Teri Duniya Se Hoke Majboor
tere duniya se ho ke majboor chala
main bahut door, bahut door, bahut door chalaa
~
is kadar door ke fir laut ke bhi aa na sakoo
aaise manjil ke jahaan khud ko bhi main paa na sakoo
aur majabooree hain kya itana bhi batala na sakoo
~
tere duniya se ho ke majboor chala
main bahut door, bahut door, bahut door chala
~
aankh bhar aae agar ashkon ko main pee loonga
aah nikale jo kabhi honthon ko main see loonga
tujhse vaada hain kiya isliye main jee loonga
~
tere duniya se ho ke majbor chala
main bahut door, bahut door, bahut door chala
~
~
khush rahe too hain jahaan, le jaa duawaayen mere
tere raahon se juda ho gaye raahen mere
kuch naheen saath mere, bas hain khataayen mere
~
tere duniya se ho ke majboor chala
main bahut door, bahut door, bahut door chala!
(not written by me)
No comments:
Post a Comment