Dil aisa kisi ne mera toda
Dil aisa kisi ne mera toda
Barbaadi ki taraf aisa moda
Ek bhale maanush ko
Barbaadi ki taraf aisa moda
Ek bhale maanush ko
Amanush bana ke chhoda
Dil aisa kisi ne mera toda
Barbaadi ki taraf aisa moda
Saagar kitna mere paas hai
Mere jeevan mein phir bhi pyaas Hai
Saagar kitna mere paas hai
Mere jeevan mein phir bhi pyaas hai
Hai pyaas badi jeevan thoda
Amanush bana ke chhoda
Dil aisa kisi ne mera toda
Barbaadi ki taraf aisa moda
Kehte hain ye duniya ke raaste
Koi manzil nahi tere vaaste
Kehte hain ye duniya ke raaste
Koi manzil nahi tere vaaste
Nakaamiyon se naata mera joda
Amanush bana ke chhoda
Dil aisa kisi ne mera toda
Barbaadi ki taraf aisa moda
Dooba suraj phir se nikle
Rehta nahi hai andera
Mera suraj aisa rootha
Dekha na maine savera
Ujaalon ne saath mera chhoda
Amanush bana ke chhoda
Dil aisa kisi ne mera toda
Dil aisa kisi ne mera toda
Barbaadi ki taraf aisa moda
Ek bhale maanush ko
Amanush bana ke chhoda
Dil aisa kisi ne mera toda
Barbaadi ki taraf aisa moda
(not written by me)
No comments:
Post a Comment