye tum Rubber Stamp banao, gussa mat dikho'...

Mann hua tha yahi isko maare aur hungama khada kare...

2. Hand watch ruk gai to socha chalo cell dalwa le... Dukaandaar se kahan cell daal do, 40/- rupiya ka cell hoga... Bola 'hum to 60/- ka cell dalte hai, 40/- wala koi nahi hai hamare pass... Fir 10/- wala cell hai...' Humne pucha 10/- wala kaun sa... Bola 'Deewar ghadi wala' Humne kahan woh Hand Watch mein kaise fit hoga? Banda bola 'woh aap jaano' Humne kahan tum 60/- wala daalo dimaag mat kaho...

Mann hua tha 20 thappad maare aur mazma khada kare...

3. Road par Gaadi to itni tez chalate hai jaise Bhagbaan ke Amitabh Bachchan ho aur ghar pe Hema Malini Chai banake taiyaar hai, jaise hi ghar ke gate pe pahuchenge Darwaza khol ke welcome karegi Inka... 

Beta Dekh lo apna WhatsApp kholke woh online lagi hui hai kisi ke saath... Dheere gaadi chalao...

Kuch bol do... To aisa mooh banate hai... Itni akad dikhate hai... Aankhein aise tarerne lagenge jaise Lucknow ke bahut bade baket, mafia hai... Nawab Sahab hai... Car se nikal kar ladne to turant taiyaar...

Mann hua tha ki Bike, Car mein baandh ke aag Laga de...

Hum to muskura ke reh jaate hai... Kuch bolte nahi hai.... Sir... Sir... Madam... Madam... Ji...  Ji... Karte rehte hai...

Par ab mehsus hota hai ki Apne Baap ki tarah Maa-Behan sek de... Maar-Kaat ke bahate rahe... Court-Kacheri mein 15-20 case chalte rahe apne... Tabhi theek hai... Seedhai ka waqt beet chala hai...

#SuNWrites

Wednesday, October 31, 2018

Jaise-Jaise waqt badta jayega...

Jaise-Jaise waqt badta jayega meri aastha dunia banane wale ke prati kam hoti jayegi... Mujhe aisa lag raha hai... Waise abhi Morning-Evening Prayers mein 2-3 hours spend karta hun... Par ab Mann khhen sa hone lagta hai, ab bhoj si lagti hai Prayer... Kabhi kabhi to gussa bhi aa jaata hai... Wajah clear hai jo kuch beete samay se mere saath beeta uska reflection ya reaction hai...

Ab to kisi Religious Place ke pass se guzarta hun to mattha tekane, jhukane ki iccha hi nahi hoti...

Ab Shayad yeh ho sakta hai ki Dunia banane wala, Rooh ka Maalik yahi mujhse chahta ho ki main usse doori bana lu...

#SuNWrites

Pehle mujhe aisa lagta tha...

Pehle mujhe aisa lagta tha ki mera Baap galat aadmi tha... Par jaise-jaise meri Umar badati ja rahi hai, jaise-jaise rishton ne apne roop dikhane shuru kiye hai... Jaise-jaise samaaj, logon ka chehra saamne aane laga hai... Ab lagta hai mera Baap sahi tha...

Bina Maa-Behan seeke is dunia mein guzara hai nahi... Aap meethe bane rahoge to aapko log chat kar jayenge... Bahut jaroori hai jitni jyada ho sake dunia ki lo, khul ke lo... Dunia banane wale ke chakkar mein rahoge to Dunia wale izzat loot lenge... Fir MeToo-MeeToo internet par khelte rehna...

Mera Baap theek karta tha... Maa-Behan wadiya tareeke se sekta tha... Tukde-Tukde karke baha deta tha... Rupiya-Paisa mooh pe logon ke maarta rehta tha...

Dunia kal ki jalti hai aaj Jale to jyada behtar hai...

#SuNWrites

Tuesday, October 30, 2018

Kabhi-Kabhi din itna jyada kharab jaata hai...

Kabhi-Kabhi din itna jyada kharab jaata hai ki kuch bhi aacha nahi lagta... Main agar dunia banane wale ki jagah hota to kabka aadhi se jyada dunia khatam kar chuka hota... Sacchi...

Aaj Yahiyaganj, Aminabad gaya... Ek to festival ka crowd itna jyada hai... Dimaag Dard karne lagta hai... Upper se Aminabad, Gadh-Badh Jhala mein ek dukaan ki side mein Activa khadi kar di to woh dukaandaar aur uske saamne wala bhi supporter banke kham-kha Tu-Tu, Main-Main, Ladai-Jhagda karne laga... Koi wajah bhi nahi bewajah hi aankhein tarerna, ulte-seedhe shabd kehna... Bas Activa yahan se hatao, hamari dukaan se kuch nahi khareed rahe to Activa yahan se hatao... Yeh koi wajah hui... 

Dil kiya ki abhi uski dukaan mein aag laga dun... Fir NaaZ ka khayal aaya, socha kahegi ki fir Naya Panga lekar baith gaya... Bas yahi sochkar Activa wahan se hataa li...

Par us dukaandaar ke chakkar mein itna jyada sar dard, mind+mood upset hai aur uljhan bani hui hai... Soch raha hun abhi jaakar us dukaandaar aur uske supporter ki dukaan mein aag laga dun...

Sacchi...

#SuNWrites

Raat ki dehleez pe Subah kehti hai...

Raat ki dehleez pe Subah kehti hai...

Teri aankhon mein neend parai hai...
Tune mohabbat karne ki sazaa pai hai...
Yeh gumo ki deewar kisi aur ne nahi, tune khud hi banai hai...

Aur puch le us Siyani Bandi se...
Kya beeti raat bhi ki usne bewafai hai...

#RaJWrites